Poet
Ahmad Mushtaq
Poems
- آج رو کر تو دکھائے کوئی ایسا رونایاد کر اے دل خاموش وہ اپنا روناāj ro kar to dikhā.e koī aisā ronāyād kar ai dil-e-ḳhāmosh vo apnā ronā
- اب منزل صدا سے سفر کر رہے ہیں ہمیعنی دل سکوت میں گھر کر رہے ہیں ہمab manzil-e-sadā se safar kar rahe haiñ hamya.anī dil-e-sukūt meñ ghar kar rahe haiñ ham
- اب نہ بہل سکے گا دل اب نہ دیئے جلائیےعشق و ہوس ہیں سب فریب آپ سے کیا چھپائیےab na bahal sakegā dil ab na diye jalā.iyeishq-o-havas haiñ sab fareb āp se kyā chhupā.iye
- اب وہ گلیاں وہ مکاں یاد نہیںکون رہتا تھا کہاں یاد نہیںab vo galiyāñ vo makāñ yād nahīñkaun rahtā thā kahāñ yād nahīñ
- اشک دامن میں بھرے خواب کمر پر رکھاپھر قدم ہم نے تری راہ گزر پر رکھاashk dāman meñ bhare ḳhvāb kamar par rakhāphir qadam ham ne tirī rāh guzar par rakhā
- اک پھول میرے پاس تھا اک شمع میرے ساتھ تھیباہر خزاں کا زور تھا اندر اندھیری رات تھیik phūl mere pās thā ik sham.a mere sāth thībāhar ḳhizāñ kā zor thā andar andherī rāt thī
- ان موسموں میں ناچتے گاتے رہیں گے ہمہنستے رہیں گے شور مچاتے رہیں گے ہمin mausamoñ meñ nāchte gāte raheñge hamhañste raheñge shor machāte raheñge ham
- بہتا آنسو ایک جھلک میں کتنے روپ دکھائے گاآنکھ سے ہو کر گال بھگو کر مٹی میں مل جائے گاbahtā ānsū ek jhalak meñ kitne rūp dikhā.egāānkh se ho kar gāl bhigo kar miṭṭī meñ mil jā.egā
- بہت رک رک کے چلتی ہے ہوا خالی مکانوں میںبجھے ٹکڑے پڑے ہیں سگریٹوں کے راکھ دانوں میںbahut ruk ruk ke chaltī hai havā ḳhālī makānoñ meñbujhe ṭukṛe paṛe haiñ sigreṭoñ ke rākh dānoñ meñ
- بھاگنے کا کوئی رستہ نہیں رہنے دیتےکوئی در کوئی دریچہ نہیں رہنے دیتےbhāgne kā koī rasta nahīñ rahne detekoī dar koī darīcha nahīñ rahne dete
- بھولے بسرے موسموں کے درمیاں رہتا ہوں میںاب جہاں کوئی نہیں رہتا وہاں رہتا ہوں میںbhūle basre mausamoñ ke darmiyāñ rahtā hūñ maiñab jahāñ koī nahīñ rahtā vahāñ rahtā hūñ maiñ
- پانی میں عکس اور کسی آسماں کا ہےیہ ناؤ کون سی ہے یہ دریا کہاں کا ہےpānī meñ aks aur kisī āsmāñ kā haiye nā.o kaun sī hai ye dariyā kahāñ kā hai
- پتا اب تک نہیں بدلا ہماراوہی گھر ہے وہی قصہ ہماراpatā ab tak nahīñ badlā hamārāvahī ghar hai vahī qissa hamārā
- تم آئے ہو تمہیں بھی آزما کر دیکھ لیتا ہوںتمہارے ساتھ بھی کچھ دور جا کر دیکھ لیتا ہوںtum ā.e ho tumheñ bhī āzmā kar dekh letā hūñtumhāre sāth bhī kuchh dūr jā kar dekh letā hūñ
- تھا مجھ سے ہم کلام مگر دیکھنے میں تھاجانے وہ کس خیال میں تھا کس سمے میں تھاthā mujh se ham kalām magar dekhne meñ thājāne vo kis ḳhayāl meñ thā kis samay meñ thā
- تھم گیا درد اجالا ہوا تنہائی میںبرق چمکی ہے کہیں رات کی گہرائی میںtham gayā dard ujālā huā tanhā.ī meñbarq chamkī hai kahīñ rāt kī gahrā.ī meñ
- چاند اس گھر کے دریچوں کے برابر آیادل مشتاق ٹھہر جا وہی منظر آیاchānd is ghar ke darīchoñ ke barābar āyādil mushtāq ṭhahar jā vahī manzar āyā
- چاند بھی نکلا ستارے بھی برابر نکلےمجھ سے اچھے تو شب غم کے مقدر نکلےchānd bhī niklā sitāre bhī barābar niklemujh se achchhe to shab-e-ġham ke muqaddar nikle
- چھٹ گیا ابر شفق کھل گئی تارے نکلےبند کمروں سے ترے درد کے مارے نکلےchhuṭ gayā abr-e-shafaq khul ga.ī tāre nikleband kamroñ se tire dard ke māre nikle
- چھن گئی تیری تمنا بھی تمنائی سےدل بہلتے ہیں کہیں حوصلہ افزائی سےchhin ga.ī terī tamannā bhī tamannā.ī sedil bahalte haiñ kahīñ hausla afzā.ī se
- خواب کے پھولوں کی تعبیریں کہانی ہو گئیںخون ٹھنڈا پڑ گیا آنکھیں پرانی ہو گئیںḳhvāb ke phūloñ kī ta.abīreñ kahānī ho ga.īñḳhūn ṭhanḍā paṛ gayā ānkheñ purānī ho ga.īñ
- خیر اوروں نے بھی چاہا تو ہے تجھ سا ہونایہ الگ بات کہ ممکن نہیں ایسا ہوناḳhair auroñ ne bhī chāhā to hai tujh sā honāye alag bāt ke mumkin nahīñ aisā honā
- دل میں وہ شور نہ آنکھوں میں وہ نم رہتا ہےاب تپ ہجر توقع سے بھی کم رہتا ہےdil meñ vo shor na ānkhoñ meñ vo nam rahtā haiab tap-e-hijr tavaqqo se bhī kam rahtā hai
- دلوں کی اور دھواں سا دکھائی دیتا ہےیہ شہر تو مجھے جلتا دکھائی دیتا ہےdiloñ kī aur dhuāñ sā dikhā.ī detā haiye shahr to mujhe jaltā dikhā.ī detā hai
- دنیا میں سراغ رہ دنیا نہیں ملتادریا میں اتر جائیں تو دریا نہیں ملتاduniyā meñ surāġh-e-rah duniyā nahīñ miltādariyā meñ utar jā.eñ to dariyā nahīñ miltā
- روشنی رہتی تھی دل میں زخم جب تک تازہ تھااب جہاں دیوار ہے پہلے وہاں دروازہ تھاraushnī rahtī thī dil meñ zaḳhm jab tak tāza thāab jahāñ dīvār hai pahle vahāñ darvāza thā
- زلف دیکھی وہ دھواں دھار وہ چہرا دیکھاسچ بتا دیکھنے والے اسے کیسا دیکھاzulf dekhī vo dhuāñ dhār vo chehrā dekhāsach batā dekhne vāle use kaisā dekhā
- زندگی سے ایک دن موسم خفا ہو جائیں گےرنگ گل اور بوئے گل دونوں ہوا ہو جائیں گےzindagī se ek din mausam ḳhafā ho jā.eñgerang-e-gul aur bū-e-gul donoñ huā ho jā.eñge
- شام غم یاد ہے کب شمع جلی یاد نہیںکب وہ رخصت ہوئے کب رات ڈھلی یاد نہیںshām-e-ġham yād hai kab sham.a jalī yād nahīñkab vo ruḳhsat hue kab rāt ḍhalī yād nahīñ
- شام ہوتی ہے تو یاد آتی ہے ساری باتیںوہ دوپہروں کی خموشی وہ ہماری باتیںshām hotī hai to yād ātī hai sārī bāteñvo dopaharoñ kī ḳhamoshī vo hamārī bāteñ
- شبنم کو ریت پھول کو کانٹا بنا دیاہم نے تو اپنے باغ کو صحرا بنا دیاshabnam ko ret phūl ko kānṭā banā diyāham ne to apne bāġh ko sahrā banā diyā
- عشق میں کون بتا سکتا ہےکس نے کس سے سچ بولا ہےishq meñ kaun batā saktā haikis ne kis se sach bolā hai
- کس شے پہ یہاں وقت کا سایہ نہیں ہوتااک خواب محبت ہے کہ بوڑھا نہیں ہوتاkis shai pe yahāñ vaqt kā sāya nahīñ hotāik ḳhvāb-e-mohabbat hai ke būṛhā nahīñ hotā
- کہاں کی گونج دل ناتواں میں رہتی ہےکہ تھرتھری سی عجب جسم و جاں میں رہتی ہےkahāñ kī gūnj dil-e-nātavāñ meñ rahtī haike thartharī sī ajab jism-o-jāñ meñ rahtī hai
- کہوں کس سے رات کا ماجرا نئے منظروں پہ نگاہ تھینہ کسی کا دامن چاک تھا نہ کسی کی طرف کلاہ تھیkahūñ kis se rāt kā mājrā na.e manzaroñ pe nigāh thīna kisī kā dāman-e-chāk thā na kisī kī taraf kulāh thī
- کہیں امید سی ہے دل کے نہاں خانے میںابھی کچھ وقت لگے گا اسے سمجھانے میںkahīñ ummīd sī hai dil ke nihāñ ḳhāne meñabhī kuchh vaqt lagegā use samjhāne meñ
- کیسے انہیں بھلاؤں محبت جنہوں نے کیمجھ کو تو وہ بھی یاد ہیں نفرت جنہوں نے کیkaise unheñ bhulā.ūñ mohabbat jinhoñ ne kīmujh ko to vo bhī yād haiñ nafrat jinhoñ ne kī
- لبھاتا ہے اگرچہ حسن دریا ڈر رہا ہوں میںسبب یہ ہے کہ اک مدت کنارے پر رہا ہوں میںlubhātā hai agarche husn dariyā ḍar rahā hūñ maiñsabab ye hai ke ik muddat kināre par rahā hūñ maiñ
- مجھے اس نے تری خبر دی ہےجس نے ہر شام کو سحر دی ہےmujhe us ne tirī ḳhabar dī haijis ne har shām ko sahar dī hai
- مل ہی آتے ہیں اسے ایسا بھی کیا ہو جائے گابس یہی نا درد کچھ دل کا سوا ہو جائے گاmil hī āte haiñ use aisā bhī kyā ho jā.egābas yahī nā dard kuchh dil kā sivā ho jā.egā
- مل ہی جائے گا کبھی دل کو یقیں رہتا ہےوہ اسی شہر کی گلیوں میں کہیں رہتا ہےmil hī jā.egā kabhī dil ko yaqīñ rahtā haivo isī shahr kī galiyoñ meñ kahīñ rahtā hai
- منظر صبح دکھانے اسے لایا نہ گیاآتی جاتی رہیں شامیں کوئی آیا نہ گیاmanzar-e-sub.h dikhāne use lāyā na gayāātī jātī raheñ shāmeñ koī āyā na gayā
- نالۂ خونیں سے روشن درد کی راتیں کرومیں نہیں کہتا دعا مانگو مناجاتیں کروnāla-e-ḳhūnīñ se raushan dard kī rāteñ karomaiñ nahīñ kahtā duā māñgo munājāteñ karo
- ہاتھ سے ناپتا ہوں درد کی گہرائی کویہ نیا کھیل ملا ہے مری تنہائی کوhāth se nāptā hūñ dard kī gahrā.ī koye nayā khel milā hai mirī tanhā.ī ko
- ہر لمحہ ظلمتوں کی خدائی کا وقت ہےشاید کسی کی چہرہ نمائی کا وقت ہےhar lamha zulmatoñ kī ḳhudā.ī kā vaqt haishāyad kisī kī chehra numā.ī kā vaqt hai
- ہمیں سب اہل ہوس ناپسند رکھتے ہیںکہ ہم نوائے محبت بلند رکھتے ہیںhameñ sab ahl-e-havas nāpasand rakhte haiñke ham navā-e-mohabbat buland rakhte haiñ
- یہ تنہا رات یہ گہری فضائیںاسے ڈھونڈیں کہ اس کو بھول جائیںye tanhā rāt ye gahrī fazā.eñuse ḍhūñḍeñ ke us ko bhūl jā.eñ
- یہ کون خواب میں چھو کر چلا گیا مرے لبپکارتا ہوں تو دیتے نہیں صدا مرے لبye kaun ḳhvāb meñ chhū kar chalā gayā mire labpukārtā hūñ to dete nahīñ sadā mire lab
- یہ کہنا تو نہیں کافی کہ بس پیارے لگے ہم کوانہیں کیسے بتائیں ہم کہ وہ کیسے لگے ہم کوye kahnā to nahīñ kāfī ke bas pyāre lage ham kounheñ kaise batā.eñ ham ke vo kaise lage ham ko
- یہ ہم غزل میں جو حرف و بیاں بناتے ہیںہوائے غم کے لیے کھڑکیاں بناتے ہیںye ham ġhazal meñ jo harf-o-bayāñ banāte haiñhavā-e-ġham ke liye khiṛkiyāñ banāte haiñ