کیسے انہیں بھلاؤں محبت جنہوں نے کی
Ahmad Mushtaqکیسے انہیں بھلاؤں محبت جنہوں نے کی
مجھ کو تو وہ بھی یاد ہیں نفرت جنہوں نے کی
دنیا میں احترام کے قابل وہ لوگ ہیں
اے ذلت وفا تری عزت جنہوں نے کی
تزئین کائنات کا باعث وہی بنے
دنیا سے اختلاف کی جرأت جنہوں نے کی
آسودگان منزل لیلیٰ اداس ہیں
اچھے رہے نہ طے یہ مسافت جنہوں نے کی
اہل ہوس تو خیر ہوس میں ہوئے ذلیل
وہ بھی ہوئے خراب محبت جنہوں نے کی
kaise unhen bhulaun mohabbat jinhon ne ki
mujh ko to wo bhi yad hain nafrat jinhon ne ki
duniya mein ehtiram ke qabil wo log hain
ai zillat wafa tiri izzat jinhon ne ki
tazin-e-kainat ka bais wahi bane
duniya se ikhtilaf ki jurat jinhon ne ki
asudagan manzil-e-laila udas hain
achchhe rahe na tai ye masafat jinhon ne ki
ahl-e-hawas to khair hawas mein hue zalil
wo bhi hue kharab-e-mohabbat jinhon ne ki