Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Aitbar Sajid

Poems

  1. ānkhoñ se ayāñ zaḳhm kī gahrā.ī to ab haiab ā bhī chuko vaqt-e-masīhā.ī to ab hai
  2. āne vālī thī ḳhizāñ maidān-e-ḳhālī kar diyākal havā-e-shab ne sārā lān ḳhālī kar diyā
  3. band darīche sūnī galiyāñ an dekhe anjāne logkis nagrī meñ ā nikle haiñ sājid ham dīvāne log
  4. bande zamīn aur āsmāñ sarmā kī shab kahāniyāñsachchī haiñ ye rifāqateñ bāqī haiñ sab kahāniyāñ
  5. bahut sajā.e the ānkhoñ meñ ḳhvāb maiñ ne bhīsahe haiñ us ke liye ye azāb maiñ ne bhī
  6. bhīṛ hai bar sar-e-bāzār kahīñ aur chaleñā mire dil mire ġham ḳhvār kahīñ aur chaleñ
  7. phir vahī lambī dopahareñ haiñ phir vahī dil kī hālat haibāhar kitnā sannāṭā hai andar kitnī vahshat hai
  8. phūl the rang the lamhoñ kī sabāhat ham theaise zinda the ke jīne kī alāmat ham the
  9. phūloñ meñ vo ḳhushbū vo sabāhat nahīñ ā.īab tak tire āne kī shahādat nahīñ ā.ī
  10. tark-e-ta.alluq kar to chuke haiñ ik imkān abhī bāqī haiek mahāz se lauṭ ā.e haiñ ik maidān abhī bāqī hai
  11. tirī rahmatoñ ke dayār meñ tire bādaloñ ko patā nahīñabhī āg sard huī nahīñ abhī ik alā.o jalā nahīñ
  12. tire jaisā merā bhī hāl thā na sukūn thā na qarār thāyahī umr thī mire ham nashīñ ke kisī se mujh ko bhī pyār thā
  13. tumheñ jab kabhī mileñ fursateñ mire dil se bojh utār domaiñ bahut dinoñ se udās hūñ mujhe koī shām udhār do
  14. tumheñ ḳhayāl zāt hai shuūr-e-zāt hī nahīñḳhatā muāf ye tumhāre bas kī bāt hī nahīñ
  15. jāne kis chāh ke kis pyār ke gin gāte horāt din kaun se dil dār ke gin gāte ho
  16. jo ḳhayāl the na qayās the vahī log mujh se bichhaṛ ga.ejo mohabbatoñ kī asās the vahī log mujh se bichhaṛ ga.e
  17. chhoṭe chhoṭe se mafādāt liye phirte haiñdar badar ḳhud ko jo din rāt liye phirte haiñ
  18. chhoṭe chhoṭe ka.ī be faiz mafādāt ke sāthlog zinda haiñ ajab sūrat-e-hālāt ke sāth
  19. dil haiñ yūñ muztarib makānoñ meñmachhliyāñ jaise martabānoñ meñ
  20. dhaṛkan dhaṛkan yādoñ kī bārāt akelā kamramaiñ aur mere zaḳhmī ehsāsāt akelā kamra
  21. ḍhūñḍte kyā ho in ānkhoñ meñ kahānī merīḳhud meñ gum rahnā to ādat hai purānī merī
  22. raste kā intiḳhāb zarūrī sā ho gayāab iḳhtitām bāb zarūrī sā ho gayā
  23. zaḳhmoñ kā doshala pahnā dhūp ko sar par tān liyākyā kyā ham ne kashṭ kamā.e kahāñ kahāñ nirvān liyā
  24. shahr havā meñ jalte rahnā andeshoñ kī chaukhaṭ parrāt ga.e tak uljhe rahnā be mafhūm ḳhayāloñ meñ
  25. tilism-e-zār-e-shab māh meñ guzar jā.eab itnī rāt ga.e kaun apne ghar jā.e
  26. kabhī tū ne ḳhud bhī sochā ke ye pyās hai to kyūñ haitujhe pā ke bhī mirā dil jo udās hai to kyūñ hai
  27. kisī ko ham se haiñ chand shikve kisī ko be had shikāyateñ haiñhamāre hisse meñ sirf apnī safā.iyāñ haiñ vazāhteñ haiñ
  28. kisī ne dil ke tāq par jalā ke rakh diyā hameñmagar havā-e-hijr ne bujhā ke rakh diyā hameñ
  29. kahā taḳhlīq fan bole bahut dushvār to hogīkahā maḳhlūq bole bā.is-e-āzār to hogī
  30. kahā din ko bhī ye ghar kis liye vīrān rahtā haiyahāñ kyā ham sā koī be sar-o-sāmān rahtā hai
  31. kaise kaheñ ke jān se pyārā nahīñ rahāye aur bāt ab vo hamārā nahīñ rahā
  32. ghar kī dahlīz se bāzār meñ mat ā jānātum kisī chashm-e-ḳharīdār meñ mat ā jānā
  33. mujh se muḳhlis thā na vāqif mire jazbāt se thāus kā rishta to faqat apne mafādāt se thā
  34. mujhe aisā lutf atā kiyā ke jo hijr thā na visāl thāmire mausamoñ ke mizāj dāñ tujhe merā kitnā ḳhayāl thā
  35. mujhe vo kunj-e-tanhā.ī se āḳhir kab nikālegāakele pan kā ye ehsās mujh ko mār ḍālegā
  36. mohtāj ham safar kī masāfat na thī mirīsab sāth the kisī se rifāqat na thī mirī
  37. mirā hai kaun dushman merī chāhat kaun rakhtā haiusī par sochte rahne kī fursat kaun rakhtā hai
  38. mirī rūh meñ jo utar sakeñ vo mohabbateñ mujhe chāhiyeñjo sarāb hūñ na azāb hūñ vo rifāqateñ mujhe chāhiyeñ
  39. maiñ takiye par sitāre bū rahā hūñjanam din hai akelā ro rahā hūñ
  40. na gumān maut kā hai na ḳhayāl zindagī kāso ye hāl in dinoñ hai mire dil kī be kisī kā
  41. vo pahlī jaisī vahshateñ vo hāl hī nahīñ rahāke ab to shauq rāhat-e-visāl hī nahīñ rahā
  42. vahī haiñ apnī rātoñ kī katthā.eñfirāq-e-yār ḳhvāb āvar davā.eñ
  43. ye barsoñ kā ta.alluq toṛ denā chāhte haiñ hamab apne āp ko bhī chhoṛ denā chāhte haiñ ham
  44. ye ṭhīk hai ke bahut vahshateñ bhī ṭhīk nahīñmagar hamārī zarā ādateñ bhī ṭhīk nahīñ
  45. ye hasīñ log haiñ to un kī muravvat pe na jāḳhud hī uṭh baiṭh kisī izn-o-ijāzat pe na jā
  46. ye kyā hālat banā rakhī hai ye āsār kaise haiñbahut achchhā bhalā chhoṛā thā ab bīmār kaise