Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Tahzeeb Hafi

Poems

  1. us ek ḍar se ḳhvāb dekhtā nahīñmaiñ jo bhī dekhtā hūñ bhūltā nahīñ
  2. ashk zā.e ho rahe the dekh kar rotā na thājis jagah bantā thā ronā meñ idhar rotā na thā
  3. ik tirā hijr dā.imī hai mujhevarna har chīz ārzī hai mujhe
  4. ik havelī hūñ us kā dar bhī hūñḳhud hī āngan ḳhud hī shajar bhī hūñ
  5. batā ai abr musāvāt kyūñ nahīñ kartāhamāre gā.oñ meñ barsāt kyūñ nahīñ kartā
  6. bichhaṛ kar us kā dil lag bhī gayā to kyā lagegāvo thak jā.egā aur mere gale se ā lagegā
  7. parā.ī āg pe roṭī nahīñ banā.ūñgāmaiñ bhīg jā.ūñgā chhatrī nahīñ banā.ūñgā
  8. tārīkiyoñ ko āg lage aur diyā jaleye rāt bain kartī rahe aur diyā jale
  9. tū ne kyā qindīl jalā dī shahzādīsurḳh huī jātī hai vādī shahzādī
  10. terā chup rahnā mire zehn meñ kiyā baiṭh gayāitnī āvāzeñ tujhe deñ ke gilā baiṭh gayā
  11. jāne vāle se rābta rah jā.eghar kī dīvār par diyā rah jā.e
  12. jab us kī tasvīr banāyā kartā thākamrā rangoñ se bhar jāyā kartā thā
  13. jab kisī ek ko rahā kiyā jā.esab asīroñ se mashvara kiyā jā.e
  14. chehra dekheñ tere honṭ aur palkeñ dekheñdil pe ānkheñ rakheñ terī sānseñ dekheñ
  15. chīḳhte haiñ dar-o-dīvār nahīñ hotā maiñānkh khulne pe bhī bedār nahīñ hotā maiñ
  16. ḳhud pe jab dasht kī vahshat ko musallat karūñgāis qadar ḳhāk uṛā.ūñgā qayāmat karūñgā
  17. dil kisī samt kisī samt qadam jātā haitere maujūd ke chakkar meñ adam jātā hai
  18. dil mohabbat meñ mubtalā ho jā.ejo abhī tak na ho sakā ho jā.e
  19. rāt ko dīp kī lau kam nahīñ rakhī jātīdhundha meñ raushnī maddham nahīñ rakhī jātī
  20. zaḳhmoñ ne mujh meñ darvāze khole haiñmaiñ ne vaqt se pahle ṭānke khole haiñ
  21. sab kī kahānī ek taraf hai merā qissa ek tarafek taraf sairāb haiñ sāre aur maiñ pyāsā ek taraf
  22. so raheñge ke jāgte raheñgeham tire ḳhvāb dekhte raheñge
  23. shor karūñgā aur na kuchh bhī bolūñgāḳhāmoshī se apnā ronā ro lūñgā
  24. sahrā se āne vālī havā.oñ meñ ret haihijrat karūñgā gā.oñ se gā.oñ meñ ret hai
  25. ajīb ḳhvāb thā us ke badan meñ kā.ī thīvo ik parī jo mujhe sabz karne ā.ī thī
  26. qadam rakhtā hai jab rastoñ pe yār āhista āhistatū chhuṭ jātā hai sab gard-o-ġhubār āhista āhista
  27. kuchh zarūrat se kam kiyā gayā haitere jāne kā ġham kiyā gayā hai
  28. kise ḳhabar hai ke umr bas us pe ġhaur karne meñ kaṭ rahī haike ye udāsī hamāre jismoñ se kis ḳhushī meñ lipaṭ rahī hai
  29. mausamoñ ke taġhayyur ko bhānpā nahīñ chhatriyāñ khol deñzaḳhm bharne se pahle kisī ne mirī paṭṭiyāñ khol deñ
  30. maiñ ne ye kab kahā hai ke vo mujh ko tanhā nahīñ chhoṛtāchhoṛtā hai magar ek din se ziyāda nahīñ chhoṛtā
  31. na nīnd aur na ḳhvāboñ se ānkh bharnī haike us se ham ne tujhe dekhne kī karnī hai
  32. vaise maiñ ne duniyā meñ kyā dekhā haitum kahte ho to phir achchhā dekhā hai
  33. ham tumhāre ġham se bāhar ā ga.ehijr se bachne ke mantar ā ga.e
  34. ye ek bāt samajhne meñ rāt ho ga.ī haimaiñ us se jīt gayā hūñ ke māt ho ga.ī hai
  35. ye kis ne bāġh se us shaḳhs ko balā liyā haiparind uṛ ga.e peṛoñ ne muñh banā liyā hai
  36. ik ishāre se dīvār dil kī darāṛoñ meñ tū ne jo raushan kiye the charāġhun ke bujhne kā dukh ek jaisā hai donoñ taraf
  37. tū kisī aur hī duniyā meñ milī thī mujh setū kisī aur hī manzar kī mahak lā.ī thī
  38. safed sharaṭ thī tum sīṛhiyoñ pe baiṭhe themaiñ jab kilās se niklī thī muskurāte hue
  39. maiñ sapnoñ meñāksījan pilānṭ ansiṭāl kar rahā hūñ
  40. tire pūre badan par ik muqaddas āg kā pahra haijo terī taraf baṛhte hue hāthoñ ke nāḳhun rok letā hai
  41. tere honṭoñ se bahtī huī ye hañsīdo jahānoñ pe nāfiz na hone kā bā.is
  42. jab vo is duniyā ke shor aur ḳhāmoshī seqat-e-ta.alluq ho ke inglish meñ ġhussa kartī hai
  43. kitnā arsa lagā nāummīdī ke parbat se patthar haṭāte hueek biphrī huī lahr ko rām karte hue