اک ترا ہجر دائمی ہے مجھے
Tahzeeb Hafiاک ترا ہجر دائمی ہے مجھے
ورنہ ہر چیز عارضی ہے مجھے
ایک سایہ مرے تعاقب میں
ایک آواز ڈھونڈتی ہے مجھے
میری آنکھوں پہ دو مقدس ہاتھ
یہ اندھیرا بھی روشنی ہے مجھے
میں سخن میں ہوں اس جگہ کہ جہاں
سانس لینا بھی شاعری ہے مجھے
ان پرندوں سے بولنا سیکھا
پیڑ سے خامشی ملی ہے مجھے
میں اسے کب کا بھول بھال چکا
زندگی ہے کہ رو رہی ہے مجھے
میں کہ کاغذ کی ایک کشتی ہوں
پہلی بارش ہی آخری ہے مجھے
ik tira hijr daimi hai mujhe
warna har chiz arzi hai mujhe
ek saya mire taaqub mein
ek awaz dhundti hai mujhe
meri ankhon pe do muqaddas hath
ye andhera bhi raushni hai mujhe
main sukhan mein hun is jagah ke jahan
sans lena bhi shayari hai mujhe
in parindon se bolna sikha
per se khamushi mili hai mujhe
main use kab ka bhul bhal chuka
zindagi hai ke ro rahi hai mujhe
main ke kaghaz ki ek kashti hun
pahli barish hi akhiri hai mujhe