چیختے ہیں در و دیوار نہیں ہوتا میں
Tahzeeb Hafiچیختے ہیں در و دیوار نہیں ہوتا میں
آنکھ کھلنے پہ بھی بیدار نہیں ہوتا میں
خواب کرنا ہو سفر کرنا ہو یا رونا ہو
مجھ میں خوبی ہے بیزار نہیں ہوتا میں
اب بھلا اپنے لیے بننا سنورنا کیسا
خود سے ملنا ہو تو تیار نہیں ہوتا میں
کون آئے گا بھلا میری عیادت کے لئے
بس اسی خوف سے بیمار نہیں ہوتا میں
منزل عشق پہ نکلا تو کہا رستے نے
ہر کسی کے لئے ہموار نہیں ہوتا میں
تیری تصویر سے تسکین نہیں ہوتی مجھے
تیری آواز سے سرشار نہیں ہوتا میں
لوگ کہتے ہیں میں بارش کی طرح ہوں حافیؔ
اکثر اوقات لگاتار نہیں ہوتا میں
chikhte hain dar-o-diwar nahin hota main
ankh khulne pe bhi bedar nahin hota main
khwab karna ho safar karna ho ya rona ho
mujh mein khubi hai bezar nahin hota main
ab bhala apne liye banna sanwarna kaisa
khud se milna ho to tayyar nahin hota main
kaun aega bhala meri ayadat ke liye
bas isi khauf se bimar nahin hota main
manzil-e-ishq pe nikla to kaha raste ne
har kisi ke liye hamwar nahin hota main
teri taswir se taskin nahin hoti mujhe
teri awaz se sarshar nahin hota main
log kahte hain main barish ki tarah hun hafi
aksar auqat lagatar nahin hota main