Poet
Shahryar
شہریار1936–2012Born in AonlaDied in Aligarh
Akhlaq Mohammad Khan wrote under the pen name Shahryar. He studied at Aligarh Muslim University, taught Urdu there from 1966 and retired in 1996 as head of the Urdu department. His collections include Ism-e-Azam, Hijr Ke Mausam and Khwab Ka Dar Band Hai, which won the Sahitya Akademi Award in 1987. He wrote the songs of the films Gaman and Umrao Jaan and received the Jnanpith Award for 2008.
Writes about
- Dreams
- Modern sensibility
- Love
Poems
- آسماں کچھ بھی نہیں اب تیرے کرنے کے لیےمیں نے سب تیاریاں کر لی ہیں مرنے کے لیےāsmāñ kuchh bhī nahīñ ab tere karne ke liyemaiñ ne sab tayyāriyāñ kar lī haiñ marne ke liye
- آندھیاں آتی تھیں لیکن کبھی ایسا نہ ہواخوف کے مارے جدا شاخ سے پتا نہ ہواāndhiyāñ ātī thīñ lekin kabhī aisā na huāḳhauf ke māre judā shāḳh se pattā na huā
- آہٹ جو سنائی دی ہے ہجر کی شب کی ہےیہ رائے اکیلی میری نہیں ہے سب کی ہےāhaṭ jo sunā.ī dī hai hijr kī shab kī haiye rā.e akelī merī nahīñ hai sab kī hai
- امید سے کم چشم خریدار میں آئےہم لوگ ذرا دیر سے بازار میں آئےummīd se kam chashm ḳharīdār meñ ā.eham log zarā der se bāzār meñ ā.e
- ان آنکھوں کی مستی کے مستانے ہزاروں ہیںان آنکھوں سے وابستہ افسانے ہزاروں ہیںin ānkhoñ kī mastī ke mastāne hazāroñ haiñin ānkhoñ se vābasta afsāne hazāroñ haiñ
- ایسے ہجر کے موسم کب کب آتے ہیںتیرے علاوہ یاد ہمیں سب آتے ہیںaise hijr ke mausam kab kab āte haiñtere alāva yād hameñ sab āte haiñ
- بھولی بسری یادوں کی بارات نہیں آئیاک مدت سے ہجر کی لمبی رات نہیں آئیbhūlī bisrī yādoñ kī bārāt nahīñ ā.īik muddat se hijr kī lambī rāt nahīñ ā.ī
- بے تاب ہیں اور عشق کا دعویٰ نہیں ہم کوآوارہ ہیں اور دشت کا سودا نہیں ہم کوbe tāb haiñ aur ishq kā da.avā nahīñ ham koāvāra haiñ aur dasht kā saudā nahīñ ham ko
- پہلے نہائی اوس میں پھر آنسوؤں میں راتیوں بوند بوند اتری ہمارے گھروں میں راتpahle nahā.ī os meñ phir ānsūoñ meñ rātyūñ būnd būnd utrī hamāre gharoñ meñ rāt
- تجھ سے بچھڑے ہیں تو اب کس سے ملاتی ہے ہمیںزندگی دیکھیے کیا رنگ دکھاتی ہے ہمیںtujh se bichhṛe haiñ to ab kis se milātī hai hameñzindagī dekhiye kyā rang dikhātī hai hameñ
- تو کہاں ہے تجھ سے اک نسبت تھی میری ذات کوکب سے پلکوں پر اٹھائے پھر رہا ہوں رات کوtū kahāñ hai tujh se ik nisbat thī merī zāt kokab se palkoñ par uṭhā.e phir rahā hūñ rāt ko
- تیری سانسیں مجھ تک آتے بادل ہو جائیںمیرے جسم کے سارے علاقے جل تھل ہو جائیںterī sānseñ mujh tak āte bādal ho jā.eñmere jism ke sāre ilāqe jal thal ho jā.eñ
- تیرے سوا بھی کوئی مجھے یاد آنے والا تھامیں ورنہ یوں ہجر سے کب گھبرانے والا تھاtere sivā bhī koī mujhe yād āne vālā thāmaiñ varna yūñ hijr se kab ghabrāne vālā thā
- تیرے وعدے کو کبھی جھوٹ نہیں سمجھوں گاآج کی رات بھی دروازہ کھلا رکھوں گاtere va.ade ko kabhī jhūṭ nahīñ samjhūñgāāj kī rāt bhī darvāza khulā rakhūñgā
- جاگتا ہوں میں ایک اکیلا دنیا سوتی ہےکتنی وحشت ہجر کی لمبی رات میں ہوتی ہےjāgtā hūñ maiñ ek akelā duniyā sotī haikitnī vahshat hijr kī lambī rāt meñ hotī hai
- جب بھی ملتی ہے مجھے اجنبی لگتی کیوں ہےزندگی روز نئے رنگ بدلتی کیوں ہےjab bhī miltī hai mujhe ajnabī lagtī kyūñ haizindagī roz na.e rang badaltī kyūñ hai
- جدا ہوئے وہ لوگ کہ جن کو ساتھ میں آنا تھااک ایسا موڑ بھی ہماری رات میں آنا تھاjudā hue vo log ke jin ko sāth meñ ānā thāik aisā moṛ bhī hamārī rāt meñ ānā thā
- جستجو جس کی تھی اس کو تو نہ پایا ہم نےاس بہانے سے مگر دیکھ لی دنیا ہم نےjustujū jis kī thī us ko to na pāyā ham neis bahāne se magar dekh lī duniyā ham ne
- جو چاہتی دنیا ہے وہ مجھ سے نہیں ہوگاسمجھوتا کوئی خواب کے بدلے نہیں ہوگاjo chāhtī duniyā hai vo mujh se nahīñ hogāsamjhotā koī ḳhvāb ke badle nahīñ hogā
- جہاں میں ہونے کو اے دوست یوں تو سب ہوگاترے لبوں پہ مرے لب ہوں ایسا کب ہوگاjahāñ meñ hone ko ai dost yūñ to sab hogātire laboñ pe mire lab hūñ aisā kab hogā
- دل پریشاں ہو مگر آنکھ میں حیرانی نہ ہوخواب دیکھو کہ حقیقت سے پشیمانی نہ ہوdil pareshāñ ho magar ānkh meñ hairānī na hoḳhvāb dekho ke haqīqat se pashemānī na ho
- دل چیز کیا ہے آپ مری جان لیجئےبس ایک بار میرا کہا مان لیجئےdil chīz kyā hai āp mirī jān lījiyebas ek bār merā kahā mān lījiye
- دل میں اترے گی تو پوچھے گی جنوں کتنا ہےنوک خنجر ہی بتائے گی کہ خوں کتنا ہےdil meñ utregī to pūchhegī junūñ kitnā hainok-e-ḳhanjar hī batā.egī ke ḳhūñ kitnā hai
- دل میں رکھتا ہے نہ پلکوں پہ بٹھاتا ہے مجھےپھر بھی اک شخص میں کیا کیا نظر آتا ہے مجھےdil meñ rakhtā hai na palkoñ pe biṭhātā hai mujhephir bhī ik shaḳhs meñ kyā kyā nazar ātā hai mujhe
- زخموں کو رفو کر لیں دل شاد کریں پھر سےخوابوں کی کوئی دنیا آباد کریں پھر سےzaḳhmoñ ko rafū kar leñ dil shād kareñ phir seḳhvāboñ kī koī duniyā ābād kareñ phir se
- زندگی جب بھی تری بزم میں لاتی ہے ہمیںیہ زمیں چاند سے بہتر نظر آتی ہے ہمیںzindagī jab bhī tirī bazm meñ lātī hai hameñye zamīñ chānd se behtar nazar ātī hai hameñ
- زندگی جیسی توقع تھی نہیں کچھ کم ہےہر گھڑی ہوتا ہے احساس کہیں کچھ کم ہےzindagī jaisī tavaqqo thī nahīñ kuchh kam haihar ghaṛī hotā hai ehsās kahīñ kuchh kam hai
- سبھی کو غم ہے سمندر کے خشک ہونے کاکہ کھیل ختم ہوا کشتیاں ڈبونے کاsabhī ko ġham hai samundar ke ḳhushk hone kāke khel ḳhatm huā kashtiyāñ ḍubone kā
- سیاہ رات نہیں لیتی نام ڈھلنے کایہی تو وقت ہے سورج ترے نکلنے کاsiyāh rāt nahīñ letī nām ḍhalne kāyahī to vaqt hai sūraj tire nikalne kā
- سینے میں جلن آنکھوں میں طوفان سا کیوں ہےاس شہر میں ہر شخص پریشان سا کیوں ہےsīne meñ jalan ānkhoñ meñ tūfān sā kyūñ haiis shahr meñ har shaḳhs pareshān sā kyūñ hai
- شدید پیاس تھی پھر بھی چھوا نہ پانی کومیں دیکھتا رہا دریا تری روانی کوshadīd pyās thī phir bhī chhuā na pānī komaiñ dekhtā rahā dariyā tirī ravānī ko
- شکوہ کوئی دریا کی روانی سے نہیں ہےرشتہ ہی مری پیاس کا پانی سے نہیں ہےshikva koī dariyā kī ravānī se nahīñ hairishta hī mirī pyās kā pānī se nahīñ hai
- طلسم ختم چلو آہ بے اثر کا ہواوہ دیکھو جسم برہنہ ہر اک شجر کا ہواtilism-e-ḳhatm chalo āh be asar kā huāvo dekho jism barahna har ik shajar kā huā
- عجیب سانحہ مجھ پر گزر گیا یارومیں اپنے سائے سے کل رات ڈر گیا یاروajīb sāneha mujh par guzar gayā yāromaiñ apne sā.e se kal rāt ḍar gayā yāro
- کس فکر کس خیال میں کھویا ہوا سا ہےدل آج تیری یاد کو بھولا ہوا سا ہےkis fikr kis ḳhayāl meñ khoyā huā sā haidil āj terī yād ko bhūlā huā sā hai
- کس کس طرح سے مجھ کو نہ رسوا کیا گیاغیروں کا نام میرے لہو سے لکھا گیاkis kis tarah se mujh ko na rusvā kiyā gayāġhairoñ kā nām mere lahū se likhā gayā
- کہاں تک وقت کے دریا کو ہم ٹھہرا ہوا دیکھیںیہ حسرت ہے کہ ان آنکھوں سے کچھ ہوتا ہوا دیکھیںkahāñ tak vaqt ke dariyā ko ham ṭhahrā huā dekheñye hasrat hai ke in ānkhoñ se kuchh hotā huā dekheñ
- مشعل درد پھر ایک بار جلا لی جائےجشن ہو جائے ذرا دھوم مچا لی جائےmashal dard phir ek bār jalā lī jā.ejashn ho jā.e zarā dhūm machā lī jā.e
- نظر جو کوئی بھی تجھ سا حسیں نہیں آتاکسی کو کیا مجھے خود بھی یقیں نہیں آتاnazar jo koī bhī tujh sā hasīñ nahīñ ātākisī ko kyā mujhe ḳhud bhī yaqīñ nahīñ ātā
- وہ بے وفا ہے ہمیشہ ہی دل دکھاتا ہےمگر ہمیں تو وہی ایک شخص بھاتا ہےvo be vafā hai hamesha hī dil dikhātā haimagar hameñ to vahī ek shaḳhs bhātā hai
- ہم پڑھ رہے تھے خواب کے پرزوں کو جوڑ کےآندھی نے یہ طلسم بھی رکھ ڈالا توڑ کےham paṛh rahe the ḳhvāb ke purzoñ ko joṛ keāndhī ne ye tilism bhī rakh ḍālā toṛ ke
- ہنس رہا تھا میں بہت گو وقت وہ رونے کا تھاسخت کتنا مرحلہ تجھ سے جدا ہونے کا تھاhañs rahā thā maiñ bahut go vaqt vo rone kā thāsaḳht kitnā marhala tujh se judā hone kā thā
- ہوا کا زور ہی کافی بہانہ ہوتا ہےاگر چراغ کسی کو جلانا ہوتا ہےhavā kā zor hī kāfī bahāna hotā haiagar charāġh kisī ko jalānā hotā hai
- یہ اک شجر کہ جس پہ نہ کانٹا نہ پھول ہےسائے میں اس کے بیٹھ کے رونا فضول ہےye ik shajar ke jis pe na kānṭā na phūl haisā.e meñ us ke baiṭh ke ronā fuzūl hai
- یہ جب ہے کہ اک خواب سے رشتہ ہے ہمارادن ڈھلتے ہی دل ڈوبنے لگتا ہے ہماراye jab hai ke ik ḳhvāb se rishta hai hamārādin ḍhalte hī dil ḍūbne lagtā hai hamārā
- یہ جگہ اہل جنوں اب نہیں رہنے والیفرصت عشق میسر کہاں پہلے والیye jagah ahl-e-junūñ ab nahīñ rahne vālīfursat-e-ishq muyassar kahāñ pahle vālī
- یہ قافلے یادوں کے کہیں کھو گئے ہوتےاک پل بھی اگر بھول سے ہم سو گئے ہوتےye qāfile yādoñ ke kahīñ kho ga.e hoteik pal bhī agar bhūl se ham so ga.e hote
- یہ کیا جگہ ہے دوستو یہ کون سا دیار ہےحد نگاہ تک جہاں غبار ہی غبار ہےye kyā jagah hai dosto ye kaun sā dayār haihad-e-nigāh tak jahāñ ġhubār hī ġhubār hai
- یہ کیا ہوا کہ طبیعت سنبھلتی جاتی ہےترے بغیر بھی یہ رات ڈھلتی جاتی ہےye kyā huā ke tabī.at sambhaltī jātī haitire baġhair bhī ye rāt ḍhaltī jātī hai
- یہ کیا ہے محبت میں تو ایسا نہیں ہوتامیں تجھ سے جدا ہو کے بھی تنہا نہیں ہوتاye kyā hai mohabbat meñ to aisā nahīñ hotāmaiñ tujh se judā ho ke bhī tanhā nahīñ hotā