یہ کیا ہے محبت میں تو ایسا نہیں ہوتا
Shahryar (1936–2012)یہ کیا ہے محبت میں تو ایسا نہیں ہوتا
میں تجھ سے جدا ہو کے بھی تنہا نہیں ہوتا
اس موڑ سے آگے بھی کوئی موڑ ہے ورنہ
یوں میرے لیے تو کبھی ٹھہرا نہیں ہوتا
کیوں میرا مقدر ہے اجالوں کی سیاہی
کیوں رات کے ڈھلنے پہ سویرا نہیں ہوتا
یا اتنی نہ تبدیل ہوئی ہوتی یہ دنیا
یا میں نے اسے خواب میں دیکھا نہیں ہوتا
سنتے ہیں سبھی غور سے آواز جرس کو
منزل کی طرف کوئی روانہ نہیں ہوتا
دل ترک تعلق پہ بھی آمادہ نہیں ہے
اور حق بھی ادا اس سے وفا کا نہیں ہوتا
ye kya hai mohabbat mein to aisa nahin hota
main tujh se juda ho ke bhi tanha nahin hota
is mor se age bhi koi mor hai warna
yun mere liye to kabhi thahra nahin hota
kyun mera muqaddar hai ujalon ki siyahi
kyun rat ke dhalne pe sawera nahin hota
ya itni na tabdil hui hoti ye duniya
ya main ne use khwab mein dekha nahin hota
sunte hain sabhi ghaur se awaz-e-jaras ko
manzil ki taraf koi rawana nahin hota
dil tark-e-taalluq pe bhi amada nahin hai
aur haq bhi ada us se wafa ka nahin hota