زندگی جیسی توقع تھی نہیں کچھ کم ہے
Shahryar (1936–2012)زندگی جیسی توقع تھی نہیں کچھ کم ہے
ہر گھڑی ہوتا ہے احساس کہیں کچھ کم ہے
گھر کی تعمیر تصور ہی میں ہو سکتی ہے
اپنے نقشے کے مطابق یہ زمیں کچھ کم ہے
بچھڑے لوگوں سے ملاقات کبھی پھر ہوگی
دل میں امید تو کافی ہے یقیں کچھ کم ہے
اب جدھر دیکھیے لگتا ہے کہ اس دنیا میں
کہیں کچھ چیز زیادہ ہے کہیں کچھ کم ہے
آج بھی ہے تری دوری ہی اداسی کا سبب
یہ الگ بات کہ پہلی سی نہیں کچھ کم ہے
zindagi jaisi tawaqqo thi nahin kuchh kam hai
har ghari hota hai ehsas kahin kuchh kam hai
ghar ki taamir tasawwur hi mein ho sakti hai
apne naqshe ke mutabiq ye zamin kuchh kam hai
bichhre logon se mulaqat kabhi phir hogi
dil mein ummid to kafi hai yaqin kuchh kam hai
ab jidhar dekhiye lagta hai ke is duniya mein
kahin kuchh chiz ziyada hai kahin kuchh kam hai
aj bhi hai tiri duri hi udasi ka sabab
ye alag bat ke pahli si nahin kuchh kam hai