
Poet
Mir Taqi Mir
میر تقی میر1723–1810Born in AgraDied in Lucknow
Mir Muhammad Taqi, who wrote as Mir, was one of the principal poets of the Delhi school of the Urdu ghazal. He spent much of his life in Delhi and, after Ahmad Shah Abdali's raids on the city, moved in 1782 to the court of Asaf-ud-Daula in Lucknow. His Urdu verse fills six divans, and he also wrote the Persian autobiography Zikr-e-Mir and Nikat-us-Shuara, an account of Urdu poets.
Writes about
- Love
- Sorrow
- Ruin of Delhi
- Divine love
Poems
- میں نے جو بے کسانہ مجلس میں جان کھوئیسر پر مرے کھڑی ہو شب شمع زور رویmaiñ ne jo be kasāna majlis meñ jān khoīsar par mire khaṛī ho shab sham.a zor ravī
- ناز چمن وہی ہے بلبل سے گو خزاں ہےٹہنی جو زرد بھی ہے سو شاخ زعفراں ہےnāz-e-chaman vahī hai bulbul se go ḳhizāñ haiṭahnī jo zard bhī hai so shāḳh-e-za.afrāñ hai
- نا کسی سے پاس میرے یار کا آنا گیابس گیا میں جان سے اب اس سے یہ جانا گیاnā kisī se pās mere yār kā ānā gayābas gayā maiñ jān se ab us se ye jānā gayā
- نالۂ عجز نقص الفت ہےرنج و محنت کمال راحت ہےnāla-e-ijz naqs-e-ulfat hairanj-o-mehnat kamāl-e-rāhat hai
- نالے کا آج دل سے پھر لب تلک گزر ہےٹک گوش رکھیو ایدھر ساتھ اس کے کچھ خبر ہےnāle kā āj dil se phir lab talak guzar haiṭuk gosh rakhiyo īdhar sāth us ke kuchh ḳhabar hai
- نقاش دیکھ تو میں کیا نقش یار کھینچااس شوخ کم نما کا نت انتظار کھینچاnaqqāsh dekh to maiñ kyā naqsh-e-yār khīñchāus shoḳh kam numā kā nit intizār khīñchā
- نقش بیٹھے ہے کہاں خواہش آزادی کاننگ ہے نام رہائی تری صیادی کاnaqsh baiṭhe hai kahāñ ḳhvāhish-e-āzādī kānang hai nām rihā.ī tirī sayyādī kā
- نکلے ہے جنس حسن کسی کارواں میںیہ وہ نہیں متاع کہ ہو ہر دکان میںnikle hai jins-e-husn kisī kārvāñ meñye vo nahīñ matā ke ho har dukān meñ
- نکلے ہے چشمہ جو کوئی جوش زناں پانی کایاد وہ ہے وہ کسو چشم کی گریانی کاnikle hai chashma jo koī josh-e-zanāñ pānī kāyād vo hai vo kisū chashm kī girīanī kā
- نہ اک یعقوب رویا اس الم میںکنواں اندھا ہوا یوسف کے غم میںna ik ya.aqūb royā is alam meñkuāñ andhā huā yūsuf ke ġham meñ
- نہ پوچھ خواب زلیخا نے کیا خیال لیاکہ کارواں کا کنعاں کے جی نکال لیاna pūchh ḳhvāb-e-zuleḳhā ne kyā ḳhayāl liyāke kārvāñ kā kanāñ ke jī nikāl liyā
- نہ پھر رکھیں گے تیری رہ میں پا ہمگئے گزرے ہیں آخر ایسے کیا ہمna phir rakheñge terī rah meñ pā hamga.e guzre haiñ āḳhir aise kyā ham
- نہ گیا خیال زلف سیہ جفا شعاراںنہ ہوا کہ صبح ہووے شب تیرہ روزگاراںna gayā ḳhayāl-e-zulf-e-siyah jafā shi.ārāñna huā ke sub.h hove shab-e-tīra rozgārāñ
- نہیں وسواس جی گنوانے کےہائے رے ذوق دل لگانے کےnahīñ vasvās jī gañvāne kehā.e re zauq-e-dil lagāne ke
- نئی طرزوں سے میخانے میں رنگ مے جھلکتا تھاگلابی روتی تھی واں جام ہنس ہنس کر چھلکتا تھاna.ī tarzoñ se maiḳhāne meñ rang-e-mai jhalaktā thāgulābī rotī thī vāñ jām hañs hañs kar chhalaktā thā
- واں وہ تو گھر سے اپنے پی کر شراب نکلایاں شرم سے عرق میں ڈوب آفتاب نکلاvāñ vo to ghar se apne pī kar sharāb niklāyāñ sharm se araq meñ ḍūb āftāb niklā
- وحشت تھی ہمیں بھی وہی گھر بار سے اب تکسر مارے ہیں اپنے در و دیوار سے اب تکvahshat thī hameñ bhī vahī ghar bār se ab taksar māre haiñ apne dar-o-dīvār se ab tak
- وہ دیکھنے ہمیں ٹک بیماری میں نہ آیاسو بار آنکھیں کھولیں بالیں سے سر اٹھایاvo dekhne hameñ ṭuk bīmārī meñ na āyāsau bār ānkheñ kholeñ bālīñ se sar uṭhāyā
- ویسا کہاں ہے ہم سے جیسا کہ آگے تھا تواوروں سے مل کے پیارے کچھ اور ہو گیا توvaisā kahāñ hai ham se jaisā ke āge thā toauroñ se mil ke pyāre kuchh aur ho gayā to
- ہجراں کی کوفت کھینچے بے دم سے ہو چلے ہیںسر مار مار یعنی اب ہم بھی سو چلے ہیںhijrāñ kī koft khīñche be dam se ho chale haiñsar mār mār ya.anī ab ham bhī so chale haiñ
- ہر جزر و مد سے دست و بغل اٹھتے ہیں خروشکس کا ہے راز بحر میں یا رب کہ یہ ہیں جوشhar jazr-o-mad se dast-o-baġhal uṭhte haiñ ḳharoshkis kā hai rāz-e-bahr meñ yā rab ke ye haiñ josh
- ہر دم طرف ہے ویسے مزاج کرخت کاٹکڑا مرا جگر ہے کہو سنگ سخت کاhar dam taraf hai vaise mizāj-e-karaḳht kāṭukṛā mirā jigar hai kaho sang-e-saḳht kā
- ہر ذی حیات کا ہے سبب جو حیات کانکلے ہے جی ہی اس کے لیے کائنات کاhar zī hayāt kā hai sabab jo hayāt kānikle hai jī hī us ke liye kā.ināt kā
- ہستی اپنی حباب کی سی ہےیہ نمائش سراب کی سی ہےhastī apnī habāb kī sī haiye numā.ish sarāb kī sī hai
- ہم آپ ہی کو اپنا مقصود جانتے ہیںاپنے سوائے کس کو موجود جانتے ہیںham āp hī ko apnā maqsūd jānte haiñapne sivā.e kis ko maujūd jānte haiñ
- ہمارے آگے ترا جب کسو نے نام لیادل ستم زدہ کو ہم نے تھام تھام لیاhamāre āge tirā jab kisū ne nām liyādil-e-sitam zada ko ham ne thām thām liyā
- ہم بھی پھرتے ہیں یک حشم لے کردستۂ داغ و فوج غم لے کرham bhī phirte haiñ yak hasham le kardasta-e-dāġh-o-fauj-e-ġham le kar
- ہم سے کچھ آگے زمانے میں ہوا کیا کیا کچھتو بھی ہم غافلوں نے آ کے کیا کیا کچھham se kuchh āge zamāne meñ huā kyā kiyā kuchhtū bhī ham ġhāfiloñ ne ā ke kyā kyā kuchh
- ہم نے جانا تھا سخن ہوں گے زباں پر کتنےپر قلم ہاتھ جو آئی لکھے دفتر کتنےham ne jānā thā suḳhan hoñge zabāñ par kitnepar qalam hāth jo ā.ī likhe daftar kitne
- ہم ہوئے تم ہوئے کہ میرؔ ہوئےاس کی زلفوں کے سب اسیر ہوئےham hue tum hue ke mīr hueus kī zulfoñ ke sab asīr hue
- ہم ہیں مجروح ماجرا ہے یہوہ نمک چھڑکے ہے مزہ ہے یہham haiñ majrūh mājrā hai yevo namak chhiṛke hai maza hai ye
- ہمیں آمد میرؔ کل بھا گئیطرح اس میں مجنوں کی سب پا گئیhameñ āmad-e-mīr kal bhā ga.ītarah is meñ majnūñ kī sab pā ga.ī
- ہنستے ہو روتے دیکھ کر غم سےچھیڑ رکھی ہے تم نے کیا ہم سےhañste ho rote dekh kar ġham sechheṛ rakhī hai tum ne kyā ham se
- ہوتا ہے یاں جہاں میں ہر روز و شب تماشادیکھا جو خوب تو ہے دنیا عجب تماشاhotā hai yāñ jahāñ meñ har roz-o-shab tamāshādekhā jo ḳhūb to hai duniyā ajab tamāshā
- ہوتی ہے گرچہ کہنے سے یارو پرائی باتپر ہم سے تو تھنبے نہ کبھو منہ پر آئی باتhotī hai garche kahne se yāro parā.ī bātpar ham se to thanbe na kabhū muñh par ā.ī bāt
- ہو عاجز کہ جسم اس قدر زور سےنہ نکلا کبھو عہدۂ مور سےho ājiz ke jism is qadar zor sena niklā kabhū ohda-e-mor se
- ہو گئی شہر شہر رسوائیاے مری موت تو بھلی آئیho ga.ī shahr shahr-e-rusvā.īai mirī maut to bhalī ā.ī
- ہیں بعد مرے مرگ کے آثار سے اب تکسوکھا نہیں لوہو در و دیوار سے اب تکhaiñ ba.ad mire marg ke āsār se ab taksūkhā nahīñ lohū dar-o-dīvār se ab tak
- ہے حال جائے گریہ جاں پر آرزو کاروئے نہ ہم کبھو ٹک دامن پکڑ کسو کاhai hāl jā.e girya-e-jāñ par ārzū kāroe na ham kabhū ṭuk dāman pakaṛ kisū kā
- ہے غزل میرؔ یہ شفائیؔ کیہم نے بھی طبع آزمائی کیhai ġhazal mīr ye shifā.ī kīham ne bhī tab.a āzmā.ī kī
- یاد ایام کہ یاں ترک شکیبائی تھاہر گلی شہر کی یاں کوچۂ رسوائی تھاyād-e-ayyām ke yāñ tark-e-shakebā.ī thāhar galī shahr kī yāñ kūcha-e-rusvā.ī thā
- یا رب کوئی ہو عشق کا بیمار نہ ہووےمر جائے ولے اس کو یہ آزار نہ ہووےyā rab koī ho ishq kā bīmār na hovemar jā.e vale us ko ye āzār na hove
- یار عجب طرح نگہ کر گیادیکھنا وہ دل میں جگہ کر گیاyār ajab tarah nigah kar gayādekhnā vo dil meñ jagah kar gayā
- یار میرا بہت ہے یار فریبمکر ہے عہد سب قرار فریبyār merā bahut hai yār farebmakr hai ahd sab qarār fareb
- یار نے ہم سے بے ادائی کیوصل کی رات میں لڑائی کیyār ne ham se be adā.ī kīvasl kī rāt meñ laṛā.ī kī
- یارو مجھے معاف رکھو میں نشے میں ہوںاب دو تو جام خالی ہی دو میں نشے میں ہوںyāro mujhe muāf rakho meñ nashe meñ hūñab do to jām ḳhālī hī do meñ nashe meñ hūñ
- یاں سرکشاں جو صاحب تاج و لوا ہوئےپامال ہو گئے تو نہ جانا کہ کیا ہوئےyāñ sarkashāñ jo sāhab-e-tāj-o-livā huepāmāl ho ga.e to na jānā ke kyā hue
- یکسو کشادہ روی پر چیں نہیں جبیں بھیہم چھوڑی مہر اس کی کاش اس کو ہووے کیں بھیyakso kushāda ravī par chīñ nahīñ jabīñ bhīham chhoṛī mehr us kī kāsh us ko hove kīñ bhī
- یوں ہی حیران و خفا جوں غنچۂ تصویر ہوںعمر گزری پر نہ جانا میں کہ کیوں دلگیر ہوںyūñ hī hairān-o-ḳhafā jūñ ġhuncha-e-tasvīr hūñumr guzrī par na jānā meñ ke kyūñ dilgīr hūñ
- یہ ترک ہو کے خشن کج اگر کلاہ کریںتو بوالہوس نہ کبھو چشم کو سیاہ کریںye tark ho ke ḳhashin kaj agar kulāh kareñtū bavālhos na kabhū chashm ko siyāh kareñ