Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ahmad Faraz

احمد فراز

1931–2008Born in KohatDied in Islamabad

Syed Ahmad Shah wrote under the pen name Ahmad Faraz. He studied Urdu and Persian at Peshawar, worked for Radio Pakistan and as a university lecturer, and in 1976 became the first head of the Pakistan Academy of Letters. Poems against military rule under Zia-ul-Haq led to his arrest and some years of self-exile. His collections include Tanha Tanha, Dard-e-Ashob and Janan Janan.

Writes about

  • Love
  • Resistance
  • Exile
  • Dissent

Poems

  1. chāk pairāhanī-e-gul ko sabā jāntī haimastī-e-shauq kahāñ band-e-qabā jāntī hai
  2. chal nikaltī haiñ ġham-e-yār se bāteñ kyā kiyāham ne bhī kīñ dar-o-dīvār se bāteñ kyā kiyā
  3. chale the yār baṛe za.am meñ havā kī tarahpalaṭ ke dekhā to baiṭhe haiñ naqsh-e-pā kī tarah
  4. ḳhāmosh ho kyūñ dād jafā kyūñ nahīñ detebismil ho to qātil ko duā kyūñ nahīñ dete
  5. ḳhud ko tire meyār se ghuṭ kar nahīñ dekhājo chhoṛ gayā us ko palaṭ kar nahīñ dekhā
  6. dukh fasāna nahīñ ke tujh se kahīñdil bhī mānā nahīñ ke tujh se kahīñ
  7. dil badan kā sharīk-e-hāl kahāñhijr phir hijr hai visāl kahāñ
  8. dil girafta hī sahī bazm sajā lī jā.eyād jānāñ se koī shām na ḳhālī jā.e
  9. dil munāfiq thā shab-e-hijr meñ soyā kaisāaur jab tujh se milā ṭūṭ ke royā kaisā
  10. dost ban kar bhī nahīñ sāth nibhāne vālāvahī andāz hai zālim kā zamāne vālā
  11. rāt ke pichhle pahar rone ke ādī roeāp ā.e bhī magar rone ke ādī roe
  12. ranjish hī sahī dil hī dikhāne ke liye āā phir se mujhe chhoṛ ke jāne ke liye ā
  13. rog aise bhī ġham-e-yār se lag jāte haiñdar se uṭhte haiñ to dīvār se lag jāte haiñ
  14. zindagī se yahī gila hai mujheto bahut der se milā hai mujhe
  15. sārā shahr bilaktā haiphir bhī kaisā sakta hai
  16. sāqiyā ek nazar jām se pahle pahleham ko jānā hai kahīñ shām se pahle pahle
  17. sāmne us ke kabhī us kī satā.ish nahīñ kīdil ne chāhā bhī agar honṭoñ ne jumbish nahīñ kī
  18. sab zaḳhm bhar chuke haiñ sab ḳhvāb mar chuke haiñab kis umīd par ham shameñ na.ī jalā.eñ
  19. sab qarīne isī dil dār ke rakh dete haiñham ġhazal meñ bhī hunar yār ke rakh dete haiñ
  20. sab log liye sang-e-malāmat nikal ā.ekis shahr meñ ham ahl mohabbat nikal ā.e
  21. sabhī kahīñ mire ġham ḳhvār ke alāva bhīkoī to bāt karūñ yār ke alāva bhī
  22. sukūt-e-shām-e-ḳhizāñ hai qarīb ā jā.obaṛā udās samāñ hai qarīb ā jā.o
  23. silsile toṛ gayā vo sabhī jāte jātevarna itne to marāsim the ke āte jāte
  24. sunā hai log use ānkh bhar ke dekhte haiñso us ke shahr meñ kuchh din ṭhahar ke dekhte haiñ
  25. sū-e-falak na jānib-e-mahtāb dekhnāis shahr-e-dil navāz ke ādāb dekhnā
  26. shola thā jal bujhā hūñ havā.eñ mujhe na domaiñ kab kā jā chukā hūñ sadā.eñ mujhe na do
  27. shagfat gul kī sadā meñ rang-e-chaman meñ ā.okoī bhī rut ho bahār ke pairahan meñ ā.o
  28. zarf-e-dil dekhā to ānkheñ karb se pathrā ga.īñḳhūn rone kī tamannā kā ye ḳhamyāza na thā
  29. āshiqī meñ mīr jaise ḳhvāb mat dekhā karobā.ole ho jā.oge mahtāb mat dekhā karo
  30. ajab junūn-e-masāfat meñ ghar se niklā thāḳhabar nahīñ hai ke sūraj kidhar se niklā thā
  31. ishq nasha hai na jādū jo utar bhī jā.eye to ik sail-e-balā hai so guzar bhī jā.e
  32. aql vo nāseh ke har dam laġhzish-e-pā kā ḳhayāldil vo dīvāna yahī chāhe ke nādānī kare
  33. ġhurūr-e-jāñ ko mire yār bech dete haiñqabā kī hirs meñ dastār bech dete haiñ
  34. ġhanīm se bhī adāvat meñ had nahīñ māñgīke hār mān lī lekin madad nahīñ māñgī
  35. ġhairat-e-ishq salāmat thī anā zinda thīvo bhī din the ke rah-o-rasm-e-vafā zinda thī
  36. faqīh-e-shahr kī majlis se kuchh bhalā na huāke us se mil ke mizāj aur kāfirāna huā
  37. qāmat ko tere sarv sanobar nahīñ kahājaisā bhī to thā us se to baṛh kar nahīñ kahā
  38. qurbat bhī nahīñ dil se utar bhī nahīñ jātāvo shaḳhs koī faisla kar bhī nahīñ jātā
  39. qurbatoñ meñ bhī judā.ī ke zamāne māñgedil vo be mehr ke rone ke bahāne māñge
  40. qurb jānāñ kā na mai ḳhāne kā mausam āyāphir se be sarfa ujaṛ jāne kā mausam āyā
  41. kitne tūfānoñ kī hāmil thī lahū kī ik būnddil meñ ik lahr uṭhī ānkh se dariyā barsā
  42. kaṭhin hai rāh guzar thoṛī dūr sāth chalobahut kaṛā hai safar thoṛī dūr sāth chalo
  43. karūñ na yād magar kis tarah bhulā.ūñ useġhazal bahāna karūñ aur gungunā.ūñ use
  44. kisī jānib se bhī parcham na lahū kā niklāab ke mausam meñ bhī ālam vahī ho kā niklā
  45. kashīda sar se tavaqqo abas jhukā.o kī thībigaṛ gayā hūñ ke sūrat yahī banā.o kī thī
  46. kal ham ne bazm-e-yār meñ kyā kyā sharāb pīsahrā kī tishnagī thī so dariyā sharāb pī
  47. kahā thā kis ne ke ahd-e-vafā karo us sejo yūñ kyā hai to phir kyūñ gila karo us se
  48. kyā aise kam suḳhan se koī guftugū karejo mustaqil sukūt se dil ko lahū kare
  49. kyūñ na ham ahd rifāqat ko bhulāne lag jā.eñshāyad is zaḳhm ko bharne meñ zamāne lag jā.eñ
  50. guftugū achchhī lagī zauq-e-nazar achchhā lagāmuddatoñ ke ba.ad koī ham safar achchhā lagā