سامنے اس کے کبھی اس کی ستائش نہیں کی
Ahmad Faraz (1931–2008)سامنے اس کے کبھی اس کی ستائش نہیں کی
دل نے چاہا بھی اگر ہونٹوں نے جنبش نہیں کی
اہل محفل پہ کب احوال کھلا ہے اپنا
میں بھی خاموش رہا اس نے بھی پرسش نہیں کی
جس قدر اس سے تعلق تھا چلا جاتا ہے
اس کا کیا رنج ہو جس کی کبھی خواہش نہیں کی
یہ بھی کیا کم ہے کہ دونوں کا بھرم قائم ہے
اس نے بخشش نہیں کی ہم نے گزارش نہیں کی
اک تو ہم کو ادب آداب نے پیاسا رکھا
اس پہ محفل میں صراحی نے بھی گردش نہیں کی
ہم کہ دکھ اوڑھ کے خلوت میں پڑے رہتے ہیں
ہم نے بازار میں زخموں کی نمائش نہیں کی
اے مرے ابر کرم دیکھ یہ ویرانۂ جاں
کیا کسی دشت پہ تو نے کبھی بارش نہیں کی
کٹ مرے اپنے قبیلے کی حفاظت کے لیے
مقتل شہر میں ٹھہرے رہے جنبش نہیں کی
وہ ہمیں بھول گیا ہو تو عجب کیا ہے فرازؔ
ہم نے بھی میل ملاقات کی کوشش نہیں کی
samne us ke kabhi us ki sataish nahin ki
dil ne chaha bhi agar honton ne jumbish nahin ki
ahl-e-mahfil pe kab ahwal khula hai apna
main bhi khamosh raha us ne bhi pursish nahin ki
jis qadar us se taalluq tha chala jata hai
us ka kya ranj ho jis ki kabhi khwahish nahin ki
ye bhi kya kam hai ke donon ka bharam qaim hai
us ne bakhshish nahin ki ham ne guzarish nahin ki
ik to ham ko adab adab ne pyasa rakha
us pe mahfil mein surahi ne bhi gardish nahin ki
ham ke dukh orh ke khalwat mein pare rahte hain
ham ne bazar mein zakhmon ki numaish nahin ki
ai mire abr-e-karam dekh ye wirana-e-jan
kya kisi dasht pe tu ne kabhi barish nahin ki
kat mire apne qabile ki hifazat ke liye
maqtal-e-shahr mein thahre rahe jumbish nahin ki
wo hamen bhul gaya ho to ajab kya hai faraz
ham ne bhi mel mulaqat ki koshish nahin ki