سنا ہے لوگ اسے آنکھ بھر کے دیکھتے ہیں
Ahmad Faraz (1931–2008)سنا ہے لوگ اسے آنکھ بھر کے دیکھتے ہیں
سو اس کے شہر میں کچھ دن ٹھہر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے ربط ہے اس کو خراب حالوں سے
سو اپنے آپ کو برباد کر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے درد کی گاہک ہے چشم ناز اس کی
سو ہم بھی اس کی گلی سے گزر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کو بھی ہے شعر و شاعری سے شغف
سو ہم بھی معجزے اپنے ہنر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے بولے تو باتوں سے پھول جھڑتے ہیں
یہ بات ہے تو چلو بات کر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے رات اسے چاند تکتا رہتا ہے
ستارے بام فلک سے اتر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے دن کو اسے تتلیاں ستاتی ہیں
سنا ہے رات کو جگنو ٹھہر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے حشر ہیں اس کی غزال سی آنکھیں
سنا ہے اس کو ہرن دشت بھر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے رات سے بڑھ کر ہیں کاکلیں اس کی
سنا ہے شام کو سائے گزر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کی سیہ چشمگی قیامت ہے
سو اس کو سرمہ فروش آہ بھر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کے لبوں سے گلاب جلتے ہیں
سو ہم بہار پہ الزام دھر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے آئنہ تمثال ہے جبیں اس کی
جو سادہ دل ہیں اسے بن سنور کے دیکھتے ہیں
سنا ہے جب سے حمائل ہیں اس کی گردن میں
مزاج اور ہی لعل و گہر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے چشم تصور سے دشت امکاں میں
پلنگ زاویے اس کی کمر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کے بدن کی تراش ایسی ہے
کہ پھول اپنی قبائیں کتر کے دیکھتے ہیں
وہ سرو قد ہے مگر بے گل مراد نہیں
کہ اس شجر پہ شگوفے ثمر کے دیکھتے ہیں
بس اک نگاہ سے لٹتا ہے قافلہ دل کا
سو رہروان تمنا بھی ڈر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کے شبستاں سے متصل ہے بہشت
مکیں ادھر کے بھی جلوے ادھر کے دیکھتے ہیں
رکے تو گردشیں اس کا طواف کرتی ہیں
چلے تو اس کو زمانے ٹھہر کے دیکھتے ہیں
کسے نصیب کہ بے پیرہن اسے دیکھے
کبھی کبھی در و دیوار گھر کے دیکھتے ہیں
کہانیاں ہی سہی سب مبالغے ہی سہی
اگر وہ خواب ہے تعبیر کر کے دیکھتے ہیں
اب اس کے شہر میں ٹھہریں کہ کوچ کر جائیں
فرازؔ آؤ ستارے سفر کے دیکھتے ہیں
suna hai log use ankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr mein kuchh din thahar ke dekhte hain
suna hai rabt hai us ko kharab halon se
so apne ap ko barbad kar ke dekhte hain
suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki
so ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
suna hai us ko bhi hai sher-o-shayari se shaghaf
so ham bhi mojize apne hunar ke dekhte hain
suna hai bole to baton se phul jharte hain
ye bat hai to chalo bat kar ke dekhte hain
suna hai rat use chand takta rahta hai
sitare bam-e-falak se utar ke dekhte hain
suna hai din ko use titliyan satati hain
suna hai rat ko jugnu thahar ke dekhte hain
suna hai hashr hain us ki ghazal si ankhen
suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
suna hai rat se barh kar hain kakulen us ki
suna hai sham ko sae guzar ke dekhte hain
suna hai us ki siyah chashmagi qayamat hai
so us ko surma farosh ah bhar ke dekhte hain
suna hai us ke labon se gulab jalte hain
so ham bahar pe ilzam dhar ke dekhte hain
suna hai aina timsal hai jabin us ki
jo sada dil hain use ban sanwar ke dekhte hain
suna hai jab se hamail hain us ki gardan mein
mizaj aur hi laal-o-guhar ke dekhte hain
suna hai chashm-e-tasawwur se dasht-e-imkan mein
palang zawiye us ki kamar ke dekhte hain
suna hai us ke badan ki tarash aisi hai
ke phul apni qabaen katar ke dekhte hain
wo sarw qad hai magar be gul-e-murad nahin
ke is shajar pe shagufe samar ke dekhte hain
bas ik nigah se lutta hai qafila dil ka
so rahrawan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain
suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht
makin idhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain
ruke to gardishen us ka tawaf karti hain
chale to us ko zamane thahar ke dekhte hain
kise nasib ke be pairahan use dekhe
kabhi kabhi dar-o-diwar ghar ke dekhte hain
kahaniyan hi sahi sab mubalaghe hi sahi
agar wo khwab hai taabir kar ke dekhte hain
ab us ke shahr mein thahren ke kuch kar jaen
faraz ao sitare safar ke dekhte hain