Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ahmad Faraz

احمد فراز

1931–2008Born in KohatDied in Islamabad

Syed Ahmad Shah wrote under the pen name Ahmad Faraz. He studied Urdu and Persian at Peshawar, worked for Radio Pakistan and as a university lecturer, and in 1976 became the first head of the Pakistan Academy of Letters. Poems against military rule under Zia-ul-Haq led to his arrest and some years of self-exile. His collections include Tanha Tanha, Dard-e-Ashob and Janan Janan.

Writes about

  • Love
  • Resistance
  • Exile
  • Dissent

Poems

  1. aziyyatoñ meñ bhī baḳhshī mujhe vo nemat sabrke mere dil meñ girah hai na mere māthe pe bal
  2. usī kī āg se merā vajūd raushan haiusī kī āb se merā zamīr hai saiqal
  3. usī ne sahl kiye mujh pe zindagī ke azābvo ahd-e-sang zanī thā ke dūr teġh-e-ajal
  4. usī ne mujh se kahā ism ahl-e-sidq amarusī ne mujh se kahā sach kā faisla hai aṭal
  5. usī ne mujh se kahā bai.at yazīd na karusī ne mujh se kahā maslak hasīn pe chal
  6. usī ne mujh se kahā zahr kā pyāla uṭhāusī ne mujh se kahā jo kahā hai us se na ṭal
  7. usī ne mujh se kahā ājizī se māt na khāusī ne mujh se kahā maslahat kī chāl na chal
  8. usī ne mujh se kahā ġhairat-e-suḳhan ko na bīchke ḳhūn-e-dil ke sharaf ko na ashrafī se badal
  9. usī ne mujh se kahā vaz-e-āshiqī ko na chhoṛvo ḳhvāh ijz kā lamha ho yā ġhurūr kā pal
  10. usī ne mujh ko chaṭānoñ ke hausle baḳhshevo karbalā-e-fanā thī ke kārgāh-e-jadal
  11. usī ne mujh ko sujhā.ī hai rāh ahl-e-safāusī ne mujh se kahā hai pal-e-sirāt pe chal
  12. usī ne mujh ko qanā.at kā boriyā baḳhshāusī ke hāth se dast-e-darāz tama.a hai shil
  13. baras baras kī tarah thā nafas nafas merāsadī sadī kī tarah kāṭṭā rahā pal pal
  14. bahut azīz hai mujh ko ye ḳhākdāñ merāye kohsār ye qulzum ye dasht ye daldal
  15. tirā vajūd hai lā raib ashraf-o-a.alājo sach kahūñ to nahīñ maiñ bhī arzal-o-asfal
  16. تری بہشت ہے دشت جمود و بہر سکوتمری سرشت ہے آشوب ذات سے بیکل
  17. tire karam se yahāñ bhī mujhe muyassar haijo zāhidoñ kī ibādat meñ ḍāltā hai ḳhalal
  18. tamām sīna figāroñ ko yād mere suḳhanhar ek ġhairat maryam ke lab pe merī ġhazal
  19. tū apne arsh pe shādāñ hai so ḳhushī terīmaiñ apne farsh pe nāzāñ hūñ ai nigār azal
  20. so tujh sā hai koī ḳhāliq na mujh sī hai maḳhlūqna koī terā hai sānī na koī merā badal
  21. farāz tū bhī junūñ meñ kidhar gayā hai nikaltirā dayār-e-mohabbat tirī nigār-e-ġhazal
  22. kuchh is tarah se guzārī hai zindagī jaisetamām umr kisī dūsre ke ghar meñ rahā
  23. kuchh aur der abhī hasrat-e-visāl meñ rahkuchh aur der abhī ātish-e-firāq meñ jal
  24. karīm hai to mirī laġhzishoñ ko pyār se dekhrahīm hai to sazā-o-jazā kī had se nikal
  25. kisī bahār shamā.il kī bāt kar ke banehar ek harf shagūfa har ek lafz kanval
  26. kisī be vafā kī ḳhātir ye junūñ farāz kab takjo tumheñ bhulā chukā hai use tum bhī bhūl jā.o
  27. kisī ko ghar se nikalte hī mil ga.ī manzilkoī hamārī tarah umr bhar safar meñ rahā
  28. kahīñ kahīñ koī lāla kahīñ kahīñ koī dāġhmirī bayāz kī sūrat hai merī fard-e-amal
  29. gunāh gār to hūñ par na is qadar ke mujhesalīb roz-e-mukāfāt kī lage bojhal
  30. mujhe na jannat gum gashta kī bashārat deke mujh ko yād abhī tak hai hijrat-e-avval
  31. mire jahāñ meñ zamān-o-makān-o-lail-o-nahārtire jahāñ meñ azal hai abad na āj na kal
  32. mire lahū meñ hai barq-e-tapāñ kā jazb-o-gureztire subū meñ mai zindagī na zahr ajal
  33. mire liye to hai so baḳhshishoñ kī ik baḳhshishqalam jo afsar-o-tabal-o-ilm se hai afzal
  34. maiñ āp apnā hī hābīl apnā hī qābīlmirī hī zāt hai maqtūl-o-qātil-o-maqtal
  35. maiñ pā ba gul hūñ magar chhū chukā manāra-e-arshso tū bhī dekh ye ḳhāk-o-ḳhashāra-o-jangal
  36. vo purfishāñ haiñ magar ġhaul shapparak kī tarahso rā.īgāñ haiñ ke jūñ chashm-e-kor meñ kājal
  37. وہ تو کہ عقدہ کشا و مسبب الاسبابیہ میں کہ آپ معمہ ہوں آپ اپنا ہی حل
  38. vo sair-e-chashm hūñ mere liye hai be vaqatjamāl-e-hūr-o-sharāb-e-tahūr-o-sher-o-asal
  39. huā hai tujh se bichhaṛne ke ba.ad ye ma.alūmke tū nahīñ thā tire sāth ek duniyā thī
  40. hai dostī to mujhe izn-e-mezbānī detū āsmāñ se utar aur mirī zamīn pe chal
  41. ye vāqi.a hai ke shāyar vo dekh saktā hairahe jo tere farishtoñ kī ānkh se ojhal
  42. yahī qalam hai jo dukh kī rutoñ meñ baḳhshtā haidiloñ ko pyār kā marham sukūn kā sandal
  43. yahī qalam hai ke ejāz harf se jis ketamām ishva tarāzān shahr haiñ pāgal
  44. yahī qalam hai ke jis kī sitāra sāzī sediloñ meñ jot jagātī hai ishq kī mashal
  45. yahī qalam hai ke jis kī sarīr ke āgehaiñ surma dar galo ḳhūñḳhvār lashkaroñ ke bigul
  46. yahī qalam hai ke jis kī atā se mujh ko mileye chāhatoñ ke shagūfe mohabbatoñ ke kanval
  47. yahī qalam hai ke jis ke hunar se nikle haiñrah-e-hayāt ke ḳham hūñ ke zulf-e-yār ke bal
  48. yahī qalam hai ke jis ne mujhe ye dars diyāke sang-o-ḳhisht kī zad par raheñge shīsh mahal