قربت بھی نہیں دل سے اتر بھی نہیں جاتا
Ahmad Faraz (1931–2008)قربت بھی نہیں دل سے اتر بھی نہیں جاتا
وہ شخص کوئی فیصلہ کر بھی نہیں جاتا
آنکھیں ہیں کہ خالی نہیں رہتی ہیں لہو سے
اور زخم جدائی ہے کہ بھر بھی نہیں جاتا
وہ راحت جاں ہے مگر اس در بدری میں
ایسا ہے کہ اب دھیان ادھر بھی نہیں جاتا
ہم دوہری اذیت کے گرفتار مسافر
پاؤں بھی ہیں شل شوق سفر بھی نہیں جاتا
دل کو تری چاہت پہ بھروسہ بھی بہت ہے
اور تجھ سے بچھڑ جانے کا ڈر بھی نہیں جاتا
پاگل ہوئے جاتے ہو فرازؔ اس سے ملے کیا
اتنی سی خوشی سے کوئی مر بھی نہیں جاتا
qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jata
wo shakhs koi faisla kar bhi nahin jata
ankhen hain ke khali nahin rahti hain lahu se
aur zakhm-e-judai hai ke bhar bhi nahin jata
wo rahat-e-jan hai magar us dar badri mein
aisa hai ke ab dhyan idhar bhi nahin jata
ham dohri aziyyat ke giraftar musafir
paon bhi hain shil shauq safar bhi nahin jata
dil ko tiri chahat pe bharosa bhi bahut hai
aur tujh se bichhar jane ka dar bhi nahin jata
pagal hue jate ho faraz us se mile kya
itni si khushi se koi mar bhi nahin jata