Poet
Rahat Indori
راحت اندوری1950–2020
Poems
- آنکھ میں پانی رکھو ہونٹوں پہ چنگاری رکھوزندہ رہنا ہے تو ترکیبیں بہت ساری رکھوānkh meñ pānī rakho honṭoñ pe chingārī rakhozinda rahnā hai to tarkībeñ bahut sārī rakho
- اب اپنی روح کے چھالوں کا کچھ حساب کروںمیں چاہتا تھا چراغوں کو آفتاب کروںab apnī rūh ke chhāloñ kā kuchh hisāb karūñmaiñ chāhtā thā charāġhoñ ko āftāb karūñ
- اپنے دیوار و در سے پوچھتے ہیںگھر کے حالات گھر سے پوچھتے ہیںapne dīvār-o-dar se pūchhte haiñghar ke hālāt ghar se pūchhte haiñ
- اٹھی نگاہ تو اپنے ہی رو بہ رو ہم تھےزمین آئنہ خانہ تھی چار سو ہم تھےuṭhī nigāh to apne hī rū ba ro ham thezamīn ā.īna ḳhāna thī chār sū ham the
- اجنبی خواہشیں سینے میں دبا بھی نہ سکوںایسے ضدی ہیں پرندے کہ اڑا بھی نہ سکوںajnabī ḳhvāhisheñ sīne meñ dabā bhī na sakūñaise ziddī haiñ parinde ke uṛā bhī na sakūñ
- اسے اب کے وفاؤں سے گزر جانے کی جلدی تھیمگر اس بار مجھ کو اپنے گھر جانے کی جلدی تھیuse ab ke vafā.oñ se guzar jāne kī jaldī thīmagar is bār mujh ko apne ghar jāne kī jaldī thī
- اسے سامان سفر جان یہ جگنو رکھ لےراہ میں تیرگی ہوگی مرے آنسو رکھ لےuse sāmān-e-safar jān ye jugnū rakh lerāh meñ tīrgī hogī mire ānsū rakh le
- اندر کا زہر چوم لیا دھل کے آ گئےکتنے شریف لوگ تھے سب کھل کے آ گئےandar kā zahr chūm liyā dhul ke ā ga.ekitne sharīf log the sab khul ke ā ga.e
- اندھیرے چاروں طرف سائیں سائیں کرنے لگےچراغ ہاتھ اٹھا کر دعائیں کرنے لگےandhere chāroñ taraf sā.eñ sā.eñ karne lagecharāġh hāth uṭhā kar duā.eñ karne lage
- بلاتی ہے مگر جانے کا نئیںوہ دنیا ہے ادھر جانے کا نئیںbulātī hai magar jāne kā na.īñvo duniyā hai idhar jāne kā na.īñ
- بیٹھے بیٹھے کوئی خیال آیازندہ رہنے کا پھر سوال آیاbaiṭhe baiṭhe koī ḳhayāl āyāzinda rahne kā phir savāl āyā
- بیر دنیا سے قبیلے سے لڑائی لیتےایک سچ کے لئے کس کس سے برائی لیتےbair duniyā se qabīle se laṛā.ī leteek sach ke liye kis kis se burā.ī lete
- بیمار کو مرض کی دوا دینی چاہیےمیں پینا چاہتا ہوں پلا دینی چاہیےbīmār ko maraz kī davā denī chāhiyemaiñ pīnā chāhtā hūñ pilā denī chāhiye
- پرانے داؤں پر ہر دن نئے آنسو لگاتا ہےوہ اب بھی اک پھٹے رومال پر خوشبو لگاتا ہےpurāne dā.oñ par har din na.e ānsū lagātā haivo ab bhī ik phaṭe rūmāl par ḳhushbū lagātā hai
- تمہارے نام پر میں نے ہر آفت سر پہ رکھی تھینظر شعلوں پہ رکھی تھی زباں پتھر پہ رکھی تھیtumhāre nām par maiñ ne har āfat sar pe rakhī thīnazar sholoñ pe rakhī thī zabāñ patthar pe rakhī thī
- تیری ہر بات محبت میں گوارا کر کےدل کے بازار میں بیٹھے ہیں خسارہ کر کےterī har bāt mohabbat meñ gavārā kar kedil ke bāzār meñ baiṭhe haiñ ḳhasāra kar ke
- جا کے یہ کہہ دے کوئی شعلوں سے چنگاری سےپھول اس بار کھلے ہیں بڑی تیاری سےjā ke ye kah de koī sholoñ se chingārī sephūl is bār khule haiñ baṛī tayyārī se
- جب کبھی پھولوں نے خوشبو کی تجارت کی ہےپتی پتی نے ہواؤں سے شکایت کی ہےjab kabhī phūloñ ne ḳhushbū kī tijārat kī haipattī pattī ne havā.oñ se shikāyat kī hai
- جو منصبوں کے پجاری پہن کے آتے ہیںکلاہ طوق سے بھاری پہن کے آتے ہیںjo mansaboñ ke pujārī pahan ke āte haiñkulāh tauq se bhārī pahan ke āte haiñ
- جو یہ ہر سو فلک منظر کھڑے ہیںنہ جانے کس کے پیروں پر کھڑے ہیںjo ye har sū falak manzar khaṛe haiñna jāne kis ke pairoñ par khaṛe haiñ
- چراغوں کا گھرانا چل رہا ہےہوا سے دوستانہ چل رہا ہےcharāġhoñ kā gharānā chal rahā haihavā se dostāna chal rahā hai
- چراغوں کو اچھالا جا رہا ہےہوا پر رعب ڈالا جا رہا ہےcharāġhoñ ko uchhālā jā rahā haihavā par rob ḍālā jā rahā hai
- چمکتے لفظ ستاروں سے چھین لائے ہیںہم آسماں سے غزل کی زمین لائے ہیںchamakte lafz sitāroñ se chhīn lā.e haiñham āsmāñ se ġhazal kī zamīn lā.e haiñ
- چہروں کی دھوپ آنکھوں کی گہرائی لے گیاآئینہ سارے شہر کی بینائی لے گیاchehroñ kī dhūp ānkhoñ kī gahrā.ī le gayāā.īna sāre shahr kī bīnā.ī le gayā
- حوصلے زندگی کے دیکھتے ہیںچلئے کچھ روز جی کے دیکھتے ہیںhausle zindagī ke dekhte haiñchaliye kuchh roz jī ke dekhte haiñ
- دلوں میں آگ لبوں پر گلاب رکھتے ہیںسب اپنے چہروں پہ دوہری نقاب رکھتے ہیںdiloñ meñ āg laboñ par gulāb rakhte haiñsab apne chehroñ pe dohrī naqāb rakhte haiñ
- دوستی جب کسی سے کی جائےدشمنوں کی بھی رائے لی جائےdostī jab kisī se kī jā.edushmanoñ kī bhī rā.e lī jā.e
- رات کی دھڑکن جب تک جاری رہتی ہےسوتے نہیں ہم ذمہ داری رہتی ہےrāt kī dhaṛkan jab tak jārī rahtī haisote nahīñ ham zimma dārī rahtī hai
- روز تاروں کو نمائش میں خلل پڑتا ہےچاند پاگل ہے اندھیرے میں نکل پڑتا ہےroz tāroñ ko numā.ish meñ ḳhalal paṛtā haichānd pāgal hai andhere meñ nikal paṛtā hai
- زندگی کو زخم کی لذت سے مت محروم کرراستے کے پتھروں سے خیریت معلوم کرzindagī ko zaḳhm kī lazzat se mat mahrūm karrāste ke pattharoñ se ḳhairiyat ma.alūm kar
- زندگی کی ہر کہانی بے اثر ہو جائے گیہم نہ ہوں گے تو یہ دنیا در بدر ہو جائے گیzindagī kī har kahānī be asar ho jā.egīham na hoñge to ye duniyā dar badar ho jā.egī
- ساتھ منزل تھی مگر خوف و خطر ایسا تھاعمر بھر چلتے رہے لوگ سفر ایسا تھاsāth manzil thī magar ḳhauf-o-ḳhatar aisā thāumr bhar chalte rahe log safar aisā thā
- سبب وہ پوچھ رہے ہیں اداس ہونے کامرا مزاج نہیں بے لباس ہونے کاsabab vo pūchh rahe haiñ udās hone kāmirā mizāj nahīñ be libās hone kā
- سب کو رسوا باری باری کیا کروہر موسم میں فتوے جاری کیا کروsab ko rusvā bārī bārī kyā karohar mausam meñ fatve jārī kyā karo
- سب کی پگڑی کو ہواؤں میں اچھالا جائےسوچتا ہوں کوئی اخبار نکالا جائےsab kī pagṛī ko havā.oñ meñ uchhālā jā.esochtā hūñ koī aḳhbār nikālā jā.e
- سر پر سات آکاش زمیں پر سات سمندر بکھرے ہیںآنکھیں چھوٹی پڑ جاتی ہیں اتنے منظر بکھرے ہیںsar par sāt ākāsh zamīñ par sāt samundar bikhre haiñānkheñ chhoṭī paṛ jātī haiñ itne manzar bikhre haiñ
- سسکتی رت کو مہکتا گلاب کر دوں گامیں اس بہار میں سب کا حساب کر دوں گاsisaktī rut ko mahaktā gulāb kar dūñgāmaiñ is bahār meñ sab kā hisāb kar dūñgā
- سوال گھر نہیں بنیاد پر اٹھایا ہےہمارے پاؤں کی مٹی نے سر اٹھایا ہےsavāl ghar nahīñ buniyād par uṭhāyā haihamāre pā.oñ kī miṭṭī ne sar uṭhāyā hai
- شام نے جب پلکوں پہ آتش دان لیاکچھ یادوں نے چٹکی میں لوبان لیاshām ne jab palkoñ pe ātish dān liyākuchh yādoñ ne chuṭkī meñ lobān liyā
- شجر ہیں اب ثمر آثار میرےچلے آتے ہیں دعویدار میرےshajar haiñ ab samar āsār merechale āte haiñ da.avedār mere
- شہر کیا دیکھیں کہ ہر منظر میں جالے پڑ گئےایسی گرمی ہے کہ پیلے پھول کالے پڑ گئےshahr kyā dekheñ ke har manzar meñ jāle paṛ ga.eaisī garmī hai ke pīle phūl kāle paṛ ga.e
- صرف خنجر ہی نہیں آنکھوں میں پانی چاہئےاے خدا دشمن بھی مجھ کو خاندانی چاہئےsirf ḳhanjar hī nahīñ ānkhoñ meñ pānī chāhiyeai ḳhudā dushman bhī mujh ko ḳhāndānī chāhiye
- صرف سچ اور جھوٹ کی میزان میں رکھے رہےہم بہادر تھے مگر میدان میں رکھے رہےsirf sach aur jhūṭ kī mīzān meñ rakhe raheham bahādur the magar maidān meñ rakhe rahe
- فیصلے لمحات کے نسلوں پہ بھاری ہو گئےباپ حاکم تھا مگر بیٹے بھکاری ہو گئےfaisle lamhāt ke nasloñ pe bhārī ho ga.ebāp hākim thā magar beṭe bhikārī ho ga.e
- کالی راتوں کو بھی رنگین کہا ہے میں نےتیری ہر بات پہ آمین کہا ہے میں نےkālī rātoñ ko bhī rangīn kahā hai maiñ neterī har bāt pe āmīn kahā hai maiñ ne
- کام سب غیر ضروری ہیں جو سب کرتے ہیںاور ہم کچھ نہیں کرتے ہیں غضب کرتے ہیںkām sab ġhair zarūrī haiñ jo sab karte haiñaur ham kuchh nahīñ karte haiñ ġhazab karte haiñ
- کبھی دماغ کبھی دل کبھی نظر میں رہویہ سب تمہارے ہی گھر ہیں کسی بھی گھر میں رہوkabhī dimāġh kabhī dil kabhī nazar meñ rahoye sab tumhāre hī ghar haiñ kisī bhī ghar meñ raho
- کہیں اکیلے میں مل کر جھنجھوڑ دوں گا اسےجہاں جہاں سے وہ ٹوٹا ہے جوڑ دوں گا اسےkahīñ akele meñ mil kar jhinjhoṛ dūñgā usejahāñ jahāñ se vo ṭūṭā hai joṛ dūñgā use
- گھر سے یہ سوچ کے نکلا ہوں کہ مر جانا ہےاب کوئی راہ دکھا دے کہ کدھر جانا ہےghar se ye soch ke niklā hūñ ke mar jānā haiab koī rāh dikhā de ke kidhar jānā hai
- لوگ ہر موڑ پہ رک رک کے سنبھلتے کیوں ہیںاتنا ڈرتے ہیں تو پھر گھر سے نکلتے کیوں ہیںlog har moṛ pe ruk ruk ke sambhalte kyūñ haiñitnā ḍarte haiñ to phir ghar se nikalte kyūñ haiñ