Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Rahat Indori

راحت اندوری

1950–2020

Poems

Meter
  1. ik mulāqāt kā jādū ke utartā hī nahīñtirī ḳhushbū mirī chādar se nahīñ jātī hai
  2. botaleñ khol kar to pī barsoñāj dil khol kar bhī pī jā.e
  3. tujh se milne kī tamannā bhī bahut hai lekināne jāne meñ kirāya bhī bahut lagtā hai
  4. terī mahfil se jo niklā to ye manzar dekhāmujhe logoñ ne bulāyā mujhe chhū kar dekhā
  5. sūraj sitāre chānd mire sāth meñ rahejab tak tumhāre hāth mire hāth meñ rahe
  6. shāḳhoñ se ṭūṭ jā.eñ vo patte nahīñ haiñ hamāndhī se koī kah de ke auqāt meñ rahe
  7. kālij ke sab bachche chup haiñ kāġhaz kī ik nā.o liyechāroñ taraf dariyā kī sūrat phailī huī bekārī hai
  8. maiñ parbatoñ se laṛtā rahā aur chand loggīlī zamīn khod ke farhād ho ga.e
  9. میں مر جاؤں تو میری ایک الگ پہچان لکھ دینالہو ث میری پیشانی پے ہندستان لکھ دینا
  10. vo chāhtā thā ke kāsa ḳharīd le merāmaiñ us ke tāj kī qīmat lagā ke lauṭ āyā
  11. ham apnī jān ke dushman ko apnī jān kahte haiñmohabbat kī isī miṭṭī ko hindsitān kahte haiñ
  12. hamāre mīr taqī mīr ne kahā thā kabhīmiyāñ ye āshiqī izzat bigāṛ detī hai