سسکتی رت کو مہکتا گلاب کر دوں گا
Rahat Indori (1950–2020)سسکتی رت کو مہکتا گلاب کر دوں گا
میں اس بہار میں سب کا حساب کر دوں گا
میں انتظار میں ہوں تو کوئی سوال تو کر
یقین رکھ میں تجھے لا جواب کر دوں گا
ہزار پردوں میں خود کو چھپا کے بیٹھ مگر
تجھے کبھی نہ کبھی بے نقاب کر دوں گا
مجھے بھروسہ ہے اپنے لہو کے قطروں پر
میں نیزے نیزے کو شاخ گلاب کر دوں گا
مجھے یقین کہ محفل کی روشنی ہوں میں
اسے یہ خوف کہ محفل خراب کر دوں گا
مجھے گلاس کے اندر ہی قید رکھ ورنہ
میں سارے شہر کا پانی شراب کر دوں گا
مہاجنوں سے کہو تھوڑا انتظار کریں
شراب خانے سے آ کر حساب کر دوں گا
sisakti rut ko mahakta gulab kar dunga
main is bahar mein sab ka hisab kar dunga
main intizar mein hun to koi sawal to kar
yaqin rakh mein tujhe la jawab kar dunga
hazar pardon mein khud ko chhupa ke baith magar
tujhe kabhi na kabhi be naqab kar dunga
mujhe bharosa hai apne lahu ke qatron par
main neze neze ko shakh-e-gulab kar dunga
mujhe yaqin ke mahfil ki raushni hun main
use ye khauf ke mahfil kharab kar dunga
mujhe gilas ke andar hi qaid rakh warna
main sare shahr ka pani sharab kar dunga
mahajanon se kaho thora intizar karen
sharab khane se a kar hisab kar dunga