Poet
Zaheer Dehlvi
ظہیر دہلوی1835–1911
Poems
- ابھی سے آ گئیں نام خدا ہیں شوخیاں کیا کیامری تقدیر بن بن کر بدلتی ہے زباں کیا کیاabhī se ā ga.īñ nām-e-ḳhudā haiñ shoḳhiyāñ kyā kyāmirī taqdīr ban ban kar badaltī hai zabāñ kyā kyā
- ان کو حال دل پر سوز سنا کر اٹھےاور دو چار کے گھر آگ لگا کر اٹھےun ko hāl-e-dil pur soz sunā kar uṭheaur do chār ke ghar āg lagā kar uṭhe
- ایسے کی محبت کو محبت نہ کہیں گےاس عام عنایت کو عنایت نہ کہیں گےaise kī mohabbat ko mohabbat na kaheñgeis ām ināyat ko ināyat na kaheñge
- اے مہرباں ہے گر یہی صورت نباہ کیباز آئے دل لگانے سے توبہ گناہ کیai mehrbāñ hai gar yahī sūrat nibāh kībāz ā.e dil lagāne se tauba gunāh kī
- بتوں سے بچ کے چلنے پر بھی آفت آ ہی جاتی ہےیہ کافر وہ قیامت ہیں طبیعت آ ہی جاتی ہےbutoñ se bach ke chalne par bhī āfat ā hī jātī haiye kāfir vo qayāmat haiñ tabī.at ā hī jātī hai
- بزم دشمن میں جا کے دیکھ لیالے تجھے آزما کے دیکھ لیاbazm-e-dushman meñ jā ke dekh liyāle tujhe āzmā ke dekh liyā
- بگڑ کر عدو سے دکھاتے ہیں آپبناوٹ کی باتیں بناتے ہیں آپbigaṛ kar adū se dikhāte haiñ āpbanāvaṭ kī bāteñ banāte haiñ āp
- بھول کر ہرگز نہ لیتے ہم زباں سے نام عشقگر نظر آتا ہمیں آغاز میں انجام عشقbhūl kar hargiz na lete ham zabāñ se nām-e-ishqgar nazar ātā hameñ āġhāz meñ anjām-e-ishq
- پان بن بن کے مری جان کہاں جاتے ہیںیہ مرے قتل کے سامان کہاں جاتے ہیںpān ban ban ke mirī jān kahāñ jāte haiñye mire qatl ke sāmān kahāñ jāte haiñ
- تلافی وفا کی جفا چاہتا ہوںتمھیں خود یہ کہہ دو برا چاہتا ہوںtalāfī vafā kī jafā chāhtā hūñtumheñ ḳhud ye kah do burā chāhtā hūñ
- تلخ شکوے لب شیریں سے مزا دیتے ہیںگھول کر شہد میں وہ زہر پلا دیتے ہیںtalḳh shikve lab-e-shīrīñ se mazā dete haiñghol kar shahd meñ vo zahr pilā dete haiñ
- جاتے ہو تم جو روٹھ کے جاتے ہیں جی سے ہمتم کیا خفا ہو خود ہیں خفا زندگی سے ہمjāte ho tum jo rūṭh ke jāte haiñ jī se hamtum kyā ḳhafā ho ḳhud haiñ ḳhafā zindagī se ham
- جہاں میں کون کہہ سکتا ہے تم کو بے وفا تم ہویہ تھوڑی وضع داری ہے کہ دشمن آشنا تم ہوjahāñ meñ kaun kah saktā hai tum ko be vafā tum hoye thoṛī vaz.a dārī hai ke dushman āshnā tum ho
- حریف راز ہیں اے بے خبر در و دیوارکہ گوش رکھتے ہیں سب سر بہ سر در و دیوارharīf-e-rāz haiñ ai be ḳhabar dar-o-dīvārke gosh rakhte haiñ sab sar ba sar dar-o-dīvār
- حسینوں میں رتبہ دوبالا ہے تیراکہ بیمار الفت مسیحا ہے تیراhasīnoñ meñ rutba dobālā hai terāke bīmār ulfat masīhā hai terā
- دل کو آزار لگا وہ کہ چھپا بھی نہ سکوںپردہ وہ آ کے پڑا ہے کہ اٹھا بھی نہ سکوںdil ko āzār lagā vo ke chhupā bhī na sakūñparda vo ā ke paṛā hai ke uṭhā bhī na sakūñ
- دل کو دارالسرور کہتے ہیںجلوہ گاہ حضور کہتے ہیںdil ko dārālsaror kahte haiñjalva gāh-e-huzūr kahte haiñ
- دل گیا دل کا نشاں باقی رہادل کی جا درد نہاں باقی رہاdil gayā dil kā nishāñ bāqī rahādil kī jā dard-e-nihāñ bāqī rahā
- دے حشر کے وعدے پہ اسے کون بھلا قرضتم لے کے نہ دیتے ہو کسی کا نہ دیا قرضde hashr ke va.ade pe use kaun bhalā qarztum le ke na dete ho kisī kā na diyā qarz
- رقیبوں کو ہم راہ لانا نہ چھوڑانہ چھوڑا مرا جی جلانا نہ چھوڑاraqīboñ ko ham rāh lānā na chhoṛāna chhoṛā mirā jī jalānā na chhoṛā
- رنج راحت اثر نہ ہو جائےدرد کا دل میں گھر نہ ہو جائےranj rāhat asar na ho jā.edard kā dil meñ ghar na ho jā.e
- رنگ جمنے نہ دیا بات کو چلنے نہ دیاکوئی پہلو مرے مطلب کا نکلنے نہ دیاrang jamne na diyā bāt ko chalne na diyākoī pahlū mire matlab kā nikalne na diyā
- رہتا تو ہے اس بزم میں چرچا مرے دل کااچھا ہے یہ اچھا ہو نہ سودا مرے دل کاrahtā to hai is bazm meñ charchā mire dil kāachchhā hai ye achchhā ho na saudā mire dil kā
- ساقیا مر کے اٹھیں گے ترے مے خانے سےعہد و پیماں ہیں یہی زیست میں پیمانے سےsāqiyā mar ke uṭheñge tire mai ḳhāne seahd-o-paimāñ haiñ yahī zīst meñ paimāne se
- سخت دشوار ہے پہلو میں بچانا دل کاکچھ نگاہوں سے برستا ہے چرانا دل کاsaḳht dushvār hai pahlū meñ bachānā dil kākuchh nigāhoñ se barastā hai churānā dil kā
- عشق اور عشق شعلہ ور کی آگآگ اور الفت بشر کی آگishq aur ishq shola var kī āgāg aur ulfat-e-bashar kī āg
- غوغائے پند گو نہ رہا نوحہ گر رہاہنگامہ اک نہ اک مرے بالین پر رہاġhauġhā-e-pand go na rahā nauha gir rahāhangāma ik na ik mire bālen par rahā
- فتنہ گر شوخی حیا کب تکدیکھنا اور نہ دیکھنا کب تکfitna gar shoḳhī hayā kab takdekhnā aur na dekhnā kab tak
- کچھ شکوے گلے ہوتے کچھ طیش سوا ہوتاقسمت میں نہ ملنا تھا ملتے بھی تو کیا ہوتاkuchh shikve gale hote kuchh taish sivā hotāqismat meñ na milnā thā milte bhī to kyā hotā
- کچھ نہ کچھ رنج وہ دے جاتے ہیں آتے جاتےچھوڑ جاتے ہیں شگوفے کوئی جاتے جاتےkuchh na kuchh ranj vo de jāte haiñ āte jātechhoṛ jāte haiñ shagūfe koī jāte jāte
- کفر میں بھی ہم رہے قسمت سے ایماں کی طرفشکر ہے کعبہ بھی نکلا کوئے جاناں کی طرفkufr meñ bhī ham rahe qismat se īmāñ kī tarafshukr hai ka.aba bhī niklā kū-e-jānāñ kī taraf
- کیوں کسی سے وفا کرے کوئیخود برے ہوں تو کیا کرے کوئیkyūñ kisī se vafā kare koīḳhud bure hūñ to kyā kare koī
- گل افشانی کے دم بھرتی ہے چشم خوں فشاں کیا کیاہمارے زیب دامن ہے بہار گلستاں کیا کیاgul afshānī ke dam bhartī hai chashm-e-ḳhūñ fishāñ kyā kyāhamāre zeb dāman hai bahār-e-gulsitāñ kyā kyā
- گل ہوا یہ کس کی ہستی کا چراغمدعی کے گھر جلا گھی کا چراغgul huā ye kis kī hastī kā charāġhmudda.ī ke ghar jalā ghī kā charāġh
- گیسو سے عنبری ہے صبا اور صبا سے ہممہکی ہوئی ہے آج ہوا اور ہوا سے ہمgesū se ambarī hai sabā aur sabā se hammahkī huī hai āj huā aur havā se ham
- ملنے کا نہیں رزق مقدر سے سوا اورکیا گھر میں خدا اور ہے غربت میں خدا اورmilne kā nahīñ rizq-e-muqaddar se sivā aurkyā ghar meñ ḳhudā aur hai ġhurbat meñ ḳhudā aur
- نصیحت گرو دل لگایا تو ہوتاکبھی خنجر عشق کھایا تو ہوتاnasīhat giro dil lagāyā to hotākabhī ḳhanjar-e-ishq khāyā to hotā
- نو گرفتار قفس ہوں مجھے کچھ یاد نہیںلب پہ شیون نہیں نالہ نہیں فریاد نہیںnau giraftār-e-qafas hūñ mujhe kuchh yād nahīñlab pe shevan nahīñ nāla nahīñ fariyād nahīñ
- واں طبیعت دم تقریر بگڑ جاتی ہےبات کی بات میں توقیر بگڑ جاتی ہےvāñ tabī.at dam-e-taqrīr bigaṛ jātī haibāt kī bāt meñ tauqīr bigaṛ jātī hai
- وہ جو کچھ کچھ نگہ ملانے لگےہم ہر اک سے نظر چرانے لگےvo jo kuchh kuchh nigah milāne lageham har ik se nazar churāne lage
- وہ جھوٹا عشق ہے جس میں فغاں ہووہ کچی آگ ہے جس میں دھواں ہوvo jhūṭā ishq hai jis meñ fuġhāñ hovo kachchī āg hai jis meñ dhuāñ ho
- وہ کس پیار سے کوسنے دے رہے ہیںبلائیں عداوت کی ہم لے رہے ہیںvo kis pyār se kosne de rahe haiñbalā.eñ adāvat kī ham le rahe haiñ
- وہ کسی سے تم کو جو ربط تھا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہووہ کسی پہ تھا کوئی مبتلا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہوvo kisī se tum ko jo rabt thā tumheñ yād ho ke na yād hovo kisī pe thā koī mubtalā tumheñ yād ho ke na yād ho
- وہ نیرنگ الفت کو کیا جانتا ہےکہ اپنے سے مجھ کو جدا جانتا ہےvo nairang-e-ulfat ko kyā jāntā haike apne se mujh ko judā jāntā hai
- ہاتھ سے ہیہات کیا جاتا رہامرنے جینے کا مزا جاتا رہاhāth se hehāt kyā jātā rahāmarne jīne kā mazā jātā rahā
- ہائے اس شوخ کا انداز سے آنا شب وصلاور رہ رہ کے وہ احسان جتانا شب وصلhā.e us shoḳh kā andāz se ānā shab-e-vaslaur rah rah ke vo ehsān jatānā shab-e-vasl
- ہائے کافر ترے ہم راہ عدو آتا ہےکیا کہوں پاس یہ تیرا ہے کہ تو آتا ہےhā.e kāfir tire ham rāh adū ātā haikyā kahūñ pās ye terā hai ke tū ātā hai
- ہم نشیں ان کے طرف دار بنے بیٹھے ہیںمیرے غم خوار دل آزار بنے بیٹھے ہیںham nashīñ un ke taraf dār bane baiṭhe haiñmere ġham ḳhvār dil āzār bane baiṭhe haiñ
- یہ سب کہنے کی باتیں ہیں ہم ان کو چھوڑ بیٹھے ہیںجب آنکھیں چار ہوتی ہیں مروت آ ہی جاتی ہےye sab kahne kī bāteñ haiñ ham un ko chhoṛ baiṭhe haiñjab ānkheñ chār hotī haiñ muravvat ā hī jātī hai