ہم نشیں ان کے طرف دار بنے بیٹھے ہیں
Zaheer Dehlvi (1835–1911)ہم نشیں ان کے طرف دار بنے بیٹھے ہیں
میرے غم خوار دل آزار بنے بیٹھے ہیں
بات کیا ان سے کروں ان کے اٹھاؤں کیوں کر
مدعی بیچ میں دیوار بنے بیٹھے ہیں
ناتوانی نے ادھر پاؤں پکڑ رکھے ہیں
وہ نزاکت سے گراں بار بنے بیٹھے ہیں
کیا بری شے ہے محبت بھی الٰہی توبہ
جرم ناکردہ خطاوار بنے بیٹھے ہیں
بے وفائی کے گلے جن کے ہوئے تھے کل تک
آج دنیا کے وفادار بنے بیٹھے ہیں
وہ ہیں اور غیر ہیں اور عیش کے سامان ظہیرؔ
ہم الگ سب سے گنہ گار بنے بیٹھے ہیں
ham nashin un ke taraf dar bane baithe hain
mere gham khwar dil azar bane baithe hain
bat kya un se karun un ke uthaun kyun kar
muddai bich mein diwar bane baithe hain
natawani ne idhar paon pakar rakhe hain
wo nazakat se giran bar bane baithe hain
kya buri shai hai mohabbat bhi ilahi tauba
jurm nakarda khatawar bane baithe hain
be wafai ke gale jin ke hue the kal tak
aj duniya ke wafadar bane baithe hain
wo hain aur ghair hain aur aish ke saman zahir
ham alag sab se gunah gar bane baithe hain