Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Bekhud Dehlvi

بیخود دہلوی

1863–1955

Poems

Meter
  1. āp haiñ be gunāh kyā kahnākyā safā.ī hai vāh kyā kahnā
  2. ā ga.e phir tire armān miṭāne ham kodil se pahle ye lagā deñge ṭhikāne ham ko
  3. ab us se kyā tumheñ thā yā umīdvār na thātumhāre vasl kā tum se to ḳhvāst gār na thā
  4. ab kisī bāt kā tālib dil-e-nāshād nahīñāp kī ain ināyat hai ye bedād nahīñ
  5. uṭhe tirī mahfil se to kis kām ke uṭhedil thām ke baiṭhe the jigar thām ke uṭhe
  6. aur sāqī pilā abhī kyā haiterī sarkār meñ kamī kyā hai
  7. aisā banā diyā tujhe qudrat ḳhudā kī haikis husn kā hai husn-e-adā kis adā kī hai
  8. bāt karne kī shab-e-vasl ijāzat de domujh ko dam bhar ke liye ġhair kī qismat de do
  9. bazm-e-dushman meñ bulāte ho ye kyā karte hoaur phir ānkh churāte ho ye kyā karte ho
  10. banī thī dil pe kuchh aisī kī iztirāb na thāġhashī ko āp ne samjhā thā ḳhvāb ḳhvāb na thā
  11. betāb raheñ hijr meñ kuchh dil to nahīñ hamtaṛpeñ jo tujhe dekh ke bismil to nahīñ ham
  12. bechne ā.e koī kyā dil-e-shaidā le kardām dete hī nahīñ āp to saudā le kar
  13. pachhtā.oge phir ham se sharārat nahīñ achchhīye shoḳh nigāhī dam-e-ruḳhsat nahīñ achchhī
  14. tum hamāre dil-e-shaidā ko nahīñ jānte kyāaur ġhairoñ kī tamannā ko nahīñ jānte kyā
  15. tumheñ ham chāhte to haiñ magar kyāmohabbat kyā mohabbat kā asar kyā
  16. teshe se koī kām na farhād se huājo kuchh huā vo ishq kī imdād se huā
  17. ṭūṭe paṛte haiñ ye haiñ kis ke ḳharīdār tamāmsub.h se band haiñ kyūñ misr ke bāzār tamām
  18. jatā.e jāte haiñ ehsān bhī satā ke mujhesikhā rahe haiñ vo goyā chalan vafā ke mujhe
  19. jo tujhe imtihān detā haikis ḳhushī se vo jān detā hai
  20. jo tamāshā nazar āyā use dekhā samjhājab samajh ā ga.ī duniyā ko tamāshā samjhā
  21. jhūṭ sach āp to ilzām diye jāte haiñbāt sunte nahīñ dushnām diye jāte haiñ
  22. hijāb dūr tumhārā shabāb kar degāye vo nasha hai tumheñ be hijāb kar degā
  23. hazrat-e-dil ye ishq hai dard se kasmasā.e kyūñmaut abhī se ā.e kyūñ jān abhī se jā.e kyūñ
  24. ḳhudā rakhe tujhe merī burā.ī dekhne vālevafādārī meñ tarz-e-be vafā.ī dekhne vāle
  25. dil churā le ga.ī duzdīda nazar dekh liyāham na kahte the ke is chūr ne ghar dekh liyā
  26. dil meñ phir vasl ke armān chale āte haiñmere rūṭhe hue mehmān chale āte haiñ
  27. dil hai mushtāq judā ānkh talab gār judāḳhvāhish-e-vasl judā hasrat-e-dīdār judā
  28. donoñ hī kī jānib se ho gar ahd-e-vafā hochāhat kā mazā jab hai ke tum bhī mujhe chāho
  29. de mohabbat to mohabbat meñ asar paidā karjo idhar dil meñ hai yā rab vo idhar paidā kar
  30. rāt bhar gardish thī un ke pāsbānoñ kī tarahpāoñ meñ chakkar thā mere āsmānoñ kī tarah
  31. raushan hamārā dil hai mohammad ke nūr selā.e haiñ is charāġh ko ham koh-e-tūr se
  32. sham-e-mazār thī na koī sogvār thātum jis pe ro rahe the ye kis kā mazār thā
  33. shauq apnā āp maiñ apnī zabāñ se kyūñ kahūñdil jo kuchh kahtā hai vo is bad gumāñ se kyūñ kahūñ
  34. sabr ātā hai judā.ī meñ na ḳhvāb ātā hairāt ātī hai ilāhī ke azāb ātā hai
  35. āshiq samajh rahe haiñ mujhe dil lagī se āpvāqif nahīñ abhī mire dil kī lagī se āp
  36. āshiq haiñ magar ishq numāyāñ nahīñ rakhteham dil kī tarah chāk-e-garebāñ nahīñ rakhte
  37. adū ko dekh ke jab vo idhar ko dekhte haiñnazar churā ke ham un kī nazar ko dekhte haiñ
  38. adū ke tākne ko tum idhar dekho idhar dekhomagar ham tum ko dekhe jā.eñ tum chāho jidhar dekho
  39. qayāmat hai jo aise par dil-e-umīdvār ā.ejise va.ade se nafrat ho jise milne se ār ā.e
  40. kab tak kareñge jabr dil-e-nāsabūr parmūsā to jā ke baiṭh rahe koh-e-tūr par
  41. kyā mile āp kī mahfil meñ bhalā ek se ekrashk aisā hai ke baiṭhā hai judā ek se ek
  42. kyūñ kah ke dil kā hāl use bad gumāñ karūñye rāz vo nahīñ hai jise maiñ bayāñ karūñ
  43. laṛā.eñ ānkh vo tirchhī nazar kā vār rahne deñlaṛakpan hai abhī nām-e-ḳhudā talvār rahne deñ
  44. lutf se matlab na kuchh mere satāne se ġharazshoḳhiyoñ se kām un ko muskurāne se ġharaz
  45. ma.ashūq hameñ bāt kā pūrā nahīñ miltādil jis se milā.eñ koī aisā nahīñ miltā
  46. muñh pher kar vo kahte haiñ bas mān jā.iyeis sharm is lihāz ke qurbān jā.iye
  47. mere hamrāh mire ghar pe bhī āfat ā.īāsmāñ ṭūṭ paṛā barq girī chhat ā.ī
  48. na armāñ ban ke āte haiñ na hasrat ban ke āte haiñshab-e-va.ada vo dil meñ dard-e-furqat ban ke āte haiñ
  49. na sahī āp hamāre jo muqaddar meñ nahīñab vo pahlī sī taṛap bhī dil-e-muztar meñ nahīñ
  50. na kyūñ kar nazr-e-dil hotā na kyūñ kar dam mirā jātāakelā bhejtā us ko vo ḳhālī hāth kyā jātā