دے محبت تو محبت میں اثر پیدا کر
Bekhud Dehlvi (1863–1955)دے محبت تو محبت میں اثر پیدا کر
جو ادھر دل میں ہے یا رب وہ ادھر پیدا کر
دود دل عشق میں اتنا تو اثر پیدا کر
سر کٹے شمع کی مانند تو سر پیدا کر
پھر ہمارا دل گم گشتہ بھی مل جائے گا
پہلے تو اپنا دہن اپنی کمر پیدا کر
کام لینے ہیں محبت میں بہت سے یا رب
اور دل دے ہمیں اک اور جگر پیدا کر
تھم ذرا اے عدم آباد کے جانے والے
رہ کے دنیا میں ابھی زاد سفر پیدا کر
جھوٹ جب بولتے ہیں وہ تو دعا ہوتی ہے
یا الٰہی مری باتوں میں اثر پیدا کر
آئینہ دیکھنا اس حسن پہ آسان نہیں
پیشتر آنکھ مری میری نظر پیدا کر
صبح فرقت تو قیامت کی سحر ہے یا رب
اپنے بندوں کے لیے اور سحر پیدا کر
مجھ کو روتا ہوا دیکھیں تو جھلس جائیں رقیب
آگ پانی میں بھی اے سوز جگر پیدا کر
مٹ کے بھی دوری گلشن نہیں بھاتی یا رب
اپنی قدرت سے مری خاک میں پر پیدا کر
شکوۂ درد جدائی پہ وہ فرماتے ہیں
رنج سہنے کو ہمارا سا جگر پیدا کر
دن نکلنے کو ہے راحت سے گزر جانے دے
روٹھ کر تو نہ قیامت کی سحر پیدا کر
ہم نے دیکھا ہے کہ مل جاتے ہیں لڑنے والے
صلح کی خو بھی تو اے بانئ شر پیدا کر
مجھ سے گھر آنے کے وعدے پر بگڑ کر بولے
کہہ دیا غیر کے دل میں ابھی گھر پیدا کر
مجھ سے کہتی ہے کڑک کر یہ کماں قاتل کی
تیر بن جائے نشانہ وہ جگر پیدا کر
کیا قیامت میں بھی پردہ نہ اٹھے گا رخ سے
اب تو میری شب یلدا کی سحر پیدا کر
دیکھنا کھیل نہیں جلوۂ دیدار ترا
پہلے موسیٰ سا کوئی اہل نظر پیدا کر
دل میں بھی ملتا ہے وہ کعبہ بھی اس کا ہے مقام
راہ نزدیک کی اے عزم سفر پیدا کر
ضعف کا حکم یہ ہے ہونٹ نہ ہلنے پائیں
دل یہ کہتا ہے کہ نالے میں اثر پیدا کر
نالے بیخودؔ کے قیامت ہیں تجھے یاد رہے
ظلم کرنا ہے تو پتھر کا جگر پیدا کر
de mohabbat to mohabbat mein asar paida kar
jo idhar dil mein hai ya rab wo idhar paida kar
dud-e-dil ishq mein itna to asar paida kar
sar kate shama ki manind to sar paida kar
phir hamara dil-e-gum gashta bhi mil jaega
pahle to apna dahan apni kamar paida kar
kam lene hain mohabbat mein bahut se ya rab
aur dil de hamen ik aur jigar paida kar
tham zara ai adam abad ke jane wale
rah ke duniya mein abhi zad-e-safar paida kar
jhut jab bolte hain wo to dua hoti hai
ya ilahi miri baton mein asar paida kar
aina dekhna us husn pe asan nahin
peshtar ankh miri meri nazar paida kar
subh-e-furqat to qayamat ki sahar hai ya rab
apne bandon ke liye aur sahar paida kar
mujh ko rota hua dekhen to jhulas jaen raqib
ag pani mein bhi ai soz-e-jigar paida kar
mit ke bhi duri-e-gulshan nahin bhati ya rab
apni qudrat se miri khak mein par paida kar
shikwa-e-dard-e-judai pe wo farmate hain
ranj sahne ko hamara sa jigar paida kar
din nikalne ko hai rahat se guzar jane de
ruth kar to na qayamat ki sahar paida kar
ham ne dekha hai ke mil jate hain larne wale
sulh ki khu bhi to ai bani-e-shar paida kar
mujh se ghar ane ke waade par bigar kar bole
kah diya ghair ke dil mein abhi ghar paida kar
mujh se kahti hai karak kar ye kaman qatil ki
tir ban jae nishana wo jigar paida kar
kya qayamat mein bhi parda na uthega rukh se
ab to meri shab-e-yalda ki sahar paida kar
dekhna khel nahin jalwa-e-didar tira
pahle musa sa koi ahl-e-nazar paida kar
dil mein bhi milta hai wo kaaba bhi us ka hai maqam
rah nazdik ki ai azm-e-safar paida kar
zof ka hukm ye hai hont na hilne paen
dil ye kahta hai ke nale mein asar paida kar
nale bekhud ke qayamat hain tujhe yad rahe
zulm karna hai to patthar ka jigar paida kar