نہ سہی آپ ہمارے جو مقدر میں نہیں
Bekhud Dehlvi (1863–1955)نہ سہی آپ ہمارے جو مقدر میں نہیں
اب وہ پہلی سی تڑپ بھی دل مضطر میں نہیں
آپ کی بات کی وقعت نہیں اصلاً دل میں
آپ دم بھر میں تو ہاں کرتے ہیں دم بھر میں نہیں
مجھ کو باور تو جب آئے کہ کچھ امید بھی ہو
لکھ دیا خط میں وہ اس نے جو مقدر میں نہیں
میں نے پوچھا تھا کہو اور ستاؤ گے مجھے
منہ سے نکلی ہے ستم گر کے گھڑی بھر میں نہیں
آپ کیوں ذکر سے بیخودؔ کے خجل ہوتے ہیں
یہ تو وہ نام ہے جو آپ کے دفتر میں نہیں
na sahi ap hamare jo muqaddar mein nahin
ab wo pahli si tarap bhi dil-e-muztar mein nahin
ap ki bat ki waqat nahin aslan dil mein
ap dam bhar mein to han karte hain dam bhar mein nahin
mujh ko bawar to jab ae ke kuchh ummid bhi ho
likh diya khat mein wo us ne jo muqaddar mein nahin
main ne puchha tha kaho aur sataoge mujhe
munh se nikli hai sitam gir ke ghari bhar mein nahin
ap kyun zikr se bekhud ke khajil hote hain
ye to wo nam hai jo ap ke daftar mein nahin