Poet
Nafas Ambalvi
b. 1961
Poems
- اب تک کوئی سکون کا منظر نہیں ملاصحرا تو تھے سفر میں سمندر نہیں ملاab tak koī sukūn kā manzar nahīñ milāsahrā to the safar meñ samundar nahīñ milā
- اب کسی کو کیا بتائیں کس قدر نادان تھےہم وہیں کشتی کو لے آئے جہاں طوفان تھےab kisī ko kyā batā.eñ kis qadar nādān theham vahīñ kashtī ko le ā.e jahāñ tūfān the
- اب نہ میں ہوں نہ مرا غم ہے نہ جاں باقی ہےزندگی بس ترے ہونے کا گماں باقی ہےab na maiñ hūñ na mirā ġham hai na jāñ bāqī haizindagī bas tire hone kā gumāñ bāqī hai
- اتنی مشکل میں کبھی پہلے تو جاں آئی نہ تھیاے محبت جب مری تجھ سے شناسائی نہ تھیitnī mushkil meñ kabhī pahle to jāñ ā.ī na thīai mohabbat jab mirī tujh se shanāsā.ī na thī
- اک شعلۂ حسرت ہوں مٹا کیوں نہیں دیتےمجھ کو مرے جینے کہ سزا کیوں نہیں دیتےik shola-e-hasrat hūñ miṭā kyūñ nahīñ detemujh ko mire jīne ke sazā kyūñ nahīñ dete
- اک غلط کردار کی پہچان میں مارا گیامیں کہانی میں نہیں عنوان میں مارا گیاik ġhalat kirdār kī pahchān meñ mārā gayāmaiñ kahānī meñ nahīñ unvān meñ mārā gayā
- اگر چراغ بھی آندھی سے ڈر گئے ہوتےتو سوچیے کہ اجالے کدھر گئے ہوتےagar charāġh bhī āndhī se ḍar ga.e hotetū sochiye ke ujāle kidhar ga.e hote
- بات کرتے ہو تو تکرار کی بو آتی ہےیار تم سے کسی بیمار کی بو آتی ہےbāt karte ho to takrār kī bū ātī haiyār tum se kisī bīmār kī bū ātī hai
- بازی اگرچہ زیست کی ہم ہار تو گئےلیکن جو دل پہ نقش تھے آزار تو گئےbāzī agarche zīst kī ham hār to ga.elekin jo dil pe naqsh the āzār to ga.e
- بیکسی جب کسی بازار میں آ جاتی ہےاک ہوس جیسے خریدار میں آ جاتی ہےbekasī jab kisī bāzār meñ ā jātī haiik havas jaise ḳharīdār meñ ā jātī hai
- تجھے یہ کیسے بتاؤں عذاب کتنے تھےمری نظر کے مقابل سراب کتنے تھےtujhe ye kaise batā.ūñ azāb kitne themirī nazar ke muqābil sarāb kitne the
- تھکن سے تن بدن ٹوٹا پڑا ہےمسافت کو مگر رستہ پڑا ہےthakan se tan badan ṭūṭā paṛā haimasāfat ko magar rasta paṛā hai
- جب سے نادانوں نے خود کو فانی کہنا چھوڑ دیاہم نے اپنی حیرت کو حیرانی کہنا چھوڑ دیاjab se nādānoñ ne ḳhud ko fānī kahnā chhoṛ diyāham ne apnī hairat ko hairānī kahnā chhoṛ diyā
- جتنے بھی آئے زینت بازار ہو گئےاک ہم ہی تھے جو صاحب کردار ہو گئےjitne bhī ā.e zīnat-e-bāzār ho ga.eik ham hī the jo sāhab-e-kirdār ho ga.e
- جنوں ہے ذہن میں تو حوصلے تلاش کرومثال آب رواں راستے تلاش کروjunūñ hai zehn meñ to hausle talāsh karomisāl-e-āb-e-ravāñ rāste talāsh karo
- جو سازشیں تھیں جلی بستیاں بتاتی ہیںیہ درد وہ ہیں جو خاموشیاں بتاتی ہیںjo sāzisheñ thīñ jalī bastiyāñ batātī haiñye dard vo haiñ jo ḳhāmoshiyāñ batātī haiñ
- جو گامزن ہیں انہیں قافلوں کے ساتھ چلویہ مشورہ ہے مرا تجربوں کے ساتھ چلوjo gāmzan haiñ unheñ qāfiloñ ke sāth chaloye mashvara hai mirā tajriboñ ke sāth chalo
- خود کو اس شہر میں تنہا بھی نہیں کہہ سکتےاور کسی شخص کو اپنا بھی نہیں کہہ سکتےḳhud ko is shahr meñ tanhā bhī nahīñ kah sakteaur kisī shaḳhs ko apnā bhī nahīñ kah sakte
- دربدر ہو کے در سے ٹوٹ گیامیں تو جیسے سفر سے ٹوٹ گیاdarbadar ho ke dar se ṭūṭ gayāmaiñ to jaise safar se ṭūṭ gayā
- دھوپ تھی صحرا تھا لیکن جسم کا سایہ نہ تھاآدمی اس سے زیادہ تو کبھی تنہا نہ تھاdhūp thī sahrā thā lekin jism kā sāya na thāādmī is se ziyāda to kabhī tanhā na thā
- سر برہنہ بھری برسات میں گھر سے نکلےہم بھی کس گردش حالات میں گھر سے نکلےsar barahna bharī barsāt meñ ghar se nikleham bhī kis gardish-e-hālāt meñ ghar se nikle
- سنا تھا نیزہ و تلوار و خنجر بیچ ڈالے ہیںمگر ظل الٰہی نے تو لشکر بیچ ڈالے ہیںsunā thā neza-o-talvār-o-ḳhanjar bech ḍāle haiñmagar zill-e-ilāhī ne to lashkar bech ḍāle haiñ
- صحرا میں جو ملا تھا مجھے اتنا یاد ہےمیرا ہی نقش پا تھا مجھے اتنا یاد ہےsahrā meñ jo milā thā mujhe itnā yād haimerā hī naqsh-e-pā thā mujhe itnā yād hai
- عمر بھر درد کے رشتوں کو نبھانے سے رہازندگی میں تو ترے ناز اٹھانے سے رہاumr bhar dard ke rishtoñ ko nibhāne se rahāzindagī meñ to tire nāz uṭhāne se rahā
- عمر بھی کٹ گئی اور جیا بھی نہیںزندگی تجھ سے کوئی گلہ بھی نہیںumr bhī kaṭ ga.ī aur jiyā bhī nahīñzindagī tujh se koī gila bhī nahīñ
- کون سی شاخ کا پتا تھا ہرا بھول گیاپیڑ سے ٹوٹ کے میں اپنا پتہ بھول گیاkaun sī shāḳh kā pattā thā harā bhūl gayāpeṛ se ṭūṭ ke maiñ apnā pata bhūl gayā
- گھر کسی کا بھی ہو جلتا نہیں دیکھا جاتاہم سے چپ رہ کے تماشہ نہیں دیکھا جاتاghar kisī kā bhī ho jaltā nahīñ dekhā jātāham se chup rah ke tamāsha nahīñ dekhā jātā
- مذہبی چنگاریوں سے بستیاں جل جائیں گیان چراغوں سے نہ الجھو انگلیاں جل جائیں گیmaz.habī chingāriyoñ se bastiyāñ jal jā.eñgīin charāġhoñ se na uljho ungliyāñ jal jā.eñgī
- ملتے ہیں مسکرا کے اگرچہ تمام لوگمر مر کے جی رہے ہیں مگر صبح و شام لوگmilte haiñ muskurā ke agarche tamām logmar mar ke jī rahe haiñ magar sub.h-o-shām log
- نہ جانے کب کی دبی تلخیاں نکل آئیںذرا سی بات تھی اور برچھیاں نکل آئیںna jāne kab kī dabī talḳhiyāñ nikal ā.eñzarā sī bāt thī aur barchhiyāñ nikal ā.eñ
- وہ میرا دوست ہے اور مجھ سے واسطہ بھی نہیںجو قربتیں بھی نہیں ہیں تو فاصلا بھی نہیںvo merā dost hai aur mujh se vāsta bhī nahīñjo qurbateñ bhī nahīñ haiñ to fāslā bhī nahīñ
- ہزار ظلم سہے اور ملال بھی نہ کرےیہ حکم ہے کہ رعایا سوال بھی نہ کرےhazār zulm sahe aur malāl bhī na kareye hukm hai ke ri.āyā savāl bhī na kare
- ہم آج اپنا مقدر بدل کے دیکھتے ہیںتمہارے ساتھ بھی کچھ دور چل کے دیکھتے ہیںham āj apnā muqaddar badal ke dekhte haiñtumhāre sāth bhī kuchh dūr chal ke dekhte haiñ
- ہم شہر محبت کو بسانے میں لگے ہیںکچھ لوگ مگر آگ لگانے میں لگے ہیںham shahr mohabbat ko basāne meñ lage haiñkuchh log magar āg lagāne meñ lage haiñ
- یوں تو خود اپنے ہی سائے سے بھی ڈر جاتے ہیں لوگحادثے کیسے بھی ہوں لیکن گزر جاتے ہیں لوگyūñ to ḳhud apne hī sā.e se bhī ḍar jāte haiñ loghādse kaise bhī hūñ lekin guzar jāte haiñ log
- اب ان کی خواب گاہوں میں کوئی آواز مت کرنابہت تھک ہار کر فٹ پاتھ پر مزدور سوئے ہیںab un kī ḳhvāb gāhoñ meñ koī āvāz mat karnābahut thak hār kar fiṭ pāth par mazdūr soe haiñ
- اب تک تو اس سفر میں فقط تشنگی ملیسنتے تھے راستے میں سمندر بھی آئے گاab tak to is safar meñ faqat tishnagī milīsunte the rāste meñ samundar bhī ā.egā
- اب کہاں تک پتھروں کی بندگی کرتا پھروںدل سے جس دم بھی پکاروں گا خدا مل جائے گاab kahāñ tak pattharoñ kī bandagī kartā phirūñdil se jis dam bhī pukārūñgā ḳhudā mil jā.egā
- اپنے دراز قد پہ بہت ناز تھا جنہیںوہ پیڑ آندھیوں میں زمیں سے اکھڑ گئےapne darāz qad pe bahut nāz thā jinheñvo peṛ āndhiyoñ meñ zamīñ se ukhaṛ ga.e
- اٹھا لایا کتابوں سے وہ اک الفاظ کا جنگلسنا ہے اب مری خاموشیوں کا ترجمہ ہوگاuṭhā lāyā kitāboñ se vo ik alfāz kā jangalsunā hai ab mirī ḳhāmoshiyoñ kā tarjama hogā
- اس شہر میں خوابوں کی عمارت نہیں بنتیبہتر ہے کہ تعمیر کا نقشہ ہی بدل لوis shahr meñ ḳhvāboñ kī imārat nahīñ bantībehtar hai ke ta.amīr kā naqsha hī badal lo
- اسے گماں ہے کہ میری اڑان کچھ کم ہےمجھے یقیں ہے کہ یہ آسمان کچھ کم ہےuse gumāñ hai ke merī uṛān kuchh kam haimujhe yaqīñ hai ke ye āsmān kuchh kam hai
- تاریکیاں قبول تھیں مجھ کو تمام عمرلیکن میں جگنوؤں کی خوشامد نہ کر سکاtārīkiyāñ qubūl thīñ mujh ko tamām umrlekin maiñ jugnūoñ kī ḳhushāmad na kar sakā
- تو دریا ہے تو ہوگا ہاں مگر اتنا سمجھ لیناترے جیسے کئی دریا مری آنکھوں میں رہتے ہیںtū dariyā hai to hogā hāñ magar itnā samajh lenātire jaise ka.ī dariyā mirī ānkhoñ meñ rahte haiñ
- جب بھی اس دیوار سے ملتا ہوں رو پڑتا ہوں میںکچھ نہ کچھ تو ہے یقیناً اس میں پتھر سے الگjab bhī is dīvār se miltā hūñ ro paṛtā hūñ maiñkuchh na kuchh to hai yaqīnan is meñ patthar se alag
- زخم ابھی تک تازہ ہیں ہر داغ سلگتا رہتا ہےسینہ میں اک جلیاں والا باغ سلگتا رہتا ہےzaḳhm abhī tak tāza haiñ har dāġh sulagtā rahtā haisīna meñ ik jaliyāñ vālā bāġh sulagtā rahtā hai
- زندگی وقت کے صفحوں میں نہاں ہے صاحبیہ غزل صرف کتابوں میں نہیں ملتی ہےzindagī vaqt ke safhoñ meñ nihāñ hai sāhabye ġhazal sirf kitāboñ meñ nahīñ miltī hai
- ساری گواہیاں تو مرے حق میں آ گئیںلیکن مرا بیان ہی میرے خلاف تھاsārī gavāhiyāñ to mire haq meñ ā ga.īñlekin mirā bayān hī mere ḳhilāf thā
- مرنے کو مر بھی جاؤں کوئی مسئلہ نہیںلیکن یہ طے تو ہو کہ ابھی جی رہا ہوں میںmarne ko mar bhī jā.ūñ koī masala nahīñlekin ye tai to ho ke abhī jī rahā hūñ maiñ
- مرے خیال کی پرواز بس تمہیں تک تھیپھر اس کے بعد مجھے کوئی آسماں نہ ملاmire ḳhayāl kī parvāz bas tumheñ tak thīphir is ke ba.ad mujhe koī āsmāñ na milā