Poet
Nafas Ambalvi
b. 1961
Poems
- اب ان کی خواب گاہوں میں کوئی آواز مت کرنابہت تھک ہار کر فٹ پاتھ پر مزدور سوئے ہیںab un kī ḳhvāb gāhoñ meñ koī āvāz mat karnābahut thak hār kar fiṭ pāth par mazdūr soe haiñ
- اب تک تو اس سفر میں فقط تشنگی ملیسنتے تھے راستے میں سمندر بھی آئے گاab tak to is safar meñ faqat tishnagī milīsunte the rāste meñ samundar bhī ā.egā
- اب کہاں تک پتھروں کی بندگی کرتا پھروںدل سے جس دم بھی پکاروں گا خدا مل جائے گاab kahāñ tak pattharoñ kī bandagī kartā phirūñdil se jis dam bhī pukārūñgā ḳhudā mil jā.egā
- اپنے دراز قد پہ بہت ناز تھا جنہیںوہ پیڑ آندھیوں میں زمیں سے اکھڑ گئےapne darāz qad pe bahut nāz thā jinheñvo peṛ āndhiyoñ meñ zamīñ se ukhaṛ ga.e
- اٹھا لایا کتابوں سے وہ اک الفاظ کا جنگلسنا ہے اب مری خاموشیوں کا ترجمہ ہوگاuṭhā lāyā kitāboñ se vo ik alfāz kā jangalsunā hai ab mirī ḳhāmoshiyoñ kā tarjama hogā
- اس شہر میں خوابوں کی عمارت نہیں بنتیبہتر ہے کہ تعمیر کا نقشہ ہی بدل لوis shahr meñ ḳhvāboñ kī imārat nahīñ bantībehtar hai ke ta.amīr kā naqsha hī badal lo
- اسے گماں ہے کہ میری اڑان کچھ کم ہےمجھے یقیں ہے کہ یہ آسمان کچھ کم ہےuse gumāñ hai ke merī uṛān kuchh kam haimujhe yaqīñ hai ke ye āsmān kuchh kam hai
- تاریکیاں قبول تھیں مجھ کو تمام عمرلیکن میں جگنوؤں کی خوشامد نہ کر سکاtārīkiyāñ qubūl thīñ mujh ko tamām umrlekin maiñ jugnūoñ kī ḳhushāmad na kar sakā
- تو دریا ہے تو ہوگا ہاں مگر اتنا سمجھ لیناترے جیسے کئی دریا مری آنکھوں میں رہتے ہیںtū dariyā hai to hogā hāñ magar itnā samajh lenātire jaise ka.ī dariyā mirī ānkhoñ meñ rahte haiñ
- جب بھی اس دیوار سے ملتا ہوں رو پڑتا ہوں میںکچھ نہ کچھ تو ہے یقیناً اس میں پتھر سے الگjab bhī is dīvār se miltā hūñ ro paṛtā hūñ maiñkuchh na kuchh to hai yaqīnan is meñ patthar se alag
- زخم ابھی تک تازہ ہیں ہر داغ سلگتا رہتا ہےسینہ میں اک جلیاں والا باغ سلگتا رہتا ہےzaḳhm abhī tak tāza haiñ har dāġh sulagtā rahtā haisīna meñ ik jaliyāñ vālā bāġh sulagtā rahtā hai
- زندگی وقت کے صفحوں میں نہاں ہے صاحبیہ غزل صرف کتابوں میں نہیں ملتی ہےzindagī vaqt ke safhoñ meñ nihāñ hai sāhabye ġhazal sirf kitāboñ meñ nahīñ miltī hai
- ساری گواہیاں تو مرے حق میں آ گئیںلیکن مرا بیان ہی میرے خلاف تھاsārī gavāhiyāñ to mire haq meñ ā ga.īñlekin mirā bayān hī mere ḳhilāf thā
- مرنے کو مر بھی جاؤں کوئی مسئلہ نہیںلیکن یہ طے تو ہو کہ ابھی جی رہا ہوں میںmarne ko mar bhī jā.ūñ koī masala nahīñlekin ye tai to ho ke abhī jī rahā hūñ maiñ
- مرے خیال کی پرواز بس تمہیں تک تھیپھر اس کے بعد مجھے کوئی آسماں نہ ملاmire ḳhayāl kī parvāz bas tumheñ tak thīphir is ke ba.ad mujhe koī āsmāñ na milā
- نگاہوں کے مناظر بے سبب دھندھلے نہیں پڑتےہماری آنکھ میں دریا کوئی ٹھہرا ہوا ہوگاnigāhoñ ke manāzir be sabab dhundhule nahīñ paṛtehamārī ānkh meñ dariyā koī ṭhahrā huā hogā
- ہماری راہ سے پتھر اٹھا کر پھینک مت دینالگی ہیں ٹھوکریں تب جا کے چلنا سیکھ پائے ہیںhamārī rāh se patthar uṭhā kar pheñk mat denālagī haiñ ṭhokareñ tab jā ke chalnā sīkh pā.e haiñ
- ہماری زندگی جیسے کوئی شب بھر کا جلسہ ہےسحر ہوتے ہی خوابوں کے گھروندے ٹوٹ جاتے ہیںhamārī zindagī jaise koī shab bhar kā jalsa haisahar hote hī ḳhvāboñ ke gharaunde ṭūṭ jāte haiñ
- ہمیں دنیا فقط کاغذ کا اک ٹکڑا سمجھتی ہےپتنگوں میں اگر ڈھل جائیں ہم تو آسماں چھو لیںhameñ duniyā faqat kāġhaz kā ik ṭukṛā samajhtī haipatangoñ meñ agar ḍhal jā.eñ ham to āsmāñ chhū leñ
- یہ عشق کے خطوط بھی کتنے عجیب ہیںآنکھیں وہ پڑھ رہی ہیں جو تحریر بھی نہیںye ishq ke ḳhutūt bhī kitne ajīb haiñānkheñ vo paṛh rahī haiñ jo tahrīr bhī nahīñ