وہ میرا دوست ہے اور مجھ سے واسطہ بھی نہیں
Nafas Ambalvi (b. 1961)وہ میرا دوست ہے اور مجھ سے واسطہ بھی نہیں
جو قربتیں بھی نہیں ہیں تو فاصلا بھی نہیں
کسے خبر تھی کہ اس دشت سے گزرنا ہے
جہاں سے لوٹ کے آنے کا راستہ بھی نہیں
کبھی جو پھوٹ کے رو لے تو چین پا جائے
مگر یہ دل مرے پیروں کا آبلہ بھی نہیں
سنا ہے وہ بھی مرے قتل میں ملوث ہے
وہ بے وفا ہے مگر اتنا بے وفا بھی نہیں
وہ سو سکا نہ جسے چھین کر کبھی مجھ سے
میں اس زمین کے بارے میں سوچتا بھی نہیں
سنا تھا شہر میں ہر سو تمہارا چرچا ہے
یہاں تو کوئی نفسؔ تم کو جانتا بھی نہیں
wo mera dost hai aur mujh se wasta bhi nahin
jo qurbaten bhi nahin hain to fasla bhi nahin
kise khabar thi ke is dasht se guzarna hai
jahan se laut ke ane ka rasta bhi nahin
kabhi jo phut ke ro le to chain pa jae
magar ye dil mire pairon ka abla bhi nahin
suna hai wo bhi mire qatl mein mulawwis hai
wo be wafa hai magar itna be wafa bhi nahin
wo so saka na jise chhin kar kabhi mujh se
main is zamin ke bare mein sochta bhi nahin
suna tha shahr mein har su tumhara charcha hai
yahan to koi nafas tum ko janta bhi nahin