Poet
Badr Muneer
Poems
- اپنی باتوں میں جو سادہ نظر آتا ہے مجھےخود میں وہ حد سے زیادہ نظر آتا ہے مجھےapnī bātoñ meñ jo sāda nazar ātā hai mujheḳhud meñ vo had se ziyāda nazar ātā hai mujhe
- اس نے دیکھا ادھر زیادہ دیرکیوں نہ رہتا اثر زیادہ دیرus ne dekhā idhar ziyāda derkyūñ na rahtā asar ziyāda der
- اکثر ٹھن بھی جاتی ہےبگڑی بن بھی جاتی ہےaksar ṭhan bhī jātī haibigṛī ban bhī jātī hai
- بڑھ گئی کچھ اور الجھن رابطہ کرنے کے بعدخود سے بھی شکوہ رہا اس سے گلہ کرنے کے بعدbaṛh ga.ī kuchh aur uljhan rābta karne ke ba.adḳhud se bhī shikva rahā us se gila karne ke ba.ad
- بوڑھے کمزور والدین کے ساتھجی رہا ہوں میں کتنے چین کے ساتھbūṛhe kamzor vālidain ke sāthjī rahā hūñ maiñ kitne chain ke sāth
- پڑ جاتے ہیں کتنے چھالے ہاتھوں میںآتے ہیں پھر چند نوالے ہاتھوں میںpaṛ jāte haiñ kitne chhāle hāthoñ meñāte haiñ phir chand nivāle hāthoñ meñ
- تری آنکھوں سے میں خود پر عیاں ہونے لگا تھامجھے بھی اپنے ہونے کا گماں ہونے لگا تھاtirī ānkhoñ se maiñ ḳhud par ayāñ hone lagā thāmujhe bhī apne hone kā gumāñ hone lagā thā
- ٹھہرنے کا سبب کوئی نہیں ہےپس دیوار جب کوئی نہیں ہےṭhaharne kā sabab koī nahīñ haipas-e-dīvār jab koī nahīñ hai
- جاتے جاتے گلے یہ غم پڑ جاتا ہےاچھا خاصا بندہ کم پڑ جاتا ہےjāte jāte gale ye ġham paṛ jātā haiachchhā ḳhāsā banda kam paṛ jātā hai
- جب مکینوں کو مکیں آرام دے سکتے نہیںچار دیواری کو گھر کا نام دے سکتے نہیںjab makīnoñ ko makīñ ārām de sakte nahīñchār dīvārī ko ghar kā nām de sakte nahīñ
- جہاں پر اہل دل ہوتے نہیں ہیںرویے معتدل ہوتے نہیں ہیںjahāñ par ahl-e-dil hote nahīñ haiñravayye motadil hote nahīñ haiñ
- حدت و حبس پہ تنقید نہیں کر سکتےکیوں ہم ایسا مرے خورشید نہیں کر سکتےhiddat-o-habs pe tanqīd nahīñ kar saktekyūñ ham aisā mire ḳhurshīd nahīñ kar sakte
- خیال اپنا ادھر لگا کےپڑا ہوں اب دل کو ڈر لگا کےḳhayāl apnā idhar lagā kepaṛā hūñ ab dil ko ḍar lagā ke
- دیکھ لیتے ہو محبت سے یہی کافی ہےدل دھڑکتا ہے سہولت سے یہی کافی ہےdekh lete ho mohabbat se yahī kāfī haidil dhaṛaktā hai suhūlat se yahī kāfī hai
- راز کو اپنے دل میں رکھودنیا کو مشکل میں رکھوrāz ko apne dil meñ rakhoduniyā ko mushkil meñ rakho
- سینے میں جو ہے درد کا دریا نہیں اترالیکن مری امید کا چہرہ نہیں اتراsīne meñ jo hai dard kā dariyā nahīñ utrālekin mirī ummīd kā chehra nahīñ utrā
- عین ممکن ہے یہ زحمت بھی اٹھانی پڑ جائےباتوں باتوں میں کوئی بات چھپانی پڑ جائےain mumkin hai ye zahmat bhī uṭhānī paṛ jā.ebātoñ bātoñ meñ koī bāt chhupānī paṛ jā.e
- فصل گل سے زر خزاں تک ہےعمر دونوں کے درمیاں تک ہےfasl-e-gul se zar-e-ḳhizāñ tak haiumr donoñ ke darmiyāñ tak hai
- کسے خبر ہے کہ کس ادا پر چلا گیا ہےیہ دل کہ حیرت کی انتہا پر چلا گیا ہےkise ḳhabar hai ke kis adā par chalā gayā haiye dil ke hairat kī intihā par chalā gayā hai
- کلام اپنا تبھی تو اکثر سے مختلف ہےجو سوچتے ہیں وہ پیش منظر سے مختلف ہےkalām apnā tabhī to aksar se muḳhtalif haijo sochte haiñ vo pesh manzar se muḳhtalif hai
- کنج حیرت سے چلے دشت زیاں تک لائےکون لا سکتا ہے ہم دل کو جہاں تک لائےkunj-e-hairat se chale dasht-e-ziyāñ tak lā.ekaun lā saktā hai ham dil ko jahāñ tak lā.e
- کون دے گا ترے کوچے میں صدا میرے بعدسر کو پٹخے گی ترے در پہ ہوا میرے بعدkaun degā tire kūche meñ sadā mere ba.adsar ko paṭḳhegī tire dar pe huā mere ba.ad
- محو کر ڈالی کسی نے دل سے میری یاد تکہو نہیں سکتی مگر اس ظلم پر فریاد تکmahv kar ḍālī kisī ne dil se merī yād takho nahīñ saktī magar is zulm par fariyād tak
- نیند اڑنے کا سبب اور چین کھونے کا جوازپوچھتے ہیں لوگ مجھ سے عشق ہونے کا جوازnīnd uṛne kā sabab aur chain khone kā javāzpūchhte haiñ log mujh se ishq hone kā javāz
- وحشت بام و در سے بھاگتے ہیںجب کبھی اپنے گھر سے بھاگتے ہیںvahshat-e-bām-o-dar se bhāgte haiñjab kabhī apne ghar se bhāgte haiñ
- وفا ہوتی نہیں ہے بے وفائی ہو نہیں سکتیکچھ ایسی قید ہے جس سے رہائی ہو نہیں سکتیvafā hotī nahīñ hai be vafā.ī ho nahīñ saktīkuchh aisī qaid hai jis se rihā.ī ho nahīñ saktī
- وفور اشتیاق میں زباں سے کیا نکل گیاپھر اس کے بعد بزم کا مزاج ہی بدل گیاvafūr-e-ishtiyāq meñ zabāñ se kyā nikal gayāphir is ke ba.ad bazm kā mizāj hī badal gayā
- وہ دل کی باتیں زمانے بھر کو نہ یوں سناتا مجھے بتاتاوہ ایک دفعہ مری محبت کو آزماتا مجھے بتاتاvo dil kī bāteñ zamāne bhar ko na yūñ sunātā mujhe batātāvo ek dafa mirī mohabbat ko āzmātā mujhe batātā
- ہمارے ساتھ جو یہ کار زندگانی ہےکسی بھٹکتی ہوئی روح کی کہانی ہےhamāre sāth jo ye kār zindagānī haikisī bhaṭaktī huī rūh kī kahānī hai
- اس وقت سے بچا مجھے اے رب کائناتحب وطن ہو دل میں وطن کاٹنے لگےis vaqt se bachā mujhe ai rab-e-kā.ināthub-e-vatan ho dil meñ vatan kāṭne lage
- اور کیا مفہوم ہوگا خود فریبی کے سواتشنگی جلتے ہوئے سورج پہ گر ظاہر کریںaur kiyā mafhūm hogā ḳhud farebī ke sivātishnagī jalte hue sūraj pe gar zāhir kareñ
- ایک امید کے سہارے پرکتنی تاخیر دیکھ لیتے ہیںek ummīd ke sahāre parkitnī tāḳhīr dekh lete haiñ
- بن گئے انسان اپنی ذات میں جنگل منیرؔبستیوں سے اڑ گئی ہے بوئے آدم زاد تکban ga.e insān apnī zāt meñ jangal munīrbastiyoñ se uṛ ga.ī hai bū-e-ādam zād tak
- بے چہرہ انسانوں کی اس بستی میںاچھا ہے آئینے توڑ دئے جائیںbe chehra insānoñ kī is bastī meñachchhā hai ā.īne toṛ diye jā.eñ
- تجھ کو خود سے منہا کرتےنا ممکن تھا ایسا کرتےtujh ko ḳhud se minhā kartenā mumkin thā aisā karte
- تری صورت میں رہائی مل گئیآنکھ کتنے منظروں میں قید تھیtirī sūrat meñ rihā.ī mil ga.īānkh kitne manzaroñ meñ qaid thī
- جب وصل کا آئے گا ترے ساتھ صنم دناس دن کو حقیقت میں کہوں گا میں جنم دنjab vasl kā ā.egā tire sāth sanam dinus din ko haqīqat meñ kahūñgā meñ janam din
- جس منظر کا حصہ تیری ذات نہیںمیری نظر میں اس کی کوئی اوقات نہیںjis manzar kā hissa terī zāt nahīñmerī nazar meñ us kī koī auqāt nahīñ
- جیون ہے سڑک اور کنارے پہ کھڑے ہیںلگتا ہے کہ مدت سے اشارے پہ کھڑے ہیںjīvan hai saṛak aur kināre pe khaṛe haiñlagtā hai ke muddat se ishāre pe khaṛe haiñ
- زمیں پہ صرف اتارا نہیں منیرؔ اس نےپھر اس کے بعد ہمارا خیال بھی رکھاzamīñ pe sirf utārā nahīñ munīr us nephir is ke ba.ad hamārā ḳhayāl bhī rakhā
- سپہ سالار کے جب ہاتھ کانپیں تو سپاہی بھیزیادہ دیر پھر میدان میں ٹھہرا نہیں کرتےsipah sālār ke jab hāth kāñpeñ to sipāhī bhīziyāda der phir maidān meñ ṭhahrā nahīñ karte
- سمجھ میں آتا نہیں یہ کیسی نمو ہے مجھ میںوہ میری مٹی میں کچھ ملا کر چلا گیا ہےsamajh meñ ātā nahīñ ye kaisī numū hai mujh meñvo merī miṭṭī meñ kuchh milā kar chalā gayā hai
- طے ہو چکی ہے اس سے جدائی مگر منیرؔتو اس کے ساتھ لمحۂ انکار تک تو چلtai ho chukī hai us se judā.ī magar munīrto us ke sāth lamha-e-inkār tak to chal
- کب سے پہنچ گیا ہوں میں اس شخص کے قریبکہتی ہے پھر بھی اس کی نظر راستے میں ہوںkab se pahuñch gayā hūñ maiñ us shaḳhs ke qarībkahtī hai phir bhī us kī nazar rāste meñ hūñ
- کوئی بھی سر میں نہیں ہے منیرؔ کیا کیجےیہ زندگی کا ترانہ ریاض مانگتا ہےkoī bhī sar meñ nahīñ hai munīr kyā kījeye zindagī kā tarāna riyāz māñgtā hai
- کیا خبر کون سا رستہ تری جانب نکلےبے ارادہ بھی کئی بار سفر کرتے ہیںkyā ḳhabar kaun sā rasta tirī jānib niklebe irāda bhī ka.ī bār-e-safar karte haiñ
- گو حرف و اشک دونوں تھے سامان گفتگوپھر بھی ہماری بات میں ابہام رہ گیاgo harf-o-ashk donoñ the sāmān-e-guftugūphir bhī hamārī bāt meñ ib.hām rah gayā
- مسکرا کر اگر وہ دیکھے توآئنے پر نشان پڑ جائےmuskurā kar agar vo dekhe toā.īne par nishān paṛ jā.e
- میں آج تجھ سے ملاقات کرنے آیا ہوںنئی غزل کی شروعات کرنے آیا ہوںmaiñ āj tujh se mulāqāt karne āyā hūñna.ī ġhazal kī shurūāt karne āyā hūñ
- یہ آئینوں کے ہیں یا نقص میرےبگڑتے جا رہے ہیں عکس میرےye ā.īnoñ ke haiñ yā naqs merebigaṛte jā rahe haiñ aks mere