Poet
Badr Muneer
Poems
- اس وقت سے بچا مجھے اے رب کائناتحب وطن ہو دل میں وطن کاٹنے لگےis vaqt se bachā mujhe ai rab-e-kā.ināthub-e-vatan ho dil meñ vatan kāṭne lage
- اور کیا مفہوم ہوگا خود فریبی کے سواتشنگی جلتے ہوئے سورج پہ گر ظاہر کریںaur kiyā mafhūm hogā ḳhud farebī ke sivātishnagī jalte hue sūraj pe gar zāhir kareñ
- ایک امید کے سہارے پرکتنی تاخیر دیکھ لیتے ہیںek ummīd ke sahāre parkitnī tāḳhīr dekh lete haiñ
- بن گئے انسان اپنی ذات میں جنگل منیرؔبستیوں سے اڑ گئی ہے بوئے آدم زاد تکban ga.e insān apnī zāt meñ jangal munīrbastiyoñ se uṛ ga.ī hai bū-e-ādam zād tak
- بے چہرہ انسانوں کی اس بستی میںاچھا ہے آئینے توڑ دئے جائیںbe chehra insānoñ kī is bastī meñachchhā hai ā.īne toṛ diye jā.eñ
- تجھ کو خود سے منہا کرتےنا ممکن تھا ایسا کرتےtujh ko ḳhud se minhā kartenā mumkin thā aisā karte
- تری صورت میں رہائی مل گئیآنکھ کتنے منظروں میں قید تھیtirī sūrat meñ rihā.ī mil ga.īānkh kitne manzaroñ meñ qaid thī
- جب وصل کا آئے گا ترے ساتھ صنم دناس دن کو حقیقت میں کہوں گا میں جنم دنjab vasl kā ā.egā tire sāth sanam dinus din ko haqīqat meñ kahūñgā meñ janam din
- جس منظر کا حصہ تیری ذات نہیںمیری نظر میں اس کی کوئی اوقات نہیںjis manzar kā hissa terī zāt nahīñmerī nazar meñ us kī koī auqāt nahīñ
- جیون ہے سڑک اور کنارے پہ کھڑے ہیںلگتا ہے کہ مدت سے اشارے پہ کھڑے ہیںjīvan hai saṛak aur kināre pe khaṛe haiñlagtā hai ke muddat se ishāre pe khaṛe haiñ
- زمیں پہ صرف اتارا نہیں منیرؔ اس نےپھر اس کے بعد ہمارا خیال بھی رکھاzamīñ pe sirf utārā nahīñ munīr us nephir is ke ba.ad hamārā ḳhayāl bhī rakhā
- سپہ سالار کے جب ہاتھ کانپیں تو سپاہی بھیزیادہ دیر پھر میدان میں ٹھہرا نہیں کرتےsipah sālār ke jab hāth kāñpeñ to sipāhī bhīziyāda der phir maidān meñ ṭhahrā nahīñ karte
- سمجھ میں آتا نہیں یہ کیسی نمو ہے مجھ میںوہ میری مٹی میں کچھ ملا کر چلا گیا ہےsamajh meñ ātā nahīñ ye kaisī numū hai mujh meñvo merī miṭṭī meñ kuchh milā kar chalā gayā hai
- طے ہو چکی ہے اس سے جدائی مگر منیرؔتو اس کے ساتھ لمحۂ انکار تک تو چلtai ho chukī hai us se judā.ī magar munīrto us ke sāth lamha-e-inkār tak to chal
- کب سے پہنچ گیا ہوں میں اس شخص کے قریبکہتی ہے پھر بھی اس کی نظر راستے میں ہوںkab se pahuñch gayā hūñ maiñ us shaḳhs ke qarībkahtī hai phir bhī us kī nazar rāste meñ hūñ
- کوئی بھی سر میں نہیں ہے منیرؔ کیا کیجےیہ زندگی کا ترانہ ریاض مانگتا ہےkoī bhī sar meñ nahīñ hai munīr kyā kījeye zindagī kā tarāna riyāz māñgtā hai
- کیا خبر کون سا رستہ تری جانب نکلےبے ارادہ بھی کئی بار سفر کرتے ہیںkyā ḳhabar kaun sā rasta tirī jānib niklebe irāda bhī ka.ī bār-e-safar karte haiñ
- گو حرف و اشک دونوں تھے سامان گفتگوپھر بھی ہماری بات میں ابہام رہ گیاgo harf-o-ashk donoñ the sāmān-e-guftugūphir bhī hamārī bāt meñ ib.hām rah gayā
- مسکرا کر اگر وہ دیکھے توآئنے پر نشان پڑ جائےmuskurā kar agar vo dekhe toā.īne par nishān paṛ jā.e
- میں آج تجھ سے ملاقات کرنے آیا ہوںنئی غزل کی شروعات کرنے آیا ہوںmaiñ āj tujh se mulāqāt karne āyā hūñna.ī ġhazal kī shurūāt karne āyā hūñ
- یہ آئینوں کے ہیں یا نقص میرےبگڑتے جا رہے ہیں عکس میرےye ā.īnoñ ke haiñ yā naqs merebigaṛte jā rahe haiñ aks mere
- یہ تو اہل جنوں کا مسکن ہےآپ کیسے جناب صحرا میںye to ahl-e-junūñ kā maskan haiāp kaise janāb-e-sahrā meñ
- یہ کس طرح کی زمیں پہ ہم نے بنائے شہر مراد رکھییہاں پہ کوئی گلاب موسم اتر بھی سکتا ہے اور نہیں بھیye kis tarah kī zamīñ pe ham ne banā.e shahr-e-murād rakhīyahāñ pe koī gulāb mausam utar bhī saktā hai aur nahīñ bhī