Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Akbar Allahabadi

Poet

Akbar Allahabadi

اکبر الہ آبادی

1846–1921Born in BaraDied in Allahabad

Syed Akbar Hussain, known as Akbar Allahabadi, began as a clerk and rose through the judicial service to become a judge, receiving the title Khan Bahadur. He is known for satirical and humorous verse that mocks the blind imitation of Western ways and defends Eastern values. He came to be called Lisan-ul-Asr, and his ghazal Hungama Hai Kyon Barpa was popularised in song by Ghulam Ali.

Writes about

  • Satire
  • Humour
  • Western culture
  • Eastern values

Poems

  1. ḳhūb farmāyā ke apnā pyār rahne dījeāp hī ye ġhamza-o-inkār rahne dīje
  2. ḳhudī gum kar chukā hūñ ab ḳhushī-o-ġham se kyā matlabta.alluq hosh se chhoṛā to ab ālam se kyā matlab
  3. ḳhushī kyā ho jo merī bāt vo but mān jātā haimazā to be had ātā hai magar īmān jātā hai
  4. ḳhushī hai sab ko ke āpreshan meñ ḳhūb nashtar ye chal rahā haikisī ko us kī ḳhabar nahīñ hai marīz kā dam nikal rahā hai
  5. ḳhayāl dauṛā nigāh uṭhī qalam ne likhā zabān bolīmagar vahī dil kī uljhaneñ haiñ kisī ne us kī girah na kholī
  6. dard to maujūd hai dil meñ davā ho yā na hobandagī hālat se zāhir hai ḳhudā ho yā na ho
  7. dasht-e-ġhurbat hai alālat bhī hai tanhā.ī bhīaur un sab pe fuzūñ bādiya paimā.ī bhī
  8. dil-e-zaḳhmī se ḳhūñ ai ham nashīñ kuchh kam nahīñ niklātaṛapnā thā magar qismat meñ likhā dam nahīñ niklā
  9. dil-e-māyūs meñ vo shorisheñ barpā nahīñ hotīñummīdeñ is qadar ṭūṭeñ ke ab paidā nahīñ hotīñ
  10. dil mirā un pe jo āyā to qazā bhī ā.īdard ke sāth hī sāth us kī davā bhī ā.ī
  11. dil mirā jis se bahaltā koī aisā na milābut ke bande mile allāh kā bandā na milā
  12. dil ho ḳharāb dīn pe jo kuchh asar paṛeab kār āshiqī to bahar kaif kar paṛe
  13. duniyā kā zarā ye rang to dekh ek ek ko khā.e jātā haiban ban ke bigaṛtā jātā hai aur bāt banā.e jātā hai
  14. duniyā meñ hūñ duniyā kā talab gār nahīñ hūñbāzār se guzrā hūñ ḳharīdār nahīñ hūñ
  15. daur-e-gardūñ meñ kisī ne merī ġham ḳhvārī na kīdushmanoñ ne dushmanī kī yār ne yārī na kī
  16. doālam kī banā kyā jāne kyā hainishān-e-māsivā kyā jāne kyā hai
  17. rang-e-sharāb se mirī niyyat badal ga.īvā.iz kī bāt rah ga.ī sāqī kī chal ga.ī
  18. raushan dil ārif se fuzūñ hai badan un kārangīñ hai tabī.at kī tarah pairahan un kā
  19. rahā kartā hai murġh-e-fahm shākīna.ī tahzīb ke anḍe haiñ ḳhākī
  20. zabāñ se be ta.alluq dil ko bazm-e-yār meñ dekhāta.ajjub ḳhez zabt is mahram-e-asrār meñ dekhā
  21. zabāñ hai nātavānī se agar bandmire dil par nahīñ ma.anī ke dar band
  22. sāns lete hue bhī ḍartā hūñye na samjheñ ke āh kartā hūñ
  23. sach hai kisī kī shān ye ai nāznīñ nahīñto har jagah hai jalva gar aur phir kahīñ nahīñ
  24. sukūn-e-qalb kī daulat kahāñ duniyā-e-fānī meñbas ik ġhaflat sī ho jātī hai aur vo bhī javānī meñ
  25. sīna meñ dil āgāh jo ho kuchh ġham na karo nāshād sahībedār to hai mashġhūl to hai naġhma na sahī fariyād sahī
  26. sīne se lagā.eñ tumheñ armān yahī haijīne kā maza hai to mirī jān yahī hai
  27. shikva-e-bedād se mujh ko to ḍarnā chāhiyedil meñ lekin āp ko insāf karnā chāhiye
  28. shaiḳh ne nāqūs ke sar meñ jo ḳhud hī tān līphir to yāroñ ne bhajan gāne kī khul kar ṭhān lī
  29. sabr rah jātā hai aur ishq kī chal jātī haizabt kartā hūñ magar āh nikal jātī hai
  30. sadiyoñ filāsifī kī chunāñ aur chuneñ rahīlekin ḳhudā kī bāt jahāñ thī vahīñ rahī
  31. zid hai unheñ pūrā mirā armāñ na kareñgemuñh se jo nahīñ niklī hai ab hāñ na kareñge
  32. tarīq-e-ishq meñ mujh ko koī kāmil nahīñ miltāga.e farhād-o-majnūñ ab kisī se dil nahīñ miltā
  33. talab ho sabr kī aur dil meñ ārzū ā.eġhazab hai dost kī ḳhvāhish ho aur adū ā.e
  34. ālam hai be ḳhudī kā mai kī dukān par haiñsāqī pe haiñ nigāheñ hosh āsmān par haiñ
  35. abas is zindagī par ġhāfiloñ kā faḳhr karnā haiye jīnā koī jīnā hai ke jis ke sāth marnā hai
  36. ishq-e-but meñ kufr kā mujh ko adab karnā paṛājo barahman ne kahā āḳhir vo sab karnā paṛā
  37. ishq-o-maz.hab meñ do rangī ho ga.īdīn-o-dil meñ ḳhāna jangī ho ga.ī
  38. ināyat mujh pe farmāte haiñ shaiḳh-o-barahman donoñmūāfiq apne apne apne pāte haiñ merā chalan donoñ
  39. ġhamza nahīñ hotā ke ishārā nahīñ hotāānkh un se jo miltī hai to kyā kyā nahīñ hotā
  40. fitna uṭhe koī yā ghāt meñ dushman baiṭhekār ulfat pe to ab hazrat-e-dil ṭhan baiṭhe
  41. fasād niyyat meñ jab nahīñ hai to phir mujhe ḳhatra kyūñ kahīñ haibahut mukallif haiñ ye ishāra ke us se bachiye aur us se bachiye
  42. falsafī ko bahs ke andar ḳhudā miltā nahīñḍor ko suljhā rahā hai aur sarā miltā nahīñ
  43. kuchh āj ilāj-e-dil bīmār to kar leñai jān-e-jahāñ ā.o zarā pyār to kar leñ
  44. karūñ kyā ġham ke duniyā se milā kyākisī ko kyā milā duniyā meñ thā kyā
  45. karegā qadr jo duniyā maiñ apne āne kīusī kī jān ko lazzat milegī jāne kī
  46. koī hañs rahā hai koī ro rahā haikoī pā rahā hai koī kho rahā hai
  47. kahāñ sabāt kā us ko ḳhayāl hotā haizamāna-e-māzī hī hone ko hāl hotā hai
  48. kahāñ vo ab lutf-e-bāhamī hai mohabbatoñ meñ bahut kamī haichalī hai kaisī huā ilāhī ke har tabī.at meñ bar.hamī hai
  49. kyā jāniye sayyad the haq āgāh kahāñ taksamjhe na ke sīdhī hai mirī rāh kahāñ tak
  50. kyā jurm hai ye hāl to jāne ḳhudā-e-mauthar nafas ke liye hai magar yāñ sazā-e-maut