دل مایوس میں وہ شورشیں برپا نہیں ہوتیں
Akbar Allahabadi (1846–1921)دل مایوس میں وہ شورشیں برپا نہیں ہوتیں
امیدیں اس قدر ٹوٹیں کہ اب پیدا نہیں ہوتیں
مری بیتابیاں بھی جزو ہیں اک میری ہستی کی
یہ ظاہر ہے کہ موجیں خارج از دریا نہیں ہوتیں
وہی پریاں ہیں اب بھی راجا اندر کے اکھاڑے میں
مگر شہزادۂ گلفام پر شیدا نہیں ہوتیں
یہاں کی عورتوں کو علم کی پروا نہیں بے شک
مگر یہ شوہروں سے اپنے بے پروا نہیں ہوتیں
تعلق دل کا کیا باقی میں رکھوں بزم دنیا سے
وہ دل کش صورتیں اب انجمن آرا نہیں ہوتیں
ہوا ہوں اس قدر افسردہ رنگ باغ ہستی سے
ہوائیں فصل گل کی بھی نشاط افزا نہیں ہوتیں
قضا کے سامنے بے کار ہوتے ہیں حواس اکبرؔ
کھلی ہوتی ہیں گو آنکھیں مگر بینا نہیں ہوتیں
dil-e-mayus mein wo shorishen barpa nahin hotin
ummiden is qadar tuten ke ab paida nahin hotin
miri betabiyan bhi juzw hain ik meri hasti ki
ye zahir hai ke maujen kharij az dariya nahin hotin
wahi pariyan hain ab bhi raja andar ke ukhare mein
magar shahzada-e-gulfam par shaida nahin hotin
yahan ki auraton ko ilm ki parwa nahin be shak
magar ye shauharon se apne be parwa nahin hotin
taalluq dil ka kya baqi mein rakhun bazm-e-duniya se
wo dil kash suraten ab anjuman ara nahin hotin
hua hun is qadar afsurda rang-e-bagh-e-hasti se
hawaen fasl-e-gul ki bhi nishat afza nahin hotin
qaza ke samne be kar hote hain hawas akbar
khuli hoti hain go ankhen magar bina nahin hotin