غمزہ نہیں ہوتا کہ اشارا نہیں ہوتا
Akbar Allahabadi (1846–1921)غمزہ نہیں ہوتا کہ اشارا نہیں ہوتا
آنکھ ان سے جو ملتی ہے تو کیا کیا نہیں ہوتا
جلوہ نہ ہو معنی کا تو صورت کا اثر کیا
بلبل گل تصویر کا شیدا نہیں ہوتا
اللہ بچائے مرض عشق سے دل کو
سنتے ہیں کہ یہ عارضہ اچھا نہیں ہوتا
تشبیہ ترے چہرے کو کیا دوں گل تر سے
ہوتا ہے شگفتہ مگر اتنا نہیں ہوتا
میں نزع میں ہوں آئیں تو احسان ہے ان کا
لیکن یہ سمجھ لیں کہ تماشا نہیں ہوتا
ہم آہ بھی کرتے ہیں تو ہو جاتے ہیں بدنام
وہ قتل بھی کرتے ہیں تو چرچا نہیں ہوتا
ghamza nahin hota ke ishara nahin hota
ankh un se jo milti hai to kya kya nahin hota
jalwa na ho maani ka to surat ka asar kya
bulbul gul taswir ka shaida nahin hota
allah bachae maraz-e-ishq se dil ko
sunte hain ke ye arza achchha nahin hota
tashbih tire chehre ko kya dun gul-e-tar se
hota hai shagufta magar itna nahin hota
main nazaa mein hun aen to ehsan hai un ka
lekin ye samajh len ke tamasha nahin hota
ham ah bhi karte hain to ho jate hain badnam
wo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota