Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Wali Uzlat

ولی عزلت

1692–1775

Poems

Meter
  1. āj dil be qarār hai merākis ke pahlū meñ yār hai merā
  2. are ulṭe zamāne mujh pe kyā sīdhā sitam lāyānain mere the pī kā ghar so rū-e-hijr dikhlāyā
  3. asīrī be maza lagtī hai ban sayyād kyā kījeqafas ke kunj meñ tanhā abas fariyād kyā kīje
  4. agar maiñ mojize ko ḳhāksārī ke ayāñ kartābagūle sā banā aur hī zamīñ-o-āsmāñ kartā
  5. ai nāseh chashm-e-tar se mat kar ānsū pāk rahne deare be dard rone meñ mujhe be bāk rahne de
  6. ai yār mujh afsurda-e-hijrāñ ko pahuñch toai rashk-e-masīhā tan-e-be jāñ ko pahuñch to
  7. bande haiñ terī chhab ke mah se jamāl vālesab gul se gāl vāle sumbul se bāl vāle
  8. bahār ādhī guzar ga.ī hā.e ham qaidī haiñ zindāñ kega.e kuchh aur kuchh jāte haiñ din chāk-e-garebāñ ke
  9. bahār ā.ī batang āyā dil vahshat panāh apnākarūñ kyā hai yahī chāk-e-garebāñ dastgāh apnā
  10. bahār ā.ī junūñ legā hamārā imtihāñ dekheñnamak degā dil-e-zaḳhmī ko shor-e-bulbulāñ dekheñ
  11. phir ā.ī fasl-e-gul ai yār dekhiye kyā hojunūñ kā dil meñ chubhā ḳhār dekhiye kyā ho
  12. phūñk de hai muñh tirā har sāf dil ke tan meñ āgsāmne ḳhurshīd ke lagtī hai jo darpan meñ āg
  13. tujh se bosa meñ na māñgā kabhū ḍarte ḍartedekhiye āb-e-baqā pā.ūñgā marte marte
  14. tujh qabā par gulāb kā būṭādil-e-bulbul goyā abhī ṭūṭā
  15. tire lab ban hai dil meñ shola zan mil jis ko kahte haiñnashe kī maut kī hichkī hai qulqul jis ko kahte haiñ
  16. tīra baḳhtoñ ko kare hai nāla-e-ġhamgīñ ḳharābjis tarah ho jā sabā se kākul-e-mushkīñ ḳharāb
  17. jātī raheñ kidhar vo mohabbat kī bāniyāñik āshnā raheñ tirī bāteñ buganiyāñ
  18. jab tan na rahā merā hūñ vāsil-e-jānānadīvār ke girne se ham sāyā ho ham ḳhāna
  19. jab se dilbar ne ānkh pherā haimujh ko daurān-e-sar ne gherā hai
  20. jape hai vird sā tujh se sanam ke nām ko shaiḳhnamāz toṛ uṭhe tere rām rām ko shaiḳh
  21. jin dinoñ ham is shab-e-haz ke siyah kāroñ meñ theis ayāġh-e-chashm ke paivasta mai ḳhvāroñ meñ the
  22. junūñ āvar shab-e-mahtāb thī pī kī tamannā meñke bah kar rel meñ ashkoñ ke ham the sair-e-dariyā meñ
  23. jo āshiq ho use sahrā meñ chal jāne se kyā nisbatjuz apnī dhūl uṛānā aur vīrāne se kyā nisbat
  24. jūñ gul azbaskeh junūñ hai mirā sāmān ke sātchāk kartā hūñ maiñ sīne ko garebān ke sāt
  25. ḳhudā shāhid buto do jag se ye saudā hai nirvālāmaiñ do bādām chashm-e-lutf par dil bechne vālā
  26. ḳhudā kisī kūñ kisī sāth āshnā na karevagarna yār kūñ āshiq sūñ be vafā na kare
  27. ḳhudā hī pahuñche fariyādoñ ko ham se be nasīboñ kehamāre dil-e-kabāb aur to piye pyāle raqīboñ ke
  28. ḳhat ne ā kar kī hai shāyad rahm farmāne kī arztab to ab suntā hai hañs kar mujh se dīvāne kī arz
  29. ḳhunuk joshī na karte jūñ sabā gar ye butāñ ham setū misl-e-ġhuncha-e-gul dil na jātā rā.īgāñ ham se
  30. diloñ meñ rahiye jahāñ ke vale ḳhudā ke ḍhabke ho jahāñ pe na zāhir ye hai mirā maz.hab
  31. shitāb kho ga.ī pīrī javānī do din kīchhupī sahar meñ shab kāmrānī do din kī
  32. abas toṛā mirā dil nāz sukhlāne ke kām ātāye ā.īna thā is ḳhudbīñ ko itrāne ke kām ātā
  33. ġhuncha-e-dil mirā khā kar gul-e-ḳhandāñ merābū-e-gul sā hai uṛātā mujhe jānāñ merā
  34. ġhair āh-e-sard nahīñ dāġhoñ ke jāne kā ilājjuz sabā kyā hai charāġhoñ ke bujhāne kā ilāj
  35. fasl-e-gul meñ na.īñ baghūle uṭhte vīrānoñ ke bīchḳhāk dīvānoñ kī vajdī hai bayābānoñ ke bīch
  36. kar rahe haiñ mujh se tujh bin dīda-e-namnāk jangdāġh-e-dil jūñ sham.a karte haiñ judā be bāk jang
  37. kufr-e-momin hai na karnā dilbarāñ se iḳhtilātkar liyā ka.abe ne bhī ke din butāñ se iḳhtilāt
  38. gard-e-bād afsos kā jangal se hai paidā hanozhāt miltā mātam-e-majnūñ se hai sahrā hanoz
  39. gar mere lahū rone kā bārān banegākūcha tirā rashk-e-chamanistān banegā
  40. گل رہے نہیں نام کو سرکش ہیں خاراں العیاذکھٹکے ہے آنکھوں میں یہ سونا گلستاں العیاذ
  41. ghar yār kā ham se dūr paṛā ga.ī ham se rāhat ek tarafdil ek taraf āh ek taraf milne kī hasrat ek taraf
  42. māh-e-kāmil ho muqābil yār ke ro se che ḳhushḳham ho dam māre hilāl is teġh-e-abrū se che ḳhush
  43. mire naza.a ko mat us se kaho huā so huāke dil dahinda jiyo yā maro huā so huā
  44. maġhz-e-bahār is baras is ban bachā na thāchain-e-jabīñ ban ek gul ab kī hañsā na thā
  45. mausam-e-gul meñ haiñ dīvānoñ ke bāzār ka.īshor-e-bulbul ka.ī zanjīr kī jhankār ka.ī
  46. maiñ vo majnūñ hūñ ke ābād na ujṛā samjhūñmusht-e-ḳhāk apnī uṛā kar use sahrā samjhūñ
  47. nang nahīñ mujh ko taṛapne se sambhal jāne kāḍar hai is ḳhanjar-e-mizhgāñ ke phisal jāne kā
  48. na shoḳhiyoñ se kare haiñ vo chashm-e-gulgūñ raqske un ke pīne se kartā hai vāñ mirā ḳhūñ raqs
  49. nain meñ ḳhūñ bhar āyā dil meñ ḳhār-e-ġham chhupā shāyadhavā is dam vo teġh-e-abrū kisī se āshnā shāyad
  50. vaqt bose ke mirā muñh us ke lab se jūñ juṛāgard-e-ġham huī dil meñ mīṭhī jaise shukr kā paṛā