
Poet
Akbar Allahabadi
اکبر الہ آبادی1846–1921Born in BaraDied in Allahabad
Syed Akbar Hussain, known as Akbar Allahabadi, began as a clerk and rose through the judicial service to become a judge, receiving the title Khan Bahadur. He is known for satirical and humorous verse that mocks the blind imitation of Western ways and defends Eastern values. He came to be called Lisan-ul-Asr, and his ghazal Hungama Hai Kyon Barpa was popularised in song by Ghulam Ali.
Writes about
- Satire
- Humour
- Western culture
- Eastern values
Poems
- خوب فرمایا کہ اپنا پیار رہنے دیجےآپ ہی یہ غمزہ و انکار رہنے دیجےḳhūb farmāyā ke apnā pyār rahne dījeāp hī ye ġhamza-o-inkār rahne dīje
- خودی گم کر چکا ہوں اب خوشی و غم سے کیا مطلبتعلق ہوش سے چھوڑا تو اب عالم سے کیا مطلبḳhudī gum kar chukā hūñ ab ḳhushī-o-ġham se kyā matlabta.alluq hosh se chhoṛā to ab ālam se kyā matlab
- خوشی کیا ہو جو میری بات وہ بت مان جاتا ہےمزا تو بے حد آتا ہے مگر ایمان جاتا ہےḳhushī kyā ho jo merī bāt vo but mān jātā haimazā to be had ātā hai magar īmān jātā hai
- خوشی ہے سب کو کہ آپریشن میں خوب نشتر یہ چل رہا ہےکسی کو اس کی خبر نہیں ہے مریض کا دم نکل رہا ہےḳhushī hai sab ko ke āpreshan meñ ḳhūb nashtar ye chal rahā haikisī ko us kī ḳhabar nahīñ hai marīz kā dam nikal rahā hai
- خیال دوڑا نگاہ اٹھی قلم نے لکھا زبان بولیمگر وہی دل کی الجھنیں ہیں کسی نے اس کی گرہ نہ کھولیḳhayāl dauṛā nigāh uṭhī qalam ne likhā zabān bolīmagar vahī dil kī uljhaneñ haiñ kisī ne us kī girah na kholī
- درد تو موجود ہے دل میں دوا ہو یا نہ ہوبندگی حالت سے ظاہر ہے خدا ہو یا نہ ہوdard to maujūd hai dil meñ davā ho yā na hobandagī hālat se zāhir hai ḳhudā ho yā na ho
- دشت غربت ہے علالت بھی ہے تنہائی بھیاور ان سب پہ فزوں بادیہ پیمائی بھیdasht-e-ġhurbat hai alālat bhī hai tanhā.ī bhīaur un sab pe fuzūñ bādiya paimā.ī bhī
- دل زخمی سے خوں اے ہم نشیں کچھ کم نہیں نکلاتڑپنا تھا مگر قسمت میں لکھا دم نہیں نکلاdil-e-zaḳhmī se ḳhūñ ai ham nashīñ kuchh kam nahīñ niklātaṛapnā thā magar qismat meñ likhā dam nahīñ niklā
- دل مایوس میں وہ شورشیں برپا نہیں ہوتیںامیدیں اس قدر ٹوٹیں کہ اب پیدا نہیں ہوتیںdil-e-māyūs meñ vo shorisheñ barpā nahīñ hotīñummīdeñ is qadar ṭūṭeñ ke ab paidā nahīñ hotīñ
- دل مرا ان پہ جو آیا تو قضا بھی آئیدرد کے ساتھ ہی ساتھ اس کی دوا بھی آئیdil mirā un pe jo āyā to qazā bhī ā.īdard ke sāth hī sāth us kī davā bhī ā.ī
- دل مرا جس سے بہلتا کوئی ایسا نہ ملابت کے بندے ملے اللہ کا بندا نہ ملاdil mirā jis se bahaltā koī aisā na milābut ke bande mile allāh kā bandā na milā
- دل ہو خراب دین پہ جو کچھ اثر پڑےاب کار عاشقی تو بہر کیف کر پڑےdil ho ḳharāb dīn pe jo kuchh asar paṛeab kār āshiqī to bahar kaif kar paṛe
- دنیا کا ذرا یہ رنگ تو دیکھ ایک ایک کو کھائے جاتا ہےبن بن کے بگڑتا جاتا ہے اور بات بنائے جاتا ہےduniyā kā zarā ye rang to dekh ek ek ko khā.e jātā haiban ban ke bigaṛtā jātā hai aur bāt banā.e jātā hai
- دنیا میں ہوں دنیا کا طلب گار نہیں ہوںبازار سے گزرا ہوں خریدار نہیں ہوںduniyā meñ hūñ duniyā kā talab gār nahīñ hūñbāzār se guzrā hūñ ḳharīdār nahīñ hūñ
- دور گردوں میں کسی نے میری غم خواری نہ کیدشمنوں نے دشمنی کی یار نے یاری نہ کیdaur-e-gardūñ meñ kisī ne merī ġham ḳhvārī na kīdushmanoñ ne dushmanī kī yār ne yārī na kī
- دوعالم کی بنا کیا جانے کیا ہےنشان ماسوا کیا جانے کیا ہےdoālam kī banā kyā jāne kyā hainishān-e-māsivā kyā jāne kyā hai
- رنگ شراب سے مری نیت بدل گئیواعظ کی بات رہ گئی ساقی کی چل گئیrang-e-sharāb se mirī niyyat badal ga.īvā.iz kī bāt rah ga.ī sāqī kī chal ga.ī
- روشن دل عارف سے فزوں ہے بدن ان کارنگیں ہے طبیعت کی طرح پیرہن ان کاraushan dil ārif se fuzūñ hai badan un kārangīñ hai tabī.at kī tarah pairahan un kā
- رہا کرتا ہے مرغ فہم شاکینئی تہذیب کے انڈے ہیں خاکیrahā kartā hai murġh-e-fahm shākīna.ī tahzīb ke anḍe haiñ ḳhākī
- زباں سے بے تعلق دل کو بزم یار میں دیکھاتعجب خیز ضبط اس محرم اسرار میں دیکھاzabāñ se be ta.alluq dil ko bazm-e-yār meñ dekhāta.ajjub ḳhez zabt is mahram-e-asrār meñ dekhā
- زباں ہے ناتوانی سے اگر بندمرے دل پر نہیں معنی کے در بندzabāñ hai nātavānī se agar bandmire dil par nahīñ ma.anī ke dar band
- سانس لیتے ہوئے بھی ڈرتا ہوںیہ نہ سمجھیں کہ آہ کرتا ہوںsāns lete hue bhī ḍartā hūñye na samjheñ ke āh kartā hūñ
- سچ ہے کسی کی شان یہ اے نازنیں نہیںتو ہر جگہ ہے جلوہ گر اور پھر کہیں نہیںsach hai kisī kī shān ye ai nāznīñ nahīñto har jagah hai jalva gar aur phir kahīñ nahīñ
- سکون قلب کی دولت کہاں دنیائے فانی میںبس اک غفلت سی ہو جاتی ہے اور وہ بھی جوانی میںsukūn-e-qalb kī daulat kahāñ duniyā-e-fānī meñbas ik ġhaflat sī ho jātī hai aur vo bhī javānī meñ
- سینہ میں دل آگاہ جو ہو کچھ غم نہ کرو ناشاد سہیبیدار تو ہے مشغول تو ہے نغمہ نہ سہی فریاد سہیsīna meñ dil āgāh jo ho kuchh ġham na karo nāshād sahībedār to hai mashġhūl to hai naġhma na sahī fariyād sahī
- سینے سے لگائیں تمہیں ارمان یہی ہےجینے کا مزہ ہے تو مری جان یہی ہےsīne se lagā.eñ tumheñ armān yahī haijīne kā maza hai to mirī jān yahī hai
- شکوۂ بیداد سے مجھ کو تو ڈرنا چاہئےدل میں لیکن آپ کو انصاف کرنا چاہئےshikva-e-bedād se mujh ko to ḍarnā chāhiyedil meñ lekin āp ko insāf karnā chāhiye
- شیخ نے ناقوس کے سر میں جو خود ہی تان لیپھر تو یاروں نے بھجن گانے کی کھل کر ٹھان لیshaiḳh ne nāqūs ke sar meñ jo ḳhud hī tān līphir to yāroñ ne bhajan gāne kī khul kar ṭhān lī
- صبر رہ جاتا ہے اور عشق کی چل جاتی ہےضبط کرتا ہوں مگر آہ نکل جاتی ہےsabr rah jātā hai aur ishq kī chal jātī haizabt kartā hūñ magar āh nikal jātī hai
- صدیوں فلاسفی کی چناں اور چنیں رہیلیکن خدا کی بات جہاں تھی وہیں رہیsadiyoñ filāsifī kī chunāñ aur chuneñ rahīlekin ḳhudā kī bāt jahāñ thī vahīñ rahī
- ضد ہے انہیں پورا مرا ارماں نہ کریں گےمنہ سے جو نہیں نکلی ہے اب ہاں نہ کریں گےzid hai unheñ pūrā mirā armāñ na kareñgemuñh se jo nahīñ niklī hai ab hāñ na kareñge
- طریق عشق میں مجھ کو کوئی کامل نہیں ملتاگئے فرہاد و مجنوں اب کسی سے دل نہیں ملتاtarīq-e-ishq meñ mujh ko koī kāmil nahīñ miltāga.e farhād-o-majnūñ ab kisī se dil nahīñ miltā
- طلب ہو صبر کی اور دل میں آرزو آئےغضب ہے دوست کی خواہش ہو اور عدو آئےtalab ho sabr kī aur dil meñ ārzū ā.eġhazab hai dost kī ḳhvāhish ho aur adū ā.e
- عالم ہے بے خودی کا مے کی دکان پر ہیںساقی پہ ہیں نگاہیں ہوش آسمان پر ہیںālam hai be ḳhudī kā mai kī dukān par haiñsāqī pe haiñ nigāheñ hosh āsmān par haiñ
- عبث اس زندگی پر غافلوں کا فخر کرنا ہےیہ جینا کوئی جینا ہے کہ جس کے ساتھ مرنا ہےabas is zindagī par ġhāfiloñ kā faḳhr karnā haiye jīnā koī jīnā hai ke jis ke sāth marnā hai
- عشق بت میں کفر کا مجھ کو ادب کرنا پڑاجو برہمن نے کہا آخر وہ سب کرنا پڑاishq-e-but meñ kufr kā mujh ko adab karnā paṛājo barahman ne kahā āḳhir vo sab karnā paṛā
- عشق و مذہب میں دو رنگی ہو گئیدین و دل میں خانہ جنگی ہو گئیishq-o-maz.hab meñ do rangī ho ga.īdīn-o-dil meñ ḳhāna jangī ho ga.ī
- عنایت مجھ پہ فرماتے ہیں شیخ و برہمن دونوںموافق اپنے اپنے اپنے پاتے ہیں میرا چلن دونوںināyat mujh pe farmāte haiñ shaiḳh-o-barahman donoñmūāfiq apne apne apne pāte haiñ merā chalan donoñ
- غمزہ نہیں ہوتا کہ اشارا نہیں ہوتاآنکھ ان سے جو ملتی ہے تو کیا کیا نہیں ہوتاġhamza nahīñ hotā ke ishārā nahīñ hotāānkh un se jo miltī hai to kyā kyā nahīñ hotā
- فتنہ اٹھے کوئی یا گھات میں دشمن بیٹھےکار الفت پہ تو اب حضرت دل ٹھن بیٹھےfitna uṭhe koī yā ghāt meñ dushman baiṭhekār ulfat pe to ab hazrat-e-dil ṭhan baiṭhe
- فساد نیت میں جب نہیں ہے تو پھر مجھے خطرہ کیوں کہیں ہےبہت مکلف ہیں یہ اشارہ کہ اس سے بچئے اور اس سے بچئےfasād niyyat meñ jab nahīñ hai to phir mujhe ḳhatra kyūñ kahīñ haibahut mukallif haiñ ye ishāra ke us se bachiye aur us se bachiye
- فلسفی کو بحث کے اندر خدا ملتا نہیںڈور کو سلجھا رہا ہے اور سرا ملتا نہیںfalsafī ko bahs ke andar ḳhudā miltā nahīñḍor ko suljhā rahā hai aur sarā miltā nahīñ
- کچھ آج علاج دل بیمار تو کر لیںاے جان جہاں آؤ ذرا پیار تو کر لیںkuchh āj ilāj-e-dil bīmār to kar leñai jān-e-jahāñ ā.o zarā pyār to kar leñ
- کروں کیا غم کہ دنیا سے ملا کیاکسی کو کیا ملا دنیا میں تھا کیاkarūñ kyā ġham ke duniyā se milā kyākisī ko kyā milā duniyā meñ thā kyā
- کرے گا قدر جو دنیا میں اپنے آنے کیاسی کی جان کو لذت ملے گی جانے کیkaregā qadr jo duniyā maiñ apne āne kīusī kī jān ko lazzat milegī jāne kī
- کوئی ہنس رہا ہے کوئی رو رہا ہےکوئی پا رہا ہے کوئی کھو رہا ہےkoī hañs rahā hai koī ro rahā haikoī pā rahā hai koī kho rahā hai
- کہاں ثبات کا اس کو خیال ہوتا ہےزمانہ ماضی ہی ہونے کو حال ہوتا ہےkahāñ sabāt kā us ko ḳhayāl hotā haizamāna-e-māzī hī hone ko hāl hotā hai
- کہاں وہ اب لطف باہمی ہے محبتوں میں بہت کمی ہےچلی ہے کیسی ہوا الٰہی کہ ہر طبیعت میں برہمی ہےkahāñ vo ab lutf-e-bāhamī hai mohabbatoñ meñ bahut kamī haichalī hai kaisī huā ilāhī ke har tabī.at meñ bar.hamī hai
- کیا جانیے سید تھے حق آگاہ کہاں تکسمجھے نہ کہ سیدھی ہے مری راہ کہاں تکkyā jāniye sayyad the haq āgāh kahāñ taksamjhe na ke sīdhī hai mirī rāh kahāñ tak
- کیا جرم ہے یہ حال تو جانے خدائے موتہر نفس کے لئے ہے مگر یاں سزائے موتkyā jurm hai ye hāl to jāne ḳhudā-e-mauthar nafas ke liye hai magar yāñ sazā-e-maut