Poet
Shakeel Badayuni
شکیل بدایونی1916–1970
Poems
- آج پھر گردش تقدیر پہ رونا آیادل کی بگڑی ہوئی تصویر پہ رونا آیاāj phir gardish-e-taqdīr pe ronā āyādil kī bigṛī huī tasvīr pe ronā āyā
- آخری وقت ہے آخری سانس ہے زندگی کی ہے شام آخری آخریسنگ دل آ بھی جا اب خدا کے لیے لب پہ ہے تیرا نام آخری آخریāḳhirī vaqt hai āḳhirī sāns hai zindagī kī hai shām āḳhirī āḳhirīsang dil ā bhī jā ab ḳhudā ke liye lab pe hai terā nām āḳhirī āḳhirī
- آدمی نہ اتنا بھی دور ہو زمانے سےصبح کو جدا سمجھے شام کے فسانے سےādmī na itnā bhī dūr ho zamāne sesub.h ko judā samjhe shām ke fasāne se
- آنکھ سے آنکھ ملاتا ہے کوئیدل کو کھینچے لیے جاتا ہے کوئیānkh se ānkh milātā hai koīdil ko khīñche liye jātā hai koī
- آنکھوں سے دور صبح کے تارے چلے گئےنیند آ گئی تو غم کے نظارے چلے گئےānkhoñ se dūr sub.h ke tāre chale ga.enīnd ā ga.ī to ġham ke nazāre chale ga.e
- اب تک شکایتیں ہیں دل بد نصیب سےاک دن کسی کو دیکھ لیا تھا قریب سےab tak shikāyateñ haiñ dil-e-bad nasīb seik din kisī ko dekh liyā thā qarīb se
- اب تو خوشی کا غم ہے نہ غم کی خوشی مجھےبے حس بنا چکی ہے بہت زندگی مجھےab to ḳhushī kā ġham hai na ġham kī ḳhushī mujhebe his banā chukī hai bahut zindagī mujhe
- اٹھی پھر دل میں اک موج شباب آہستہ آہستہکچھ آیا زندگی میں انقلاب آہستہ آہستہuṭhī phir dil meñ ik mauj-e-shabāb āhista āhistakuchh āyā zindagī meñ inqilāb āhista āhista
- اس درجہ بد گماں ہیں خلوص بشر سے ہماپنوں کو دیکھتے ہیں پرائی نظر سے ہمis darja bad gumāñ haiñ ḳhulūs-e-bashar se hamapnoñ ko dekhte haiñ parā.ī nazar se ham
- اک اک قدم فریب تمنا سے بچ کے چلدنیا کی آرزو ہے تو دنیا سے بچ کے چلik ik qadam fareb-e-tamannā se bach ke chalduniyā kī ārzū hai to duniyā se bach ke chal
- ان سے امید رو نمائی ہےکیا نگاہوں کی موت آئی ہےun se ummīd ro numā.ī haikyā nigāhoñ kī maut ā.ī hai
- اے عشق یہ سب دنیا والے بیکار کی باتیں کرتے ہیںپائل کے غموں کا علم نہیں جھنکار کی باتیں کرتے ہیںai ishq ye sab duniyā vāle bekār kī bāteñ karte haiñpā.il ke ġhamoñ kā ilm nahīñ jhankār kī bāteñ karte haiñ
- اے محبت ترے انجام پہ رونا آیاجانے کیوں آج ترے نام پہ رونا آیاai mohabbat tire anjām pe ronā āyājāne kyūñ āj tire nām pe ronā āyā
- بدلے بدلے مرے غم خوار نظر آتے ہیںمرحلے عشق کے دشوار نظر آتے ہیںbadle badle mire ġham ḳhvār nazar āte haiñmarhale ishq ke dushvār nazar āte haiñ
- بہار آئی کسی کا سامنا کرنے کا وقت آیاسنبھل اے دل کہ اظہار وفا کرنے کا وقت آیاbahār ā.ī kisī kā sāmnā karne kā vaqt āyāsambhal ai dil ke iz.hār-e-vafā karne kā vaqt āyā
- تری انجمن میں ظالم عجب اہتمام دیکھاکہیں زندگی کی بارش کہیں قتل عام دیکھاtirī anjuman meñ zālim ajab ehtimām dekhākahīñ zindagī kī bārish kahīñ qatl-e-ām dekhā
- تصویر بناتا ہوں تری خون جگر سےدیکھا ہے تجھے میں نے محبت کی نظر سےtasvīr banātā hūñ tirī ḳhūn-e-jigar sedekhā hai tujhe maiñ ne mohabbat kī nazar se
- تقدیر کی گردش کیا کم تھی اس پر یہ قیامت کر بیٹھےبے تابئ دل جب حد سے بڑھی گھبرا کے محبت کر بیٹھےtaqdīr kī gardish kyā kam thī us par ye qayāmat kar baiṭhebe tābī-e-dil jab had se baṛhī ghabrā ke mohabbat kar baiṭhe
- تم نے یہ کیا ستم کیا ضبط سے کام لے لیاترک وفا کے بعد بھی میرا سلام لے لیاtum ne ye kyā sitam kiyā zabt se kām le liyātark-e-vafā ke ba.ad bhī merā salām le liyā
- جنوں سے گزرنے کو جی چاہتا ہےہنسی ضبط کرنے کو جی چاہتا ہےjunūñ se guzarne ko jī chāhtā haihañsī zabt karne ko jī chāhtā hai
- جو دل پہ گزرتی ہے وہ سمجھا نہیں سکتےہم دیکھنے والوں کو نظر آ نہیں سکتےjo dil pe guzartī hai vo samjhā nahīñ sakteham dekhne vāloñ ko nazar ā nahīñ sakte
- جینے والے قضا سے ڈرتے ہیںزہر پی کر دوا سے ڈرتے ہیںjīne vāle qazā se ḍarte haiñzahr pī kar davā se ḍarte haiñ
- چاندنی میں رخ زیبا نہیں دیکھا جاتاماہ و خورشید کو یکجا نہیں دیکھا جاتاchāndnī meñ ruḳh-e-zebā nahīñ dekhā jātāmāh-o-ḳhurshīd ko yakjā nahīñ dekhā jātā
- خوش ہوں کہ مرا حسن طلب کام تو آیاخالی ہی سہی میری طرف جام تو آیاḳhush hūñ ke mirā husn-e-talab kām to āyāḳhālī hī sahī merī taraf jām to āyā
- دل کے بہلانے کی تدبیر تو ہےتو نہیں ہے تری تصویر تو ہےdil ke bahlāne kī tadbīr to haito nahīñ hai tirī tasvīr to hai
- دل مرکز حجاب بنایا نہ جائے گاان سے بھی راز عشق چھپایا نہ جائے گاdil markaz-e-hijāb banāyā na jā.egāun se bhī rāz-e-ishq chhupāyā na jā.egā
- دنیا کی روایات سے بیگانہ نہیں ہوںچھیڑو نہ مجھے میں کوئی دیوانہ نہیں ہوںduniyā kī rivāyāt se begāna nahīñ hūñchheṛo na mujhe maiñ koī dīvāna nahīñ hūñ
- زندگی ان کی چاہ میں گزریمستقل درد و آہ میں گزریzindagī un kī chāh meñ guzrīmustaqil dard-o-āh meñ guzrī
- عشق کی چنگاریوں کو پھر ہوا دینے لگےمیرے پاس آ کر وہ دشمن کو دعا دینے لگےishq kī chingāriyoñ ko phir huā dene lagemere pās ā kar vo dushman ko duā dene lage
- غم عاشقی سے کہہ دو رہ عام تک نہ پہنچےمجھے خوف ہے یہ تہمت ترے نام تک نہ پہنچےġham-e-āshiqī se kah do rah-e-ām tak na pahuñchemujhe ḳhauf hai ye tohmat tire nām tak na pahuñche
- غم عشق رہ گیا ہے غم جستجو میں ڈھل کروہ نظر سے چھپ گئے ہیں مری زندگی بدل کرġham-e-ishq rah gayā hai ġham-e-justujū meñ ḍhal karvo nazar se chhup ga.e haiñ mirī zindagī badal kar
- کوئی آرزو نہیں ہے کوئی مدعا نہیں ہےترا غم رہے سلامت مرے دل میں کیا نہیں ہےkoī ārzū nahīñ hai koī mudda.ā nahīñ haitirā ġham rahe salāmat mire dil meñ kyā nahīñ hai
- کوئی ساغر دل کو بہلاتا نہیںبے خودی میں بھی قرار آتا نہیںkoī sāġhar-e-dil ko bahlātā nahīñbe ḳhudī meñ bhī qarār ātā nahīñ
- کہیں حسن کا تقاضا کہیں وقت کے اشارےنہ بچا سکیں گے دامن غم زندگی کے مارےkahīñ husn kā taqāzā kahīñ vaqt ke ishārena bachā sakeñge dāman ġham-e-zindagī ke māre
- کیسے کہہ دوں کی ملاقات نہیں ہوتی ہےروز ملتے ہیں مگر بات نہیں ہوتی ہےkaise kah dūñ kī mulāqāt nahīñ hotī hairoz milte haiñ magar bāt nahīñ hotī hai
- لمحہ لمحہ بار ہے تیرے بغیرزندگی دشوار ہے تیرے بغیرlamha lamha bār hai tere baġhairzindagī dushvār hai tere baġhair
- مری زندگی پہ نہ مسکرا مجھے زندگی کا الم نہیںجسے تیرے غم سے ہو واسطہ وہ خزاں بہار سے کم نہیںmirī zindagī pe na muskurā mujhe zindagī kā alam nahīñjise tere ġham se ho vāsta vo ḳhizāñ bahār se kam nahīñ
- مری زندگی ہے ظالم ترے غم سے آشکاراترا غم ہے در حقیقت مجھے زندگی سے پیاراmirī zindagī hai zālim tire ġham se āshkārātirā ġham hai dar haqīqat mujhe zindagī se pyārā
- میرے ہم نفس میرے ہم نوا مجھے دوست بن کے دغا نہ دےمیں ہوں درد عشق سے جاں بہ لب مجھے زندگی کی دعا نہ دےmere ham nafas mere ham navā mujhe dost ban ke daġhā na demaiñ hūñ dard-e-ishq se jāñ ba lab mujhe zindagī kī duā na de
- نظر نواز نظاروں میں جی نہیں لگتاوہ کیا گئے کہ بہاروں میں جی نہیں لگتاnazar navāz nazāroñ meñ jī nahīñ lagtāvo kyā ga.e ke bahāroñ meñ jī nahīñ lagtā
- نگاہ ناز کا اک وار کر کے چھوڑ دیادل حریف کو بیدار کر کے چھوڑ دیاnigāh-e-nāz kā ik vār kar ke chhoṛ diyādil-e-harīf ko bedār kar ke chhoṛ diyā
- نمایاں دونوں جانب شان فطرت ہوتی جاتی ہےانہیں مجھ سے مجھے ان سے محبت ہوتی جاتی ہےnumāyāñ donoñ jānib shān-e-fitrat hotī jātī haiunheñ mujh se mujhe un se mohabbat hotī jātī hai
- نہ سوچا تھا یہ دل لگانے سے پہلےکہ ٹوٹے گا دل مسکرانے سے پہلےna sochā thā ye dil lagāne se pahleke ṭūṭegā dil muskurāne se pahle
- نہ ملتا غم تو بربادی کے افسانے کہاں جاتےاگر دنیا چمن ہوتی تو ویرانے کہاں جاتےna miltā ġham to barbādī ke afsāne kahāñ jāteagar duniyā chaman hotī to vīrāne kahāñ jāte
- وجہ قدر و قیمت دل حسن کی تنویر ہےورنہ اک ٹوٹے ہوئے شیشے کی کیا توقیر ہےvaj.h-e-qadar-o-qīmat-e-dil husn kī tanvīr haivarna ik ṭūṭe hue shīshe kī kyā tauqīr hai
- وہ ہم سے دور ہوتے جا رہے ہیںبہت مغرور ہوتے جا رہے ہیںvo ham se dūr hote jā rahe haiñbahut maġhrūr hote jā rahe haiñ
- وہ یوں کھو کے مجھے پایا کریں گےمرا افسانہ دہرایا کریں گےvo yūñ kho ke mujhe pāyā kareñgemirā afsāna dohrāyā kareñge
- ہنگامۂ غم سے تنگ آ کر اظہار مسرت کر بیٹھےمشہور تھی اپنی زندہ دلی دانستہ شرارت کر بیٹھےhangāma-e-ġham se tang ā kar iz.hār-e-masarrat kar baiṭhemashhūr thī apnī zinda dilī dānista sharārat kar baiṭhe
- ہوئی ہم سے یہ نادانی تری محفل میں آ بیٹھےزمیں کی خاک ہو کر آسماں سے دل لگا بیٹھےhuī ham se ye nādānī tirī mahfil meñ ā baiṭhezamīñ kī ḳhāk ho kar āsmāñ se dil lagā baiṭhe
- یہ دنیا ہے یہاں دل کو لگانا کس کو آتا ہےہزاروں پیار کرتے ہیں نبھانا کس کو آتا ہےye duniyā hai yahāñ dil ko lagānā kis ko ātā haihazāroñ pyār karte haiñ nibhānā kis ko ātā hai