Poet
Shakeel Badayuni
شکیل بدایونی1916–1970
Poems
- ان کا ذکر ان کی تمنا ان کی یادوقت کتنا قیمتی ہے آج کلun kā zikr un kī tamannā un kī yādvaqt kitnā qīmtī hai āj kal
- بزدلی ہوگی چراغوں کو دکھانا آنکھیںابر چھٹ جائے تو سورج سے ملانا آنکھیںbuzdilī hogī charāġhoñ ko dikhānā ānkheñabr chhuṭ jā.e to sūraj se milānā ānkheñ
- بھیج دی تصویر اپنی ان کو یہ لکھ کر شکیلؔآپ کی مرضی ہے چاہے جس نظر سے دیکھیےbhej dī tasvīr apnī un ko ye likh kar shakīlāp kī marzī hai chāhe jis nazar se dekhiye
- بے پیے شیخ فرشتہ تھا مگرپی کے انسان ہوا جاتا ہےbe piye shaiḳh farishta thā magarpī ke insān huā jātā hai
- پی شوق سے واعظ ارے کیا بات ہے ڈر کیدوزخ ترے قبضے میں ہے جنت ترے گھر کیpī shauq se vā.iz are kyā bāt hai ḍar kīdozaḳh tire qabze meñ hai jannat tire ghar kī
- ترک مے ہی سمجھ اسے ناصحاتنی پی ہے کہ پی نہیں جاتیtark-e-mai hī samajh use nāsehitnī pī hai ke pī nahīñ jātī
- تم پھر اسی ادا سے انگڑائی لے کے ہنس دوآ جائے گا پلٹ کر گزرا ہوا زمانہtum phir isī adā se angṛā.ī le ke hañs doā jā.egā palaṭ kar guzrā huā zamāna
- جانے والے سے ملاقات نہ ہونے پائیدل کی دل میں ہی رہی بات نہ ہونے پائیjāne vāle se mulāqāt na hone pā.īdil kī dil meñ hī rahī bāt na hone pā.ī
- کس سے جا کر مانگیے درد محبت کی دواچارہ گر اب خود ہی بے چارے نظر آنے لگےkis se jā kar māñgiye dard-e-mohabbat kī davāchāra gar ab ḳhud hī be chāre nazar āne lage
- کل رات زندگی سے ملاقات ہو گئیلب تھرتھرا رہے تھے مگر بات ہو گئیkal rāt zindagī se mulāqāt ho ga.īlab thartharā rahe the magar bāt ho ga.ī
- کیا اثر تھا جذبۂ خاموش میںخود وہ کھچ کر آ گئے آغوش میںkyā asar thā jazba-e-ḳhāmosh meñḳhud vo khich kar ā ga.e āġhosh meñ
- نہ پیمانے کھنکتے ہیں نہ دور جام چلتا ہےنئی دنیا کے رندوں میں خدا کا نام چلتا ہےna paimāne khanakte haiñ na daur-e-jām chaltā haina.ī duniyā ke rindoñ meñ ḳhudā kā nām chaltā hai
- ہمیں جن کی دید کی آس تھی وہ ملے تو راہ میں یوں ملےمیں نظر اٹھا کے تڑپ گیا وہ نظر اٹھا کے گزر گئےhameñ jin kī dīd kī ās thī vo mile to rāh meñ yūñ milemaiñ nazar uṭhā ke taṛap gayā vo nazar uṭhā ke guzar ga.e