Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Shakeb Jalali

شکیب جلالی

1934–1966

Poems

  1. ā ke patthar to mire sehn meñ do chār girejitne is peṛ ke phal the pas-e-dīvār gire
  2. āg ke darmiyān se niklāmaiñ bhī kis imtihān se niklā
  3. āyā hai har chaṛhā.ī ke ba.ad ik utār bhīpastī se ham kanār mile kohsār bhī
  4. ab āp rah-e-dil jo kushāda nahīñ rakhteham bhī safar jāñ kā irāda nahīñ rakhte
  5. us but kade meñ to jo hasīñ tar lagā mujheapne hī ik ḳhayāl kā paikar lagā mujhe
  6. is ḳhākdāñ meñ ab tak bāqī haiñ kuchh sharar sedāman bachā ke guzro yādoñ kī rah guzar se
  7. انفرادیت پرست
  8. bujhe bujhe se sharāre mujhe qubūl nahīñsavād-e-shab meñ sitāre mujhe qubūl nahīñ
  9. bas ik shuā-e-nūr se sāya simaṭ gayāvo pās ā rahā thā ke maiñ dūr haṭ gayā
  10. be jā navāzshāt kā bār-e-girāñ nahīñmaiñ ḳhush hūñ is liye ke koī mehrbāñ nahīñ
  11. parda-e-shab kī oṭ meñ zohra jamāl kho ga.edil kā kanval bujhā to shahr-e-tīra-o-tār ho ga.e
  12. phir sun rahā hūñ guzre zamāne kī chāp kobhūlā huā thā der se maiñ apne āp ko
  13. tū ne kiyā kyā na ai zindagī dasht-o-dar meñ pharāyā mujheab to apne dar-o-bām bhī jānte haiñ parāyā mujhe
  14. jātī hai dhūp ujle paroñ ko sameṭ kezaḳhmoñ ko ab ginūñgā meñ bistar pe leṭ ke
  15. jab tak ġham jahāñ ke havāle hue nahīñham zindagī ke jānne vāle hue nahīñ
  16. jis dam qafas meñ mausam-e-gul kī ḳhabar ga.īik bār qaidiyoñ pe qayāmat guzar ga.ī
  17. ḳhirad fareb nazāroñ kī koī bāt karojunūñ navāz bahāroñ kī koī bāt karo
  18. ḳhizāñ ke chānd ne pūchhā ye jhuk ke khiṛkī meñkabhī charāġh bhī jaltā hai is havelī meñ
  19. ḳhamoshī bol uṭhe har nazar paiġhām ho jā.eye sannāṭā agar had se baṛhe kohrām ho jā.e
  20. ḳhvāb-e-gul rang ke anjām pe ronā āyāāmad-e-sub.h-e-shab andām pe ronā āyā
  21. dard ke mausam kā kyā hogā asar anjān pardosto pānī kabhī ruktā nahīñ ḍhalvān par
  22. dasht-o-sahrā agar basā.e haiñham gulistāñ meñ kab samā.e haiñ
  23. dil ke vīrāne meñ ik phūl khulā rahtā haikoī mausam ho mirā zaḳhm harā rahtā hai
  24. duniyā vāloñ ne chāhat kā mujh ko sila anmol diyāpairoñ meñ zanjīreñ ḍāleñ hāthoñ meñ kashkol diyā
  25. dostī kā fareb hī khā.eñā.o kāġhaz kī nā.o terā.eñ
  26. ruḳhsār āj dho kar shabnam ne pañkhuṛī kekuchh aur baḳhsh ḍāle andāz-e-dil kashī ke
  27. raushan haiñ dil ke dāġh na ānkhoñ ke shab charāġhkyūñ shām hī se bujh ga.e mahfil ke sab charāġh
  28. sāhil tamām ashk-e-nadāmat se aṭ gayādariyā se koī shaḳhs to pyāsā palaṭ gayā
  29. sar-e-rah ab na yūñ mujh ko pukāro tum hī ā jā.ozarā zahmat to hogī rāz dārū tum hī ā jā.o
  30. samajh sako to ye tishna labī samundar haibaqadr-e-zarf har ik ādmī samundar hai
  31. shafaq jo rū-e-sahar par gulāl milne lagīye bastiyoñ kī fazā kyūñ dhuāñ ugalne lagī
  32. ishq ke ġham gusār haiñ ham loghusn ke rāzdār haiñ ham log
  33. ġham-e-ulfat mire chehre se ayāñ kyūñ na huāāg jab dil meñ sulagtī thī dhuāñ kyūñ na huā
  34. ġham-e-hayāt kī lazzat badaltī rahtī haibaqadr-e-fikr-e-shikāyat badaltī rahtī hai
  35. kanār-e-āb khaṛā ḳhud se kah rahā hai koīgumāñ guzartā hai ye shaḳhs dūsrā hai koī
  36. koī is dil kā hāl kyā jāneek ḳhvāhish hazār tah ḳhāne
  37. kahāñ rukeñge musāfir na.e zamānoñ kebadal rahā hai junūñ zāviye uṛānoñ ke
  38. kyā chīz hai ye sa.ī-e-paiham kyā jazba-e-kāmil hotā haiallāh ko agar manzūr na ho har maqsad bātil hotā hai
  39. kyā kahiye ke ab us kī sadā tak nahīñ ātīūnchī hūñ fasīleñ to huā tak nahīñ ātī
  40. gale milā na kabhī chānd baḳht aisā thāharā bharā badan apnā daraḳht aisā thā
  41. gūnjtā hai nāla-e-mahtāb ādhī rāt koṭūṭ jāte haiñ suhāne ḳhvāb ādhī rāt ko
  42. mujh se milne shab-e-ġham aur tū kaun ā.egāmerā sāya hai jo dīvār pe jam jā.egā
  43. murjhā ke kālī jhīl meñ girte hue bhī dekhsūraj hūñ merā rang magar din ḍhale bhī dekh
  44. marīz-e-ġham ke sahāro koī to bāt karoudās chānd sitāro koī to bāt karo
  45. mire ḳhulūs kī shiddat se koī ḍar bhī gayāvo pās ā to rahā thā magar ṭhahar bhī gayā
  46. mauj-e-sabā ravāñ huī raqs-e-junūñ bhī chāhiyeḳhema-e-gul ke pās hī dajla-e-ḳhūñ bhī chāhiye
  47. mauj-e-ġham is liye shāyad nahīñ guzrī sar semaiñ jo ḍūbā to na ubhrūñgā kabhī sāgar se
  48. mīṭhe chashmoñ se ḳhunuk chhā.oñ se dūrzaḳhm khulte haiñ tire gā.oñ se dūr
  49. maiñ shāḳh se uṛā thā sitāroñ kī ās meñmurjhā ke ā girā hūñ magar sard ghās meñ
  50. naqāb-e-ruḳh uṭhāyā jā rahā haighaṭā meñ chānd āyā jā rahā hai