بجھے بجھے سے شرارے مجھے قبول نہیں
Shakeb Jalali (1934–1966)بجھے بجھے سے شرارے مجھے قبول نہیں
سواد شب میں ستارے مجھے قبول نہیں
یہ کوہ و دشت بھی آئینۂ بہار بنے
فقط چمن کے نظارے مجھے قبول نہیں
تمہارے ذوق کرم پر بہت ہوں شرمندہ
مراد یہ ہے سہارے مجھے قبول نہیں
مثال موج سمندر کی سمت لوٹ چلو
سکوں بہ دوش کنارے مجھے قبول نہیں
میں اپنے خوں سے جلاؤں گا رہ گزر کے چراغ
یہ کہکشاں یہ ستارے مجھے قبول نہیں
شکیبؔ جس کو شکایت ہے کھل کے بات کرے
ڈھکے چھپے سے اشارے مجھے قبول نہیں
bujhe bujhe se sharare mujhe qubul nahin
sawad-e-shab mein sitare mujhe qubul nahin
ye koh-o-dasht bhi aina-e-bahar bane
faqat chaman ke nazare mujhe qubul nahin
tumhare zauq-e-karam par bahut hun sharminda
murad ye hai sahare mujhe qubul nahin
misal-e-mauj samundar ki samt laut chalo
sukun ba dosh kinare mujhe qubul nahin
main apne khun se jalaunga rah guzar ke charagh
ye kahkashan ye sitare mujhe qubul nahin
shakeb jis ko shikayat hai khul ke bat kare
dhake chhupe se ishare mujhe qubul nahin