Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

R P Shokh

Poems

Meter
  1. āge tum ho to jafā.oñ kā qalaq yād nahīñdil vo bachcha hai jise pahlā sabaq yād nahīñ
  2. us ne pūchhā to faqat dard kā afsāna khulākisī sūrat bhī na rāz-e-dil-e-dīvāna khulā
  3. be āb mausamoñ kā sāmān kar ke royāye dil ke ānkh ko bhī vīrān kar ke royā
  4. pūchhoge to khul jā.egī zaḳhmoñ kī zabāñ aurpurshash to guzartī hai ġham-e-dil pe girāñ aur
  5. tujh ko dekhā to mirī ānkh ne dekhā mujh meñjhilmilātā hai koī pahle hī tujh sā mujh meñ
  6. jab ek gulizār kī sohbat meñ ā gayāāriz kā rang merī tabī.at meñ ā gayā
  7. jism kā ghar hī girā hai to na jāñ ṭhahregīyād ā.ī bhī kisī kī to kahāñ ṭhahregī
  8. jo na gulshan na gulāboñ se nikal kar ā.evo to ḳhushbū hai jo ḳhvāboñ se nikal kar ā.e
  9. chāra sāzī kā talab gār lage hai vo bhīik masīhā hai so bīmār lage hai vo bhī
  10. dard uṭh uṭh ke ye kahtā hai rag-e-jāñ ke qarībabhī zindāñ meñ hūñ lekin dar-e-zindāñ ke qarīb
  11. dard ban kar bhī dil-o-jāñ meñ nahīñ rah pātāvo sañvartā hai to imkāñ meñ nahīñ rah pātā
  12. dil kī bāteñ haiñ ye bojhal na banā.ūñ us komaslahat ye hai ke kuchh bhī na batā.ūñ us ko
  13. zindagī apnī huī yār kī fitrat kī tarahham bhī kal hūñ ke na hūñ us kī ināyat kī tarah
  14. shahr meñ ban ke mohabbat kā gadāgar māñgūñmujh ko māñge se mile vo to maiñ dar dar māñgūñ
  15. shahroñ meñ nāchtā huā jangal hai aur maiñsadiyoñ ke ba.ad bhī vahī qātil hai aur maiñ
  16. ġham to ye bhī hai ke taqdīr bhī roī barsoñhā.e vo zulf-e-girah gīr bhī roī barsoñ
  17. kabhī hone se kabhī dukh ke na hone se huāai mohabbat tujhe bas kām hī rone se huā
  18. kaṭ ga.e ham to habīboñ se ijāzat le karham se miltā hai raqīboñ se ijāzat le kar
  19. kis pe qurbān kise yād hue the ham bhīyād itnā hai ke barbād hue the ham bhī
  20. kam kabhī rāh ke āzār to hote hoñgeābla pā.ī kahīñ ḳhār to hote hoñge
  21. koh kin shab the rahā shaġhl-e-sahar hone taksar paṭaknā isī dīvār meñ dar hone tak
  22. guloñ ko chūm kar ā.ī sabā sī lagtī thīthī ik nazar pe muattar huā sī lagtī thī
  23. māthe pe paṛī zulf-e-girah gīr hilā dīkyūñ tum ne dil ḳhufta kī zanjīr hilā dī
  24. mushkil meñ rahā vo bhī ke tadbīr na thā maiñmaiñ ḳhvāb to thā us kā pe ta.abīr na thā maiñ
  25. naqsh-e-dīvār shikasta hī kahīñ ho mujh meñdard ho yād ho koī to makīñ ho mujh meñ
  26. na talāfiyāñ hī māñgeñ na vafā na pyār māñgeñchalo āj us se khoyā huā etibār māñgeñ
  27. vo to hashr thā magar us kī ab vo shabāhateñ bhī chalī ga.īñjo raheñ to shahr meñ kyā raheñ ke qayāmateñ bhī chalī ga.īñ
  28. vo nahīñ bīch to ye umr-e-ravāñ kahtī haikyā chalūñ jab koī mehvar se alāhida kar de
  29. ye ittifāq thā maiñ us kā ham zamāna thājo zindagī se ta.āruf thā ġhā.ibāna thā
  30. ye hādisa hai magar is taraf huā bhī nahīñjudā huā bhī to us se jo jāntā bhī nahīñ
  31. ye hasratoñ kī mirī ḳhāk se numū kyā haitire baġhair ye duniyā-e-rang-o-bū kyā hai