Poet
Muztar Khairabadi
مضطر خیرآبادی1865–1927
Poems
- آپ کیوں بیٹھے ہیں غصے میں مری جان بھرےیہ تو فرمائیے کیا زلف نے کچھ کان بھرےāp kyūñ baiṭhe haiñ ġhusse meñ mirī jān bhareye to farmā.iye kiyā zulf ne kuchh kān bhare
- آتش حسن سے اک آب ہے رخساروں میںاے تری شان کہ پانی بھی ہے انگاروں میںātish-e-husn se ik āb hai ruḳhsāroñ meñai tirī shān ke pānī bhī hai angāroñ meñ
- آرزو دل میں بنائے ہوئے گھر ہے بھی تو کیااس سے کچھ کام بھی نکلے یہ اگر ہے بھی تو کیاārzū dil meñ banā.e hue ghar hai bhī to kyāus se kuchh kām bhī nikle ye agar hai bhī to kyā
- اب اس سے بڑھ کے کیا ناکامیاں ہوں گی مقدر میںمیں جب پہنچا تو کوئی بھی نہ تھا میدان محشر میںab is se baṛh ke kyā nākāmiyāñ hoñgī muqaddar meñmaiñ jab pahuñchā to koī bhī na thā maidān-e-mahshar meñ
- اپنے عہد وفا کو بھول گئےتم تو بالکل خدا کو بھول گئےapne ahd-e-vafā ko bhūl ga.etum to bilkul ḳhudā ko bhūl ga.e
- اتنے اچھے ہو کہ بس توبہ بھلیتم تو ایسے ہو کہ بس توبہ بھلیitne achchhe ho ke bas tauba bhalītum to aise ho ke bas tauba bhalī
- اس بات کا ملال نہیں ہے کہ دل گیامیں اس کو دیکھتا ہوں جو بدلے میں مل گیاis bāt kā malāl nahīñ hai ke dil gayāmaiñ us ko dekhtā hūñ jo badle meñ mil gayā
- اس سے کہہ دو کہ وہ جفا نہ کرےکہیں مجھ سا اسے خدا نہ کرےus se kah do ke vo jafā na karekahīñ mujh sā use ḳhudā na kare
- اسیر پنجۂ عہد شباب کر کے مجھےکہاں گیا مرا بچپن خراب کر کے مجھےasīr-e-panja-e-ahd-e-shabāb kar ke mujhekahāñ gayā mirā bachpan ḳharāb kar ke mujhe
- اک نقش خیال رو بہ رو ہےجو کچھ ہے یہ کچھ نہیں ہے تو ہےik naqsh-e-ḳhayāl rū ba ro haijo kuchh hai ye kuchh nahīñ hai to hai
- اگر تم دل ہمارا لے کے پچھتائے تو رہنے دونہ کام آئے تو واپس دو جو کام آئے تو رہنے دوagar tum dil hamārā le ke pachhtā.e to rahne dona kām ā.e to vāpas do jo kām ā.e to rahne do
- انہوں نے کیا نہ کیا اور کیا نہیں کرتےہزار کچھ ہو مگر اک وفا نہیں کرتےunhoñ ne kiyā na kiyā aur kyā nahīñ kartehazār kuchh ho magar ik vafā nahīñ karte
- انہیں لوگوں کی بدولت یہ حسیں اچھے ہیںچاہنے والے ان اچھوں سے کہیں اچھے ہیںunheñ logoñ kī badaulat ye hasīñ achchhe haiñchāhne vāle in achchhoñ se kahīñ achchhe haiñ
- بیٹھے ہوئے ہیں ہم خود آنکھوں میں دھول ڈالےاے روئے یار تو نے پردے فضول ڈالےbaiṭhe hue haiñ ham ḳhud ānkhoñ meñ dhūl ḍāleai rū-e-yār tū ne parde fuzūl ḍāle
- پردۂ درد میں آرام بٹا کرتے ہیںاس کی درگاہ میں انعام بٹا کرتے ہیںparda-e-dard meñ ārām baṭā karte haiñus kī dargāh meñ inām baṭā karte haiñ
- پوچھا کہ وجہ زندگی بولے کہ دل داری مریپوچھا کہ مرنے کا سبب بولے جفا کاری مریpūchhā ke vaj.h-e-zindagī bole ke dil dārī mirīpūchhā ke marne kā sabab bole jafā kārī mirī
- تو مجھے کس کے بنانے کو مٹا بیٹھا ہےمیں کوئی غم تو نہیں تھا جسے کھا بیٹھا ہےtū mujhe kis ke banāne ko miṭā baiṭhā haimaiñ koī ġham to nahīñ thā jise khā baiṭhā hai
- تیری رنگت بہار سے نکلیپھوٹ کر لالہ زار سے نکلیterī rangat bahār se niklīphūṭ kar lāla zār se niklī
- جان یہ کہہ کے بت ہوش ربا نے لے لیکوئی پوچھے تو یہ کہنا کہ خدا نے لے لیjān ye kah ke but-e-hosh rubā ne le līkoī pūchhe to ye kahnā ke ḳhudā ne le lī
- جب کہا تیر تری آنکھ نے اکثر ماراچتونیں پھیر کے بولے کہ برابر ماراjab kahā tīr tirī ānkh ne aksar mārāchitvaneñ pher ke bole ke barābar mārā
- جب کہا میں ہوں ترے عشق میں بدنام کہ توہنس کے کس ناز سے بولا بت خود کام کہ توjab kahā maiñ hūñ tire ishq meñ badnām ke tūhañs ke kis nāz se bolā but-e-ḳhud kām ke tū
- جدائی مجھ کو مارے ڈالتی ہےدہائی مجھ کو مارے ڈالتی ہےjudā.ī mujh ko māre ḍāltī haiduhā.ī mujh ko māre ḍāltī hai
- جفا سے وفا مسترد ہو گئییہاں ہم بھی قائل ہیں حد ہو گئیjafā se vafā mustarad ho ga.īyahāñ ham bhī qā.il haiñ had ho ga.ī
- جنوں کے جوش میں انسان رسوا ہو ہی جاتا ہےگریباں پھاڑنے سے فاش پردا ہو ہی جاتا ہےjunūñ ke josh meñ insān rusvā ho hī jātā haigarebāñ phāṛne se fāsh pardā ho hī jātā hai
- جو پوچھا منہ دکھانے آپ کب چلمن سے نکلیں گےتو بولے آپ جس دن حشر میں مدفن سے نکلیں گےjo pūchhā muñh dikhāne āp kab chilman se nikleñgetū bole āp jis din hashr meñ madfan se nikleñge
- جو مے دل سے پئے کوئی تو پھر رخنے نہیں رہتےذرا یہ صاف کر لی جائے پھر تنکے نہیں رہتےjo mai dil se piye koī to phir raḳhne nahīñ rahtezarā ye sāf kar lī jā.e phir tinke nahīñ rahte
- چاہت کی نظر آپ سے ڈالی بھی گئی ہےحسرت کسی عاشق کی نکالی بھی گئی ہےchāhat kī nazar āp se ḍālī bhī ga.ī haihasrat kisī āshiq kī nikālī bhī ga.ī hai
- حوصلہ امتحان سے نکلاجان کا کام جان سے نکلاhausla imtihān se niklājān kā kām jān se niklā
- دعا سے کچھ نہ ہوا التجا سے کچھ نہ ہوابتوں کے عشق میں یاد خدا سے کچھ نہ ہواduā se kuchh na huā iltijā se kuchh na huābutoñ ke ishq meñ yād-e-ḳhudā se kuchh na huā
- دل دادگان حسن سے پردا نہ چاہئےدل لے کے چھپ گئے تمہیں ایسا نہ چاہئےdil dādgān-e-husn se pardā na chāhiyedil le ke chhup ga.e tumheñ aisā na chāhiye
- دل کا معاملہ جو سپرد نظر ہوادشوار سے یہ مرحلہ دشوار تر ہواdil kā mu.āmla jo supurd-e-nazar huādushvār se ye marhala dushvār tar huā
- دل لے کے حسینوں نے یہ دستور نکالادل جس کا لیا اس کو بہت دور نکالاdil le ke hasīnoñ ne ye dastūr nikālādil jis kā liyā us ko bahut dūr nikālā
- دم آخر مصیبت کاٹ دو بہر خدا میریتم آ کر درد کے پردے میں کر جاؤ دوا میریdam-e-āḳhir musībat kāṭ do bahr-e-ḳhudā merītum ā kar dard ke parde meñ kar jā.o davā merī
- دور کیوں جاؤں یہیں جلوہ نما بیٹھا ہےدل مرا عرش ہے اور اس پہ خدا بیٹھا ہےdūr kyūñ jā.ūñ yahīñ jalva numā baiṭhā haidil mirā arsh hai aur us pe ḳhudā baiṭhā hai
- رخ کسی کا نظر نہیں آتاکوئی آتا نظر نہیں آتاruḳh kisī kā nazar nahīñ ātākoī ātā nazar nahīñ ātā
- رواں رہتا ہے کس کی موج میں دن رات تو پانیتجھے کس گوہر نایاب کی ہے جستجو پانیravāñ rahtā hai kis kī mauj meñ din rāt to pānītujhe kis gauhar-e-nāyāb kī hai justujū pānī
- رہ کے پردے میں رخ پر نور کی باتیں نہ کردور سے باتیں سنا کر دور کی باتیں نہ کرrah ke parde meñ ruḳh pur nūr kī bāteñ na kardūr se bāteñ sunā kar dūr kī bāteñ na kar
- زیر زمیں رہوں کہ تہہ آسماں رہوںاے جستجوئے یار بتا میں کہاں رہوںzer-e-zamīñ rahūñ ke tah-e-āsmāñ rahūñai justujū-e-yār batā meñ kahāñ rahūñ
- سب شریک صدمہ و آزار کچھ یوں ہی سے ہیںیار کچھ یوں ہی سے ہیں غم خوار کچھ یوں ہی سے ہیںsab sharīk-e-sadma-o-āzār kuchh yūñ hī se haiñyār kuchh yūñ hī se haiñ ġham ḳhvār kuchh yūñ hī se haiñ
- سہیں کب تک جفائیں بے وفائی دیکھنے والےکہاں تک جان پر کھیلیں جدائی دیکھنے والےsaheñ kab tak jafā.eñ be vafā.ī dekhne vālekahāñ tak jān par kheleñ judā.ī dekhne vāle
- علاج درد دل تم سے مسیحا ہو نہیں سکتاتم اچھا کر نہیں سکتے میں اچھا ہو نہیں سکتاilāj-e-dard-e-dil tum se masīhā ho nahīñ saktātum achchhā kar nahīñ sakte meñ achchhā ho nahīñ saktā
- عمر کاٹی بتوں کی آڑوں میںبن کے پتھر رہا پہاڑوں میںumr kāṭī butoñ kī āṛoñ meñban ke patthar rahā pahāṛoñ meñ
- عیش کے رنگ ملالوں سے دبے جاتے ہیںاب تو ہم اپنے ہی حالوں سے دبے جاتے ہیںaish ke rang malāloñ se dabe jāte haiñab to ham apne hī hāloñ se dabe jāte haiñ
- غرور الفت کی طرز نازش عجب کرشمے دکھا رہی ہےہماری روٹھی ہوئی نظر کو تری تجلی منا رہی ہےġhurūr ulfat kī tarz-e-nāzish ajab karishme dikhā rahī haihamārī rūṭhī huī nazar ko tirī tajallī manā rahī hai
- فصل گل بھی ترس کے کاٹی ہےعمر کانٹوں میں بس کے کاٹی ہےfasl-e-gul bhī taras ke kāṭī haiumr kānṭoñ meñ bas ke kāṭī hai
- کسی بت کی ادا نے مار ڈالابہانے سے خدا نے مار ڈالاkisī but kī adā ne mār ḍālābahāne se ḳhudā ne mār ḍālā
- کسی کے سنگ در سے اپنی میت لے کے اٹھیں گےیہی پتھر پئے تعویذ تربت لے کے اٹھیں گےkisī ke sang dar se apnī mayyat le ke uṭheñgeyahī patthar piye ta.avīz-e-turbat le ke uṭheñge
- کیا کہوں حسرت دیدار نے کیا کیا کھینچاکبھی دامن ترا کھینچا کبھی پردا کھینچاkyā kahūñ hasrat-e-dīdār ne kyā kyā khīñchākabhī dāman tirā khīñchā kabhī pardā khīñchā
- کیسے دل لگتا حرم میں دور پیمانہ نہ تھااس لیے پھر آئے کعبے سے کہ مے خانہ نہ تھاkaise dil lagtā haram meñ daur-e-paimāna na thāis liye phir ā.e ka.abe se ke mai ḳhāna na thā
- گواہ وصل عدو سر جھکا کے دیکھ نہ لویہ بند بند جدا ہیں قبا کے دیکھ نہ لوgavāh vasl-e-adū sar jhukā ke dekh na loye band band judā haiñ qabā ke dekh na lo