اسیر پنجۂ عہد شباب کر کے مجھے
Muztar Khairabadi (1865–1927)اسیر پنجۂ عہد شباب کر کے مجھے
کہاں گیا مرا بچپن خراب کر کے مجھے
کسی کے درد محبت نے عمر بھر کے لیے
خدا سے مانگ لیا انتخاب کر کے مجھے
یہ ان کے حسن کو ہے صورت آفریں سے گلہ
غضب میں ڈال دیا لا جواب کر کے مجھے
وہ پاس آنے نہ پائے کہ آئی موت کی نیند
نصیب سو گئے مصروف خواب کر کے مجھے
مرے گناہ زیادہ ہیں یا تری رحمت
کریم تو ہی بتا دے حساب کر کے مجھے
میں ان کے پردۂ بے جا سے مر گیا مضطرؔ
انھوں نے مار ہی ڈالا حجاب کر کے مجھے
asir-e-panja-e-ahd-e-shabab kar ke mujhe
kahan gaya mira bachpan kharab kar ke mujhe
kisi ke dard-e-mohabbat ne umr bhar ke liye
khuda se mang liya intikhab kar ke mujhe
ye un ke husn ko hai surat afrin se gila
ghazab mein dal diya la jawab kar ke mujhe
wo pas ane na pae ke ai maut ki nind
nasib so gae masruf-e-khwab kar ke mujhe
mire gunah ziyada hain ya tiri rahmat
karim tu hi bata de hisab kar ke mujhe
main un ke parda-e-be ja se mar gaya muztar
inhon ne mar hi dala hijab kar ke mujhe