چاہت کی نظر آپ سے ڈالی بھی گئی ہے
Muztar Khairabadi (1865–1927)چاہت کی نظر آپ سے ڈالی بھی گئی ہے
حسرت کسی عاشق کی نکالی بھی گئی ہے
تم نے کسی بیمار کو اچھا بھی کیا ہے
حالت کسی بگڑے کی سنبھالی بھی گئی ہے
تم کھیل سمجھتے ہو مگر یہ تو بتاؤ
آہ دل مضطر کبھی خالی بھی گئی ہے
کیا خاک کروں میں خلش عشق کا شکوہ
یہ پھانس کبھی تم سے نکالی بھی گئی ہے
جھگڑے بھی کہیں رشک رقابت کے مٹے ہیں
الفت میں کبھی خام خیالی بھی گئی ہے
مضطرؔ کو کبھی حسن کا صدقہ بھی دیا ہے
یہ بھیک کبھی آپ سے ڈالی بھی گئی ہے
chahat ki nazar ap se dali bhi gai hai
hasrat kisi ashiq ki nikali bhi gai hai
tum ne kisi bimar ko achchha bhi kiya hai
halat kisi bigre ki sambhali bhi gai hai
tum khel samajhte ho magar ye to batao
ah-e-dil muztar kabhi khali bhi gai hai
kya khak karun main khalish-e-ishq ka shikwa
ye phans kabhi tum se nikali bhi gai hai
jhagre bhi kahin rashk raqabat ke mite hain
ulfat mein kabhi kham khayali bhi gai hai
muztar ko kabhi husn ka sadqa bhi diya hai
ye bhik kabhi ap se dali bhi gai hai