Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Muztar Khairabadi

مضطر خیرآبادی

1865–1927

Poems

Meter
  1. āp kyūñ baiṭhe haiñ ġhusse meñ mirī jān bhareye to farmā.iye kiyā zulf ne kuchh kān bhare
  2. ātish-e-husn se ik āb hai ruḳhsāroñ meñai tirī shān ke pānī bhī hai angāroñ meñ
  3. ārzū dil meñ banā.e hue ghar hai bhī to kyāus se kuchh kām bhī nikle ye agar hai bhī to kyā
  4. ab is se baṛh ke kyā nākāmiyāñ hoñgī muqaddar meñmaiñ jab pahuñchā to koī bhī na thā maidān-e-mahshar meñ
  5. apne ahd-e-vafā ko bhūl ga.etum to bilkul ḳhudā ko bhūl ga.e
  6. itne achchhe ho ke bas tauba bhalītum to aise ho ke bas tauba bhalī
  7. is bāt kā malāl nahīñ hai ke dil gayāmaiñ us ko dekhtā hūñ jo badle meñ mil gayā
  8. us se kah do ke vo jafā na karekahīñ mujh sā use ḳhudā na kare
  9. asīr-e-panja-e-ahd-e-shabāb kar ke mujhekahāñ gayā mirā bachpan ḳharāb kar ke mujhe
  10. ik naqsh-e-ḳhayāl rū ba ro haijo kuchh hai ye kuchh nahīñ hai to hai
  11. agar tum dil hamārā le ke pachhtā.e to rahne dona kām ā.e to vāpas do jo kām ā.e to rahne do
  12. unhoñ ne kiyā na kiyā aur kyā nahīñ kartehazār kuchh ho magar ik vafā nahīñ karte
  13. unheñ logoñ kī badaulat ye hasīñ achchhe haiñchāhne vāle in achchhoñ se kahīñ achchhe haiñ
  14. baiṭhe hue haiñ ham ḳhud ānkhoñ meñ dhūl ḍāleai rū-e-yār tū ne parde fuzūl ḍāle
  15. parda-e-dard meñ ārām baṭā karte haiñus kī dargāh meñ inām baṭā karte haiñ
  16. pūchhā ke vaj.h-e-zindagī bole ke dil dārī mirīpūchhā ke marne kā sabab bole jafā kārī mirī
  17. tū mujhe kis ke banāne ko miṭā baiṭhā haimaiñ koī ġham to nahīñ thā jise khā baiṭhā hai
  18. terī rangat bahār se niklīphūṭ kar lāla zār se niklī
  19. jān ye kah ke but-e-hosh rubā ne le līkoī pūchhe to ye kahnā ke ḳhudā ne le lī
  20. jab kahā tīr tirī ānkh ne aksar mārāchitvaneñ pher ke bole ke barābar mārā
  21. jab kahā maiñ hūñ tire ishq meñ badnām ke tūhañs ke kis nāz se bolā but-e-ḳhud kām ke tū
  22. judā.ī mujh ko māre ḍāltī haiduhā.ī mujh ko māre ḍāltī hai
  23. jafā se vafā mustarad ho ga.īyahāñ ham bhī qā.il haiñ had ho ga.ī
  24. junūñ ke josh meñ insān rusvā ho hī jātā haigarebāñ phāṛne se fāsh pardā ho hī jātā hai
  25. jo pūchhā muñh dikhāne āp kab chilman se nikleñgetū bole āp jis din hashr meñ madfan se nikleñge
  26. jo mai dil se piye koī to phir raḳhne nahīñ rahtezarā ye sāf kar lī jā.e phir tinke nahīñ rahte
  27. chāhat kī nazar āp se ḍālī bhī ga.ī haihasrat kisī āshiq kī nikālī bhī ga.ī hai
  28. hausla imtihān se niklājān kā kām jān se niklā
  29. duā se kuchh na huā iltijā se kuchh na huābutoñ ke ishq meñ yād-e-ḳhudā se kuchh na huā
  30. dil dādgān-e-husn se pardā na chāhiyedil le ke chhup ga.e tumheñ aisā na chāhiye
  31. dil kā mu.āmla jo supurd-e-nazar huādushvār se ye marhala dushvār tar huā
  32. dil le ke hasīnoñ ne ye dastūr nikālādil jis kā liyā us ko bahut dūr nikālā
  33. dam-e-āḳhir musībat kāṭ do bahr-e-ḳhudā merītum ā kar dard ke parde meñ kar jā.o davā merī
  34. dūr kyūñ jā.ūñ yahīñ jalva numā baiṭhā haidil mirā arsh hai aur us pe ḳhudā baiṭhā hai
  35. ruḳh kisī kā nazar nahīñ ātākoī ātā nazar nahīñ ātā
  36. ravāñ rahtā hai kis kī mauj meñ din rāt to pānītujhe kis gauhar-e-nāyāb kī hai justujū pānī
  37. rah ke parde meñ ruḳh pur nūr kī bāteñ na kardūr se bāteñ sunā kar dūr kī bāteñ na kar
  38. zer-e-zamīñ rahūñ ke tah-e-āsmāñ rahūñai justujū-e-yār batā meñ kahāñ rahūñ
  39. sab sharīk-e-sadma-o-āzār kuchh yūñ hī se haiñyār kuchh yūñ hī se haiñ ġham ḳhvār kuchh yūñ hī se haiñ
  40. saheñ kab tak jafā.eñ be vafā.ī dekhne vālekahāñ tak jān par kheleñ judā.ī dekhne vāle
  41. ilāj-e-dard-e-dil tum se masīhā ho nahīñ saktātum achchhā kar nahīñ sakte meñ achchhā ho nahīñ saktā
  42. umr kāṭī butoñ kī āṛoñ meñban ke patthar rahā pahāṛoñ meñ
  43. aish ke rang malāloñ se dabe jāte haiñab to ham apne hī hāloñ se dabe jāte haiñ
  44. ġhurūr ulfat kī tarz-e-nāzish ajab karishme dikhā rahī haihamārī rūṭhī huī nazar ko tirī tajallī manā rahī hai
  45. fasl-e-gul bhī taras ke kāṭī haiumr kānṭoñ meñ bas ke kāṭī hai
  46. kisī but kī adā ne mār ḍālābahāne se ḳhudā ne mār ḍālā
  47. kisī ke sang dar se apnī mayyat le ke uṭheñgeyahī patthar piye ta.avīz-e-turbat le ke uṭheñge
  48. kyā kahūñ hasrat-e-dīdār ne kyā kyā khīñchākabhī dāman tirā khīñchā kabhī pardā khīñchā
  49. kaise dil lagtā haram meñ daur-e-paimāna na thāis liye phir ā.e ka.abe se ke mai ḳhāna na thā
  50. gavāh vasl-e-adū sar jhukā ke dekh na loye band band judā haiñ qabā ke dekh na lo