فصل گل بھی ترس کے کاٹی ہے
Muztar Khairabadi (1865–1927)فصل گل بھی ترس کے کاٹی ہے
عمر کانٹوں میں بس کے کاٹی ہے
میں نے رو کر گزار دی اے ابر
جیسے تو نے برس کے کاٹی ہے
ہو کے پابند الفت صیاد
زندگی بے قفس کے کاٹی ہے
سوز الفت میں زندگی میں نے
غیر کا منہ جھلس کے کاٹی ہے
زندگی بھر رہے حسینوں میں
عمر پھولوں میں بس کے کاٹی ہے
اس نے کس ناز سے مری گردن
کمر شوق کس کے کاٹی ہے
اس کی حسرت ہے دید کے قابل
جس نے مضطرؔ ترس کے کاٹی ہے
fasl-e-gul bhi taras ke kati hai
umr kanton mein bas ke kati hai
main ne ro kar guzar di ai abr
jaise tu ne baras ke kati hai
ho ke paband-e-ulfat-e-sayyad
zindagi be qafas ke kati hai
soz-e-ulfat mein zindagi main ne
ghair ka munh jhulas ke kati hai
zindagi bhar rahe hasinon mein
umr phulon mein bas ke kati hai
us ne kis naz se miri gardan
kamar-e-shauq kis ke kati hai
us ki hasrat hai did ke qabil
jis ne muztar taras ke kati hai