
Poet
Mir Taqi Mir
میر تقی میر1723–1810Born in AgraDied in Lucknow
Mir Muhammad Taqi, who wrote as Mir, was one of the principal poets of the Delhi school of the Urdu ghazal. He spent much of his life in Delhi and, after Ahmad Shah Abdali's raids on the city, moved in 1782 to the court of Asaf-ud-Daula in Lucknow. His Urdu verse fills six divans, and he also wrote the Persian autobiography Zikr-e-Mir and Nikat-us-Shuara, an account of Urdu poets.
Writes about
- Love
- Sorrow
- Ruin of Delhi
- Divine love
Poems
- غیر نے ہم کو ذبح کیا نے طاقت ہے نے یارا ہےاس کتے نے کر کے دلیری صید حرم کو مارا ہےġhair ne ham ko zab.h kiyā ne tāqat hai ne yārā haiis kutte ne kar ke dilerī said-e-haram ko mārā hai
- غیروں سے مل چلے تم مست شراب ہو کرغیرت سے رہ گئے ہم یکسو کباب ہو کرġhairoñ se mil chale tum mast-e-sharāb ho karġhairat se rah ga.e ham yakso kabāb ho kar
- فصل خزاں میں سیر جو کی ہم نے جائے گلچھانی چمن کی خاک نہ تھا نقش پائے گلfasl-e-ḳhizāñ meñ sair jo kī ham ne jā.e gulchhānī chaman kī ḳhāk na thā naqsh-e-pā.e gul
- فقیرانہ آئے صدا کر چلےکہ میاں خوش رہو ہم دعا کر چلےfaqīrāna ā.e sadā kar chaleke miyāñ ḳhush raho ham duā kar chale
- فکر ہے ماہ کے جو شہر بدر کرنے کیہے سزا تجھ پہ یہ گستاخ نظر کرنے کیfikr hai māh ke jo shahr badar karne kīhai sazā tujh pe ye gustāḳh nazar karne kī
- فلک کرنے کے قابل آسماں ہےکہ یہ پیرانہ سر جاہل جواں ہےfalak karne ke qābil āsmāñ haike ye pīrāna sar jāhil javāñ hai
- فلک نے گر کیا رخصت مجھے سیر بیاباں کونکالا سر سے میرے جائے مو خار مغیلاں کوfalak ne gar kiyā ruḳhsat mujhe sair-e-bayābāñ konikālā sar se mere jā.e mū ḳhār-e-muġhīlāñ ko
- قابو خزاں سے ضعف کا گلشن میں بن گیادوش ہوا پہ رنگ گل و یاسمن گیاqābū ḳhizāñ se zof kā gulshan meñ ban gayādosh huā pe rang-e-gul-o-yāsaman gayā
- قرار دل کا یہ کاہے کو ڈھنگ تھا آگےہمارے چہرے کے اوپر بھی رنگ تھا آگےqarār dil kā ye kāhe ko ḍhang thā āgehamāre chehre ke ūpar bhī rang thā āge
- قصد گر امتحان ہے پیارےاب تلک نیم جان ہے پیارےqasd gar imtihān hai pyāreab talak nīm jān hai pyāre
- قیامت ہیں یہ چسپاں جامے والےگلوں نے جن کی خاطر خرقے ڈالےqayāmat haiñ ye chaspāñ jāme vāleguloñ ne jin kī ḳhātir ḳhirqe ḍāle
- کاش اٹھیں ہم بھی گنہ گاروں کے بیچہوں جو رحمت کے سزاواروں کے بیچkāsh uṭheñ ham bhī gunah gāroñ ke bīchhūñ jo rahmat ke sazāvāroñ ke bīch
- کب تک تو امتحاں میں مجھ سے جدا رہے گاجیتا ہوں تو تجھی میں یہ دل لگا رہے گاkab tak to imtihāñ meñ mujh se judā rahegājītā hūñ to tujhī meñ ye dil lagā rahegā
- کب تلک جی رکے خفا ہووےآہ کریے کہ ٹک ہوا ہووےkab talak jī ruke ḳhafā hoveāh kariye ke ṭuk huā hove
- کب تلک یہ ستم اٹھائیے گاایک دن یوں ہی جی سے جائیے گاkab talak ye sitam uṭhā.iyegāek din yūñ hī jī se jā.iyegā
- کب سے نظر لگی تھی دروازۂ حرم سےپردہ اٹھا تو لڑیاں آنکھیں ہماری ہم سےkab se nazar lagī thī darvāza-e-haram separda uṭhā to laṛiyāñ ānkheñ hamārī ham se
- کثرت داغ سے دل رشک گلستاں نہ ہوامیرا دل خواہ جو کچھ تھا وہ کبھو یاں نہ ہواkasrat-e-dāġh se dil rashk-e-gulistāñ na huāmerā dil ḳhvāh jo kuchh thā vo kabhū yāñ na huā
- کچھ تو کہہ وصل کی پھر رات چلی جاتی ہےدن گزر جائیں ہیں پر بات چلی جاتی ہےkuchh to kah vasl kī phir rāt chalī jātī haidin guzar jā.eñ haiñ par bāt chalī jātī hai
- کچھ کرو فکر مجھ دیوانے کیدھوم ہے پھر بہار آنے کیkuchh karo fikr mujh dīvāne kīdhūm hai phir bahār āne kī
- کچھ موج ہوا پیچاں اے میرؔ نظر آئیشاید کہ بہار آئی زنجیر نظر آئیkuchh mauj huā pechāñ ai mīr nazar ā.īshāyad ke bahār ā.ī zanjīr nazar ā.ī
- کرتے ہی نہیں ترک بتاں طور جفا کاشاید ہمیں دکھلاویں گے دیدار خدا کاkarte hī nahīñ tark-e-butāñ tūr jafā kāshāyad hameñ dikhlāveñge dīdār ḳhudā kā
- کر نالہ کشی کب تئیں اوقات گزاریںفریاد کریں کس سے کہاں جا کے پکاریںkar nāla kashī kab ta.īñ auqāt guzāreñfariyād kareñ kis se kahāñ jā ke pukāreñ
- کرے کیا کہ دل بھی تو مجبور ہےزمیں سخت ہے آسماں دور ہےkare kyā ke dil bhī to majbūr haizamīñ saḳht hai āsmāñ dūr hai
- کس حسن سے کہوں میں اس کی خوش اختری کیاس ماہرو کے آگے کیا تاب مشتری کیkis husn se kahoñ maiñ us kī ḳhush aḳhtarī kīis māhrū ke āge kyā tāb mushtarī kī
- کس شام سے اٹھا تھا مرے دل میں درد ساسو ہو چلا ہوں پیشتر از صبح سرد ساkis shām se uṭhā thā mire dil meñ dard sāso ho chalā hūñ peshtar az sub.h sard sā
- کعبے میں جاں بہ لب تھے ہم دوریٔ بتاں سےآئے ہیں پھر کے یارو اب کے خدا کے ہاں سےka.abe meñ jāñ ba lab the ham dūrī-e-butāñ seā.e haiñ phir ke yāro ab ke ḳhudā ke hāñ se
- کل بارے ہم سے اس سے ملاقات ہو گئیدو دو بچن کے ہونے میں اک بات ہو گئیkal bāre ham se us se mulāqāt ho ga.īdo do bachan ke hone meñ ik bāt ho ga.ī
- کل چمن میں گل و سمن دیکھاآج دیکھا تو باغ بن دیکھاkal chaman meñ gul-o-saman dekhāāj dekhā to bāġh ban dekhā
- کل شب ہجراں تھی لب پر نالہ بیمارانہ تھاشام سے تا صبح دم بالیں پہ سر یکجا نہ تھاkal shab-e-hijrāñ thī lab par nāla bīmārāna thāshām se tā sub.h dam bālīñ pe sar yakjā na thā
- کل میرؔ نے کیا کیا کی مے کے لیے بیتابیآخر کو گرو رکھا سجادۂ محرابیkal mīr ne kyā kyā kī mai ke liye betābīāḳhir ko giro rakhā sajjāda-e-mehrābī
- کلی کہتے ہیں اس کا سا دہن ہےسنا کریے کہ یہ بھی اک سخن ہےkalī kahte haiñ us kā sā dahan haisunā kariye ke ye bhī ik suḳhan hai
- کوفت سے جان لب پہ آئی ہےہم نے کیا چوٹ دل پہ کھائی ہےkoft se jān lab pe ā.ī haiham ne kyā choṭ dil pe khā.ī hai
- کوئی ہوا نہ روکش ٹک میری چشم تر سےکیا کیا نہ ابر آ کر یاں زور زور برسےkoī huā na rūkash ṭuk merī chashm-e-tar sekyā kyā na abr ā kar yāñ zor zor barse
- کہاں تک غیر جاسوسی کے لینے کو لگا آوےالٰہی اس بلائے ناگہاں پر بھی بلا آوےkahāñ tak ġhair jāsūsī ke lene ko lagā āveilāhī is balā-e-nāgahāñ par bhī balā āve
- کہتے ہو اتحاد ہے ہم کوہاں کہو اعتماد ہے ہم کوkahte ho ittihād hai ham kohāñ kaho etimād hai ham ko
- کہتے ہیں بہار آئی گل پھول نکلتے ہیںہم کنج قفس میں ہیں دل سینوں میں جلتے ہیںkahte haiñ bahār ā.ī gul phūl nikalte haiñham kunj-e-qafas meñ haiñ dil sīnoñ meñ jalte haiñ
- غزل میرؔ کی کب پڑھائی نہیں
- کہنا ترے منہ پر تو نپٹ بے ادبی ہےزاہد جو صفت تجھ میں ہے سوزن جلبی ہےkahnā tire muñh par to nipaṭ be adabī haizāhid jo sifat tujh meñ hai sozan jalbī hai
- کہیں پہنچو بھی مجھ بے پا و سر تککہ پہنچا شمع ساں داغ اب جگر تکkahīñ pahuñcho bhī mujh be pā-o-sar takke pahuñchā sham.a sāñ dāġh ab jigar tak
- کہے ہے کوہ کن کر فکر میری خستہ حالی میںالٰہی شکر کرتا ہوں تری درگاہ عالی میںkahe hai koh kin kar fikr merī ḳhasta hālī meñilāhī shukr kartā hūñ tirī dargāh-e-ālī meñ
- کھوویں ہیں نیند میری مصیبت بیانیاںتم بھی تو ایک رات سنو یہ کہانیاںkhoveñ haiñ nīnd merī musībat bayāniyāñtum bhī to ek rāt suno ye kahāniyāñ
- کیا بلبل اسیر ہے بے بال و پر کہ ہمگل کب رکھے ہے ٹکڑے جگر اس قدر کہ ہمkyā bulbul-e-asīr hai be bāl-o-par ke hamgul kab rakhe hai ṭukṛe jigar is qadar ke ham
- کیا حقیقت کہوں کہ کیا ہے عشقحق شناسوں کے ہاں خدا ہے عشقkyā haqīqat kahūñ ke kyā hai ishqhaq shanāsoñ ke hāñ ḳhudā hai ishq
- کیا دن تھے وے کہ یاں بھی دل آرمیدہ تھارو آشیاں طائر رنگ پریدہ تھاkyā din the ve ke yāñ bhī dil-e-ārmīda thāro āshiyāñ tā.ir-e-rang-e-parīda thā
- کیا طرح ہے آشنا گاہے گہے نا آشنایا تو بیگانے ہی رہیے ہوجیے یا آشناkyā tarah hai āshnā gāhe gahe nā āshnāyā to begāne hī rahiye hojiye yā āshnā
- کیا کروں شرح خستہ جانی کیمیں نے مر مر کے زندگانی کیkyā karūñ sharh-e-ḳhasta jānī kīmaiñ ne mar mar ke zindagānī kī
- کیا کہوں تم سے میں کہ کیا ہے عشقجان کا روگ ہے بلا ہے عشقkyā kahūñ tum se maiñ ke kyā hai ishqjān kā rog hai balā hai ishq
- کیا کہوں کیسا ستم غفلت سے مجھ پر ہو گیاقافلہ جاتا رہا میں صبح ہوتے سو گیاkyā kahūñ kaisā sitam ġhaflat se mujh par ho gayāqāfila jātā rahā maiñ sub.h hote so gayā
- کیا کہیں آتش ہجراں سے گلے جاتے ہیںچھاتیاں سلگیں ہیں ایسی کہ جلے جاتے ہیںkyā kaheñ ātish-e-hijrāñ se gale jāte haiñchhātiyāñ sulgeñ haiñ aisī ke jale jāte haiñ
- کیا کہیں اپنی اس کی شب کی باتکہیے ہووے جو کچھ بھی ڈھب کی باتkyā kaheñ apnī us kī shab kī bātkahiye hove jo kuchh bhī ḍhab kī bāt