Poet
Khumar Barabankavi
Poems
- آنکھوں کے چراغوں میں اجالے نہ رہیں گےآ جاؤ کہ پھر دیکھنے والے نہ رہیں گےānkhoñ ke charāġhoñ meñ ujāle na raheñgeā jā.o ke phir dekhne vāle na raheñge
- اک پل میں اک صدی کا مزا ہم سے پوچھئےدو دن کی زندگی کا مزا ہم سے پوچھئےik pal meñ ik sadī kā mazā ham se pūchhiyedo din kī zindagī kā mazā ham se pūchhiye
- اکیلے ہیں وہ اور جھنجھلا رہے ہیںمری یاد سے جنگ فرما رہے ہیںakele haiñ vo aur jhanjhlā rahe haiñmirī yād se jang farmā rahe haiñ
- ایسا نہیں کہ ان سے محبت نہیں رہیجذبات میں وہ پہلی سی شدت نہیں رہیaisā nahīñ ke un se mohabbat nahīñ rahījazbāt meñ vo pahlī sī shiddat nahīñ rahī
- بات جب دوستوں کی آتی ہےدوستی کانپ کانپ جاتی ہےbāt jab dostoñ kī ātī haidostī kāñp kāñp jātī hai
- بجھ گیا دل حیات باقی ہےچھپ گیا چاند رات باقی ہےbujh gayā dil hayāt bāqī haichhup gayā chānd rāt bāqī hai
- پی پی کے جگمگائے زمانے گزر گئےراتوں کو دن بنائے زمانے گزر گئےpī pī ke jagmagā.e zamāne guzar ga.erātoñ ko din banā.e zamāne guzar ga.e
- ترے در سے اٹھ کر جدھر جاؤں میںچلوں دو قدم اور ٹھہر جاؤں میںtire dar se uṭh kar jidhar jā.ūñ maiñchalūñ do qadam aur ṭhahar jā.ūñ maiñ
- تو چاہئے نہ تیری وفا چاہئے مجھےکچھ بھی نہ تیرے غم کے سوا چاہئے مجھےtū chāhiye na terī vafā chāhiye mujhekuchh bhī na tere ġham ke sivā chāhiye mujhe
- جھنجھلائے ہیں لجائے ہیں پھر مسکرائے ہیںکس اہتمام سے انہیں ہم یاد آئے ہیںjhanjhlā.e haiñ lajā.e haiñ phir muskurā.e haiñkis ehtimām se unheñ ham yād ā.e haiñ
- حال غم ان کو سناتے جائیےشرط یہ ہے مسکراتے جائیےhāl-e-ġham un ko sunāte jā.iyeshart ye hai muskurāte jā.iye
- حسن جب مہرباں ہو تو کیا کیجیےعشق کے مغفرت کی دعا کیجیےhusn jab mehrbāñ ho to kyā kījiyeishq ke maġhfirat kī duā kījiye
- دل کو تسکین یار لے ڈوبیاس چمن کو بہار لے ڈوبیdil ko taskīn-e-yār le ḍūbīis chaman ko bahār le ḍūbī
- سجدوں کی رسم کہن کو ہوش گنوا کے بھول جاسنگ در حبیب پر سر کو جھکا کے بھول جاsajdoñ kī rasm-e-kuhan ko hosh gañvā ke bhūl jāsang-e-dar-e-habīb par sar ko jhukā ke bhūl jā
- غم دنیا بہت ایذا رساں ہےکہاں ہے اے غم جاناں کہاں ہےġham-e-duniyā bahut īzā rasāñ haikahāñ hai ai ġham-e-jānāñ kahāñ hai
- کبھی جو میں نے مسرت کا اہتمام کیابڑے تپاک سے غم نے مجھے سلام کیاkabhī jo maiñ ne masarrat kā ehtimām kiyābaṛe tapāk se ġham ne mujhe salām kiyā
- کبھی شعر و نغمہ بن کے کبھی آنسوؤں میں ڈھل کےوہ مجھے ملے تو لیکن ملے صورتیں بدل کےkabhī sher-o-naġhma ban ke kabhī ānsūoñ meñ ḍhal kevo mujhe mile to lekin mile sūrateñ badal ke
- کیا ہوا حسن ہے ہم سفر یا نہیںعشق منزل ہی منزل ہے رستہ نہیںkyā huā husn hai ham safar yā nahīñishq manzil hī manzil hai rasta nahīñ
- مجھ کو شکست دل کا مزا یاد آ گیاتم کیوں اداس ہو گئے کیا یاد آ گیاmujh ko shikast-e-dil kā mazā yād ā gayātum kyūñ udās ho ga.e kyā yād ā gayā
- مجھ کو یہ جان و دل قبول نغمے کو نغمہ ہی سمجھساز یہ بیتتی ہے کیا یہ بھی کبھی کبھی سمجھmujh ko ye jān-o-dil qubūl naġhme ko naġhma hī samajhsāz ye bīttī hai kyā ye bhī kabhī kabhī samajh
- نہ ہارا ہے عشق اور نہ دنیا تھکی ہےدیا جل رہا ہے ہوا چل رہی ہےna hārā hai ishq aur na duniyā thakī haidiyā jal rahā hai havā chal rahī hai
- وہ سوا یاد آئے بھلانے کے بعدزندگی بڑھ گئی زہر کھانے کے بعدvo sivā yād ā.e bhulāne ke ba.adzindagī baṛh ga.ī zahr khāne ke ba.ad
- وہ ہمیں جس قدر آزماتے رہےاپنی ہی مشکلوں کو بڑھاتے رہےvo hameñ jis qadar āzmāte raheapnī hī mushkiloñ ko baṛhāte rahe
- وہی پھر مجھے یاد آنے لگے ہیںجنہیں بھولنے میں زمانے لگے ہیںvahī phir mujhe yād āne lage haiñjinheñ bhūlne meñ zamāne lage haiñ
- ہجر کی شب ہے اور اجالا ہےکیا تصور بھی لٹنے والا ہےhijr kī shab hai aur ujālā haikyā tasavvur bhī luṭne vālā hai
- ہم انہیں وہ ہمیں بھلا بیٹھےدو گنہ گار زہر کھا بیٹھےham unheñ vo hameñ bhulā baiṭhedo gunah gār zahr khā baiṭhe
- ہنسنے والے اب ایک کام کریںجشن گریہ کا اہتمام کریںhañsne vāle ab ek kām kareñjashn-e-girya kā ehtimām kareñ
- ہوش زدہ نادان سے ڈربات سمجھ انسان سے ڈرhosh zada nādān se ḍarbāt samajh insān se ḍar
- یہ مصرع نہیں ہے وظیفہ مرا ہےخدا ہے محبت محبت خدا ہےye misra nahīñ hai vazīfa mirā haiḳhudā hai mohabbat mohabbat ḳhudā hai