Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Khumar Barabankavi

Poems

Meter
  1. āp ne din banā diyā thā jisezindagī bhar vo rāt yād ā.ī
  2. āj nāgāh ham kisī se mileba.ad muddat ke zindagī se mile
  3. ab un hudūd meñ lāyā hai intizār mujhevo ā bhī jā.eñ to ā.e na etibār mujhe
  4. phūl kar le nibāh kānṭoñ seādmī hī na ādmī se mile
  5. tujh ko barbād to honā thā bahrhāl ḳhumārnāz kar nāz ke us ne tujhe barbād kiyā
  6. had se baṛhe jo ilm to hai jahl dostosab kuchh jo jānte haiñ vo kuchh jānte nahīñ
  7. ḳhudā bachā.e tirī mast mast ānkhoñ sefarishta ho to bahak jā.e ādmī kyā hai
  8. sahrā ko bahut nāz hai vīrānī pe apnīvāqif nahīñ shāyad mire ujṛe hue ghar se
  9. kahīñ sher-o-naġhma ban ke kahīñ ānsūoñ meñ ḍhal kevo mujhe mile to lekin ka.ī sūrateñ badal ke
  10. mujhe to un kī ibādat pe rahm ātā haijabīñ ke sāth jo sajde meñ dil jhukā na sake
  11. mohabbat ko samajhnā hai to nāseh ḳhud mohabbat karkināre se kabhī andāza-e-tūfāñ nahīñ hotā
  12. ham pe guzrā hai vo bhī vaqt ḳhumārjab shanāsā bhī ajnabī se mile