Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Jaleel Manikpuri

جلیل مانکپوری

1866–1946

Poems

Meter
  1. āj tak dil kī ārzū hai vahīphūl murjhā gayā hai bū hai vahī
  2. ab kaun phir ke jā.e tirī jalva gāh seo shoḳh chashm phūñk de barq-e-nigāh se
  3. abhī se āfat-e-jāñ hai adā adā terīye ibtidā hai to kyā hogī intihā terī
  4. apne rahne kā ṭhikānā aur haiye qafas ye āshiyānā aur hai
  5. uṭhā hai abr josh kā ālam liye huebaiṭhā hūñ maiñ bhī dīda-e-pur nam liye hue
  6. achchhī kahī dil maiñ ne lagāyā hai kahīñ aurye jab ho ke tum sā ho zamāne meñ kahīñ aur
  7. adā adā tirī mauj-e-sharāb ho ke rahīnigāh-e-mast se duniyā ḳharāb ho ke rahī
  8. us kā jalva jo koī dekhne vālā hotāva.ada-e-dīd qayāmat pe na ṭālā hotā
  9. unheñ ādat hameñ lazzat sitam kīidhar shamshīr idhar taqdīr chamkī
  10. aur in ānkhoñ ne mere dil kī hālat zār kīho nahīñ saktī davā bīmār se bīmār kī
  11. ek din bhī to na apnī rāt nūrānī huīham ko kyā ai mah jabīñ gar chānd peshānī huī
  12. bāt sāqī kī na ṭālī jā.egīkar ke tauba toṛ ḍālī jā.egī
  13. bin tire kyā karūñ jahāñ le karye zamīñ aur ye āsmāñ le kar
  14. bū-e-mai pā ke maiñ chaltā huā mai ḳhāne koik parī thī ke lagā le ga.ī dīvāne ko
  15. bahāreñ luṭā deñ javānī luṭā dītumhāre liye zindagānī luṭā dī
  16. bahā kar ḳhūn merā mujh se boleke le jīne se apne hāth dho le
  17. baiṭh jā kar sar-e-mimbar vā.izho gayā to to mire sar vā.iz
  18. pilā sāqī bahār ā.e na ā.eghaṭā phir bār bār ā.e na ā.e
  19. jām jab tak na chale ham nahīñ ṭalne vāleāj sāqī tire fiqre nahīñ chalne vāle
  20. jhūm kar āj jo mutavālī ghaṭā ā.ī haiyād kyā kyā tirī mastāna adā ā.ī hai
  21. chāl aisī vo shoḳh chaltā haihashr kā jis pe dam nikaltā hai
  22. chal kar na zulf-e-yār ko to ai sabā bigāṛandher hogā us se agar ho gayā bigāṛ
  23. chale hā.e dam bhar ko mehmān ho karmujhe mār ḍālā mirī jān ho kar
  24. husn kī lā.ī huī ek bhī āfat na ga.īdil kī dhaṛkan na ga.ī dard kī shiddat na ga.ī
  25. husn meñ āfat jahāñ to haichāl meñ ḳhanjar-e-ravāñ to hai
  26. dil ke sab dāġh khule haiñ gul-e-ḳhandāñ ho karrang lāyā hai ye ġhuncha chamanistāñ ho kar
  27. dil gayā dil lagī nahīñ jātīrote rote hañsī nahīñ jātī
  28. dil hai apnā na ab jigar apnākar ga.ī kām vo nazar apnā
  29. din kī āheñ na ga.īñ rāt ke nāle na ga.emere dil soz mire chāhne vāle na ga.e
  30. dīdār kī havas hai na shauq-e-visāl haiāzād har ḳhayāl se mast-e-ḳhayāl hai
  31. dekhā jo husn-e-yār tabī.at machal ga.īānkhoñ kā thā qusūr chhurī dil pe chal ga.ī
  32. rāhat na mil sakī mujhe mai ḳhāna chhoṛ kargardish meñ hūñ maiñ gardish-e-paimāna chhoṛ kar
  33. rāz-e-ishq iz.hār ke qābil nahīñjurm ye iqrār ke qābil nahīñ
  34. rangat ye ruḳh kī aur ye ālam naqāb kādāman meñ koī phūl liye hai gulāb kā
  35. sitam hai mubtalā-e-ishq ho jānā javāñ ho karhamāre bāġh-e-hastī meñ bahār ā.ī ḳhizāñ ho kar
  36. saḳht nāzuk mizāj dilbar thāḳhair guzrī ke dil bhī patthar thā
  37. shabāb ho ke na ho husn-e-yār bāqī haiyahāñ koī bhī ho mausam bahār bāqī hai
  38. zabt nāla se āj kām liyāgirtī bijlī ko maiñ ne thām liyā
  39. zālim butoñ se ānkh lagā.ī na jā.egīpatthar kī choṭ dil se uṭhā.ī na jā.egī
  40. āshiqī kyā har bashar kā kām haimere dil mere jigar kā kām hai
  41. ajīb husn hai un surḳh surḳh gāloñ meñmai dvātisha bhar dī hai do pyāloñ meñ
  42. ishq ab merī jān hai goyājān ab mehmān hai goyā
  43. ismat kā hai lihāz na parvā hayā kī haiye sun ġhazab kā hai ye javānī balā kī hai
  44. aks hai ā.īna-e-dahr meñ sūrat merīkuchh haqīqat nahīñ itnī hai haqīqat merī
  45. ġhair ulfat kā rāz kyā jānelutf-e-nāz-o-niyāz kyā jāne
  46. qāsid āyā magar javāb nahīñmere likhe kā bhī javāb nahīñ
  47. qafas meñ hūñ ke tā.ir āshiyāñ meñtirā karte haiñ zikr apnī zabāñ meñ
  48. kis qadar thā garm-e-nāla bulbul-e-nāshād kāāg phūloñ meñ lagī ghar jal gayā sayyād kā
  49. kahāñ ham aur kahāñ ab sharāb-e-ḳhāna-e-ishqna vo dimāġh na vo dil na vo zamāna-e-ishq
  50. kahūñ kyā iztirāb-e-dil zabāñ serahe jāte haiñ sab pahlū bayāñ se