قفس میں ہوں کہ طائر آشیاں میں
Jaleel Manikpuri (1866–1946)قفس میں ہوں کہ طائر آشیاں میں
ترا کرتے ہیں ذکر اپنی زباں میں
چمن یوں ہی رہے گا نذر صرصر
ہے اک تنکا بھی جب تک آشیاں میں
ہجوم اشک میں ملتا نہیں دل
مرا یوسف ہے گم اس کارواں میں
مذکر اور مؤنث کی ہیں بحثیں
بڑا جھگڑا ہے یہ اردو زباں میں
جلیلؔ اس باغ میں کانٹے کی صورت
کھٹکتا ہے نگاہ باغباں میں
qafas mein hun ke tair ashiyan mein
tira karte hain zikr apni zaban mein
chaman yun hi rahega nazr-e-sarsar
hai ik tinka bhi jab tak ashiyan mein
hujum-e-ashk mein milta nahin dil
mira yusuf hai gum is karwan mein
muzakkar aur muannas ki hain bahsen
bara jhagra hai ye urdu zaban mein
jalil is bagh mein kante ki surat
khatakta hai nigah-e-baghban mein