راز عشق اظہار کے قابل نہیں
Jaleel Manikpuri (1866–1946)راز عشق اظہار کے قابل نہیں
جرم یہ اقرار کے قابل نہیں
آنکھ پر خوں شق جگر دل داغ دار
کوئی نذر یار کے قابل نہیں
دید کے قابل حسیں تو ہیں بہت
ہر نظر دیدار کے قابل نہیں
دے رہے ہیں مے وہ اپنے ہاتھ سے
اب یہ شے انکار کے قابل نہیں
جان دینے کی اجازت دیجیے
سر مرا سرکار کے قابل نہیں
چھوڑ بھی گلشن کو اے نرگس کہیں
یہ ہوا بیمار کے قابل نہیں
شاعری کو طبع رنگیں چاہیئے
ہر زمیں گل زار کے قابل نہیں
خامشی میری یہ کہتی ہے جلیلؔ
درد دل اظہار کے قابل نہیں
raz-e-ishq izhar ke qabil nahin
jurm ye iqrar ke qabil nahin
ankh pur khun shaqq-e-jigar dil dagh dar
koi nazr-e-yar ke qabil nahin
did ke qabil hasin to hain bahut
har nazar didar ke qabil nahin
de rahe hain mai wo apne hath se
ab ye shai inkar ke qabil nahin
jan dene ki ijazat dijiye
sar mira sarkar ke qabil nahin
chhor bhi gulshan ko ai nargis kahin
ye hua bimar ke qabil nahin
shayari ko tab-e-rangin chahiye
har zamin gul zar ke qabil nahin
khamushi meri ye kahti hai jalil
dard-e-dil izhar ke qabil nahin