Poet
Jaleel Manikpuri
جلیل مانکپوری1866–1946
Poems
- کھو کے دل میرا تمہیں نا حق پشیمانی ہوئیتم سے نادانی ہوئی یا مجھ سے نادانی ہوئیkho ke dil merā tumheñ nā haq pashemānī huītum se nādānī huī yā mujh se nādānī huī
- کیا جلد دن بہار کے یارب گزر گئےبجلی ہوا سے پوچھ رہی ہے کدھر گئےkyā jald din bahār ke yārab guzar ga.ebijlī havā se pūchh rahī hai kidhar ga.e
- کیا حنا خوں ریز نکلی ہائے پس جانے کے بعدبن گئی تلوار ان کے ہاتھ میں آنے کے بعدkyā hinā ḳhūñ rez niklī hā.e pas jāne ke ba.adban ga.ī talvār un ke hāth meñ āne ke ba.ad
- کیا ملا تم کو مرے عشق کا چرچا کر کےتم بھی رسوا ہوئے آخر مجھے رسوا کر کےkyā milā tum ko mire ishq kā charchā kar ketum bhī rusvā hue āḳhir mujhe rusvā kar ke
- لاکھ دل مست ہو مستی کا عیاں راز نہ ہویہ وہ شیشہ ہے کہ ٹوٹے بھی تو آواز نہ ہوlākh dil mast ho mastī kā ayāñ rāz na hoye vo shīsha hai ke ṭūṭe bhī to āvāz na ho
- مار ڈالا مسکرا کر ناز سےہاں مری جاں پھر اسی انداز سےmār ḍālā muskurā kar nāz sehāñ mirī jāñ phir isī andāz se
- مجھ کو تو مرض ہے بے خودی کازاہد کو گمان ہے مے کشی کاmujh ko to maraz hai be ḳhudī kāzāhid ko gumān hai mai kashī kā
- محبت رنگ دے جاتی ہے جب دل دل سے ملتا ہےمگر مشکل تو یہ ہے دل بڑی مشکل سے ملتا ہےmohabbat rang de jātī hai jab dil dil se miltā haimagar mushkil to ye hai dil baṛī mushkil se miltā hai
- مرنے والے خوب چھوٹے گردش ایام سےسو رہے ہیں پاؤں پھیلائے ہوئے آرام سےmarne vāle ḳhūb chhoṭe gardish-e-ayyām seso rahe haiñ pā.oñ phailā.e hue ārām se
- مری طرف سے یہ بے خیالی نہ جانے ان کو خیال کیا ہےکبھی نہ پوچھا ملال کیا ہے کبھی نہ دیکھا کہ حال کیا ہےmirī taraf se ye be ḳhayālī na jāne un ko ḳhayāl kyā haikabhī na pūchhā malāl kyā hai kabhī na dekhā ke hāl kyā hai
- موجود تھے ابھی ابھی روپوش ہو گئےاے مست ناز تم تو مرے ہوش ہو گئےmaujūd the abhī abhī rūposh ho ga.eai mast-e-nāz tum to mire hosh ho ga.e
- میری وحشت کا جو افسانہ بنایا ہوتاسننے والوں کو بھی دیوانہ بنایا ہوتاmerī vahshat kā jo afsāna banāyā hotāsunne vāloñ ko bhī dīvāna banāyā hotā
- ناز کرتا ہے جو تو حسن میں یکتا ہو کرمیں بھی نازاں ہوں ترا عاشق شیدا ہو کرnāz kartā hai jo tū husn meñ yaktā ho karmaiñ bhī nāzāñ hūñ tirā āshiq-e-shaidā ho kar
- نگاہ برق نہیں چہرہ آفتاب نہیںوہ آدمی ہے مگر دیکھنے کی تاب نہیںnigāh barq nahīñ chehra āftāb nahīñvo ādmī hai magar dekhne kī tāb nahīñ
- نہ خوشی اچھی ہے اے دل نہ ملال اچھا ہےیار جس حال میں رکھے وہی حال اچھا ہےna ḳhushī achchhī hai ai dil na malāl achchhā haiyār jis hāl meñ rakhe vahī hāl achchhā hai
- نیا سودا نیا درد نہانی لے کے آیا ہوںنئی اس بزم سے میں زندگانی لے کے آیا ہوںnayā saudā nayā dard-e-nihānī le ke āyā hūñna.ī is bazm se maiñ zindagānī le ke āyā hūñ
- وصال یار بھی ہے دور میں شراب بھی ہےقمر بھی ہے مرے پہلو میں آفتاب بھی ہےvisāl-e-yār bhī hai daur meñ sharāb bhī haiqamar bhī hai mire pahlū meñ āftāb bhī hai
- وصل میں وہ چھیڑنے کا حوصلہ جاتا رہاتم گلے سے کیا ملے سارا گلہ جاتا رہاvasl meñ vo chheṛne kā hausla jātā rahātum gale se kyā mile sārā gila jātā rahā
- ہاں جسے عاشقی نہیں آتیلذت زندگی نہیں آتیhāñ jise āshiqī nahīñ ātīlazzat-e-zindagī nahīñ ātī
- ہائے دم بھر بھی دل ٹھہر نہ سکاہاتھ سینے پہ کوئی دھر نہ سکاhā.e dam bhar bhī dil ṭhahar na sakāhāth sīne pe koī dhar na sakā
- ہستی ہے عدم مری نظر میںسوجھی ہے یہ ایک عمر بھر میںhastī hai adam mirī nazar meñsūjhī hai ye ek umr bhar meñ
- ہمارا دل وہ گل ہے جس کو زلف یار میں دیکھاجو زلفیں ہو گئیں برہم گلے کے ہار میں دیکھاhamārā dil vo gul hai jis ko zulf-e-yār meñ dekhājo zulfeñ ho ga.īñ bar.ham gale ke hār meñ dekhā
- ہم تو قصوروار ہوئے آنکھ ڈال کےپوچھو کہ نکلے کیوں تھے وہ جوبن نکال کےham to qusūrvār hue ānkh ḍāl kepūchho ke nikle kyūñ the vo joban nikāl ke
- یوں نہ ٹپکا تھا لہو دیدۂ تر سے پہلےدیکھنا آگ لگی پھر اسی گھر سے پہلےyūñ na ṭapkā thā lahū dīda-e-tar se pahledekhnā āg lagī phir isī ghar se pahle
- یہ جو سر نیچے کئے بیٹھے ہیںجان کتنوں کی لیے بیٹھے ہیںye jo sar nīche kiye baiṭhe haiñjān kitnoñ kī liye baiṭhe haiñ
- یہ رنگ گلاب کی کلی کانقشہ ہے کس کی کم سنی کاye rang gulāb kī kalī kānaqsha hai kis kī kam sunī kā
- یہ کہنا اس سے اے قاصد جو محو خود پرستی ہےکہ تیرے دیکھنے کو آنکھ مدت سے ترستی ہےye kahnā us se ai qāsid jo mahv-e-ḳhud parastī haike tere dekhne ko ānkh muddat se tarastī hai
- یہ کہہ گیا بت ناآشنا سنا کے مجھےکہ آپ میں نہیں رہتا ہے کوئی پا کے مجھےye kah gayā but nāāshnā sunā ke mujheke āp meñ nahīñ rahtā hai koī pā ke mujhe
- چاہیئے دنیا نہ عقبیٰ چاہیئےجو تجھے چاہے اسے کیا چاہیئےchāhiye duniyā na uqbā chāhiyejo tujhe chāhe use kyā chāhiye
- حسن و الفت میں خدا نے ربط پیدا کر دیادرد دل مجھ کو دیا تم کو مسیحا کر دیاhusn-o-ulfat meñ ḳhudā ne rabt paidā kar diyādard-e-dil mujh ko diyā tum ko masīhā kar diyā
- دل پر اس کاکل رسا کی چوٹقہر کی چوٹ ہے بلا کی چوٹdil par is kākul-e-rasā kī choṭqahr kī choṭ hai balā kī choṭ
- زمانہ ہے کہ گزرا جا رہا ہےیہ دریا ہے کہ بہتا جا رہا ہےzamāna hai ke guzrā jā rahā haiye dariyā hai ke bahtā jā rahā hai
- قفس میں اشک حسرت پر مدار زندگانی ہےیہی دانے کا دانا ہے یہی پانی کا پانی ہےqafas meñ ashk hasrat par madār-e-zindagānī haiyahī dāne kā dānā hai yahī pānī kā pānī hai
- گھٹا دیا رتبہ ہر حسیں کا مٹا دیا رنگ حور عین کانہیں ہے یہ چاند چودھویں کا شباب کا میرے مہ جبیں کاghaṭā diyā rutba har hasīñ kā miṭā diyā rang hūr ain kānahīñ hai ye chānd chaudhvīñ kā shabāb kā mere mah jabīñ kā
- مزے بیتابیوں کے آ رہے ہیںوہ ہم کو ہم انہیں سمجھا رہے ہیںmaze betābiyoñ ke ā rahe haiñvo ham ko ham unheñ samjhā rahe haiñ
- مفت میں توڑ کے رکھ دی مری توبہ تو نےکام پتھر کا کیا شیشۂ صہبا تو نےmuft meñ toṛ ke rakh dī mirī tauba tū nekām patthar kā kiyā shīsha-e-sahbā tū ne